2 November 2009 Lefke, Cyprus
Dastoor yaa RijaalAllah, madad, astaghfirullah. Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah w'Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd. Ya Rabbana, Anta Rabbuna, Anta hasbuna, Anta waliyuna, Anta mawlana wa nahnu `abeeduka ad-du`afa muhtaajeen... faghfir lana maa madaa yaa wasi` al-karamee sabirna! Ya Rabbana, `ibaad bi jaahi habeebika al-Mustafa nahnu `abeeduka ad-du`afa fuqaraa muhtaajeen! alfu salaat, alfu salaam `ala 'd-dawaam `ala habeebu 'r-rahmaan, sayyidi 'l-awaleen wa 'l-akhireen Sayyidina Muhammad, ishfa-` lana ya sayyidu'r-rusul-kiraam ishfa` lana li-anna shafa`tak matlooban, marghoobun wa maqboolan, shafa`tak la turad, Ya Rasulullah!
As-salamu `alaykum, humaray sami’een, wa rahmatullahi wa barakatuh. Allahumma al-himna rushdana bi jaahi nabiyyika al-Mustafa (s).
Aey humaray muhafiz iss duniyawi zindagi main, zameen kay sardar, qutb-uz-zamaan! Hum aap ki taraf rujoo kartay hain, asmani madad kay liay. Hum abhi bahut kamzor hain, bahut na-ummeed hain. Humain aap ki madad ki zaroorat hai, aey humaray sardar, qutb-uz-zamaan. Sirf asmanon ka Rabb hi qutb muqarrar karsakta hai : Wohi yeh ataa kar sakta hai. Hum kehtay hain, a`udhu billahi min ash-Shaytani 'r-rajeem. Hum apnay nafs ki gandagi say dartay hain, kyun keh gandagi Allah ko qubool nahin, aur issi liay hum wuzoo kartay hain. Aur hum ko apnay Rabb ki paak bargah tak puhanchnay ki zaroorat hai, وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ wa theeyaabaka fa-tahhir- Aur apnay kapray pak rakho! (74:4)
Aey humaray Musalmanon, ya Arabi Musalamanon! Kia tum samajhtay ho, fa thiyaabaka fa't-tahir ka matlab? Kia tum samajhtay ho keh wo shaks jo apnay ander aur bahar kay kapray din main teen martaba tabdeel karta hai, kia wo paak hai? Allah ta’ala jab farmatay hain, وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ - wa fatheeyaabaka fa-tahhir وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا wa yutahirakum tatheeran – tum ko paak aur bay-‘aib bana dain.(33:33) Is ka matlab hai keh yeh tatheer hai, taharah (paaki) nahin, balkay yeh tatheer hai. Allah ta’ala apnay bandon say chahtay hain keh wo itnay paak ho jaein, keh ghaya, paaki ki akhri hadd tak puhanch jaein. Asmanon ka Rabb paaki ki akhri hadd chahta hai. Apnay upar ya apnay kapron par, khas taur par apni shakhsiyat/zaat par koi gandagi na rehnay do, jo Shaytan aur uss kay karinday tum par daltay hain. Shaytan aur us kay chailay iss baat kay bahut harees hain keh wo insaan ko ganda kar dain. Yeh un ka akhri maqsad hai insanon kay khilaf, jo paak aur izzat yafta hain, Allah ki bargah main,Uss kay khalifa honay kay tahat. Khalifa ko chahiyay keh wo mukammal taur par paak ho jaein. Yeh asmani hukm hai, Rabb ki taraf se insanon kay liay, wa fatheeyaabaka fa-tahhir.
Aey insaan! Tum kuch waqt kay liay iss duniya main raho gay. Is duniyawi zindagi main, kai mauqay miltay hain sab ko, aur Shaytan ko aur us ki fauj ko bhi, keh wo Rabb kay bandon ko napaak bana dain! Asmanon ka hukm hai, “Paak raho!" aur Shaytan logon ko bula raha hai, “Mat suno. Meray paas aao aur mazay karo. Jo wo keh rahay hain taharat/paki kay baray main, wo mat suno. Main tum ko bula raha hoon, keh tum jitna aish kar saktay ho kar lo. Aur jab tum apnay ghar wapas jao tu naha layna. Buss.” Wo dhoka dey rahay hain insanon ko. “Agar tum keechar main gir jao tu fikr na karo. Fikr na karo! Keechar main jao. Jao aur khao aur piyo, aur uss main tairo. Yeh mat kaho, ‘Hum ganday ho jaein gay,’ nahin, bahir aa kar sirf naha layna, buss.” Yeh Shaytan ki taleem hai is duniya kay insanon kay liay.
Do taleemi/tarbiyati idaray hotay hain, aik Jannat ka, aur doosra Jahannam ka, jo tareekiyon aur sirf tareekiyon ki jagah hai. Aik roshan rasta dikhata hai, jo hum ko Allah kay Bahr-e-Noor say aur bhi qareeb lay jata hai, Allah kay la-mahdood Jannat kay Bahr. Wahan Allah kay laazawaal Asmani Samandar tumhara intizar kar rahay hain. Aur doosra, andhaira aur tareek rasta hai, jis ki taraf Shaytan tum ko bula raha hai, aur dhoka day raha hai. “Meray peechay aao, aao aur ander dakhil ho jao. Tum bahut khush hogay aur mazay karo gay.”
Iss liay, aey logon, main apnay aaqa kay zariyay aap say kuch keh raha hoon. Kia aap nay kabhi aisa manzar dekha hai, tamasha gah (stage/theatre) par, jab drama chal raha hota hai? Wahan sab kuch andhaira kar dia jata hai, aur sab log andhairay main baith kar kuch dekh rahay hotay hain. Shaytan kehta hai, “Aey logon, main tum ko ab tareekiyon se nikal kar roshniyon ki taraf lay ja raha hoon. Tum ko bahut kuch milay ga, unn tareekiyon mian. Tum ko bahut kuch dekhnay ko milay ga. Agar tum andhairay main na raho, tu tum ko (screen par) kuch na nazar aey. Nahin. Iss liay main tumhain andhairay main lay ja raha hoon, kyun keh tum ko iss tarha bahut kuch nazar aey ga.” Laikin, asal main, tum sirf (black hole ki) tareeki main ho, tum ko wahan rakha gaya hai, phir tum ko sab nazar aey ga. Jab tak tum tareekiyon main nahin baitho gay, tum kuch na daikh pao gay. Yeh hai Shaytani taleem.
Shaytan hazaron jaal aur makar-o- faraib kay tareeqay istimaal karta hai. Jab aap tareeki main qadam rakhtay hain tu aap kuch nahin daikh paatay. Jo aap kartay hain, wo khud nahin samajh paatay. Is ka matlab hai keh Shaytan kay chailay tareeki main aap ko pakar laytay hain, aur (stage par) aik naatak kartay hain, kehtay hain, “Dekho, dekho, dekho.” “Haan main dekh raha hoon, laikin main wahan nahin hoon, main uss (stage) naatak main nahin hoon, main tu yahan hoon.” Agar koi wahan par apni aqal istimal karta hai, Shaytan jaldi say uss ko nikal bahar karta hai. “Hum wahan kuch nahin dekh saktay. Hum wahan nahin hain.” Shaytan uss ko bahar nikal dayta hai, takay wo doosron ko na bata sakay. Chunanchay, Shaytan bay shumar tareeqay apnata hai faraib aur jaal sazi kay, logon ko dhoka dainay kay liay, takay wo nabiyon aur asmani paighambaron ki taleemat par dhiyan na dain. Wo kehta hai, “Yeh kuch nahin. Main aa raha hoon tum ko dhoka dainay kay liay.”
Chunanchay, humaray waqt main, Shaytan logon say, khas taur par aalim fazil logon say, yeh kehelwata hai kay, “Humaray paas bahut aqal aur samajh hai, aur humain apni aqal ko hi apna paimana banana chahiyay; har cheez kay liay aik paimana hota hai. Humain apni aqal ko apna khuda banana chahiyay. Humain apni aqal aur musbat/zahiri (positive) ilm kay samnay sajda karna chahiyay.” Wo aisay kartay hain jaisay wo khuda hain. Wo kehtay hain, “Koi khuda nahin, sirf wohi hai jo hum dekhtay hain aur samajhtay hain apni aqal aur musbat (positive) ilm say. Hum ussi ko sajda kartay hain.” Yeh sab say bara gunah hai insanon kay liay, jo unn kay chehron ko badal dalay ga, aur unn kay asmani nuur ko chheen lay ga jo unn ko ata kia gaya tha unn ki paida’ish kay waqt. Jab aik bacha paida hota hai, wo kitna masoom hota hia, laikin jab wo bara hota hai tu Shaytan uss kay zahan aur samajh kay sath khailta hai, us ski aqal kay sath khailta hai. Wo chahta hai ko unn sab ko Allah ta’ala ka munkar bana day.
Wo keh rahay hain, “Upar kuch nahin hai. Sab kuch humaray samnay hai.”Musbat/zahiri ilm. Wo kehtay hain, “Hum jab tak kisi cheez ko janch na lain, hum uss waqt tak uss baat par yaqeen na karain gay.” Yeh hai unn ki samajh, aur yeh sau (100) feesad ghalat hai. Sau feesad bhi nahin, hazar feesad. Ab sari duniya Shaytan kay sikhaey huay inn bay-ma’ani khayalat par yaqeen karnay lagi hai. Wo kehta hai, “Uss par iman na lao jis ko tum nay dekha hi nahin. Laikin agar tum kisi ko khuda banana chahtay ho tu sirf apnay musbat(positive)/zahiri ilm ko banao. Yeh tumharay liay kafi hai.” Aj kal aik bahut mashhoor ilmi soch hai, musbat ilm (positivism), jo ruhaniyat ki munkar hai. Wo kehtay hain, “Hum yaqeen nahin kartay. Hum sirf musbat ilm par yaqeen rakhtay hain, hum musbat log hain.” Yeh Shaytani taleem hai.
Saray nabi asmani taqaton kay sath aey thay. Agar aap un kay chehron ko daikhain, tu bahut farhat aur suroor mehsoos karain. Kis waja say? (Mawlana ko khansi aati hai.) Shaytan ko mera bolna pasand nahin, mujhay khansi karwa raha hai! Lanat ho tum par, l`aanatullah `alayh ho uss par! Sayyidina Yusuf (a) bahut khoobsurat thay. Tamam anbiya, unn kay chehray chand ki tarha roshan aur haseen thay, yeh Allah ki taraf se insanon ko ataa kia gaya hai. Misr (Egypt) kay logon par qahat tha, wo Sayyidina Yusuf (a) kay mahal kay samnay aa kar kharay hojatay thay. Sayyidina Yusuf (a) atay thay, kharay ho kar unn ko salaam kartay thay. Jab wo log unn kay chehray ko dekhtay thay, tu apni bhook ko bhool jatay thay. Wo dekhtay hi reh jatay thay. Jab Sayyidina Yusuf (a) apnay mahal main wapas chalay jatay thay, log tab bhi teen din tak kharay rehtay thay. Teen din tak unn kay husn ka nuur baqi rehta tha, wo log dekhtay thay tu 40 din tak unn ko bhook na lagti thi!
Rabb ta’ala nay bahut husn aur nuur ataa kia hai, apnay naik bandon ko. Chunanchay, Sayyidina Yusuf (a) tamam anbiya main sab say ziada khubsurat thay, (Mawlana kharay ho jatay hain) laikin Khatim un Nabiyyin, Sayyidina Muhammad (s) ka husn uss say bhi zaida tha. Agar Yusuf (a) hilal thay, tu Sayyidina Muhammad (s) poora chand hain! Aur agar Sayyidina Yusuf (a) chand thay, tu Sayyidina Muhammad (s) chamakta hua suraj hain, bawajood uss kay jo Wahabi aur Salafi log (kehtay hain). Main tu kuch bhi nahin keh raha Khatim un Nabiyyin (s) ki shan main, (sirf) Allah (swt) unn ko nawaz rahay hain aur Apnay mehboob tareen banday ko husn say aarasta kar rahay hain!
As-saalamu `alaykum, Aey humaray sami’een ! Yeh mat kahain keh ilm sirf unn logon kay liay hai jo colleges, high schools, academies aur universities main parh rahay hain. Yeh mat sochain kay sara ilm aur roshni sirf unn kay paas hai. Nahin, unn ko tu sirf bahut thora ilm diya gaya hai, aik zarray kay barabar. Suno aur iman lao! Main aik tarjumaan hoon, unn mu’azziz hastiyon ka jo asmanon main Allah ta’ala ki bargah main maujood hain. Unn ko nuur ataa kia gaya hai. Agar wo nuur iss duniya par zahir ho jaey tu har cheez uss main fana ho jaey. Yeh mat kaho, “Aey Shaykh, aap mubaalagha araai kar rahay hain.” Yeh mubaalagha nahin. Yeh tu sab say mamooli baat hai jo main kar raha hoon, kyun kay unn kay zahan nahin samajh saktay. Na wo samajh saktay hai na mehsoos kar saktay hain. Yeh mat kaho keh hum bahut kuch kar rahay hain, nahin; yeh bahut kuch nahin, balkay bahut kam hai!
Yeh thein nabuwwat ki batain. Wo aaj raat logon ko kuch bata rahay hain keh unn ko kaisay asmani husn aur jamal ataa kia gaya hai; aap tasawwur nahin kar saktay! Chunanchay, jin ko aisa ilm diya gaya hai asmanon say, wo awliya hain. Agar aap unn ko daikhain, tu aap bardasht nahin kar saktay. Unn ki ankhon main bhi dekh lain tu aap hosh kho baithain, aap gir jaein. Iss liay, wo ziada tar apni ankhain band rakhtay hain, kholtay nahin. Agar koi unn ki ankhon main dekhna chahay, tu wo thak jaey ga, sharminda ho jaey ga, wapas chala jaey ga.
Laikin wo log jo Shaytan ki sikhai hui musbat/zahiri taleem par yaqeen rakhtay hain, aap unn kay chehron ko nahin dekh saktay, bahut badsurat hain, bahut badsurat! Agar aap unn ko dekh lain tu teen din tak kuch na kha sakain. Wo log jo muqaddas taleemat kay khilaf hain, wo kehtay hain. “Hum musbat ilm kay numainday hain.” Unn kay chehron ko dekhain. Aap uun kay chehron ko dus seconds tak bhi nahin dekh saktay, wo itnay badsurat hain. Unn ki tasweerain laein aur dekhain. Aap kia dekhain gay? Aey meray Rabb! O Rabbuna, O Rabbuna wa Rabbu 'l-`alameen.
Yeh thi aaj ki sohbah/bayaan. Aaj raat kuch tabdeeli aaee hai, jo Uss ki marzi Apnay duniyawi numaindon kay liay; anbiya, paighambar asmanon say aaey huay. Jo log asmani nuur par yaqeen nahin rakhtay, unn kay chehray weeraan hain, aur unn ki saans bhi badboodar hai. Uss badboo ki wajah se aap unn kay paas nahin ja saktay. Unn kay jism say bhi itni kharab badboo aati hai. Unn kay sabun (soap) aur ittar (perfume) istimal karnay kay bawajood unn kay jism say badboo aati hai. Laikin wo log jo asmanon say hasil kar rahay hain, unn kay jism say logon ko khushboo aati hai. Aey logon, imaan aur Qur’an kay raston par jamay raho. Rasool (s) keh rahay hain, “Yehi karnay ki koshish karo.” Aap wahan tak nahin puhanch saktay jab tak aap asmanon kay numaindon ki pairwee na karain. Iss baat ka khayal rakhain.
Fatihah. Allah humain maaf farmaein, aey logon.
(Mawlana gunguna rahay hain.)
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah
Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah
Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah
Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Fatihah.
(45 minutes) shukriya, humaray sami’een! Allah aap par raham farmaeay.
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
As-salaamu ` alaykum!