Available in: English   German   Dutch   Arabic   Urdu   Go to media page

Sooraj ki Taaqat ka Markaz aur `Arafaat ki Shaan

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim Adil al-Haqqani

25 November 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)

Dastoor ya RijaalAllah, madad! Dastoor ya RijaalAllah, madad! Agar Wo humain na taufeeq day, tu hum kharay nahin ho saktay! As-salaamu `alaykum,Aey humaray sami’een! Sab say pehlay hum maghfirat mangtay hain iss muqaddas raat main apnay Rabb say. Aaj ki raat muqaddas tareen raaton main say aik hai, jab Haaji Arafat puhanchtay hain, jo Hijaz main aik muqaddas maqam hai. Aur hum iss raat ki tazeem main kharay ho rahay hain, apnay Rabb ki hamd bayan karnay kay liay, Uss ki bay-intiha shaan bayan karnay kay liay, jitna humaray liay mumkin hai. Aur hum Haajiyon ki tarha keh rahay hain, Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah! Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd!

La-mahdud takbir asmanon kay Rabb kay liay, aur hum apni alaa tareen tazeem apnay Rabb ki bargah main mehboob tareen aur mu’azziz tareen banday Sayyidina Muhammad (s) ko paish kartay hain. Hum iss muqaddas raat main maghfirat talab kartay hain, aur hum kehtay hain a`oodhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem! Aey humaray aaqa, azrah-e-karam humain apni hifazat ataa karain jo aap ko inayat ki gaee hai. Mu’azziz tareen logon kay waseelay say humain aisee taaqat di gaee hai, jis say hum sab hifazat aur panaah main hain. (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)

Aur hum kehtay hain, bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem! Aey Bani Adam, tum ko zaroor seekhna chahiyay kay bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem kaho, iss say tumharay roohani aur jismani wujood kay darmiyam haqeeqi rishta qa’yim ho sakta hai. Jab aap kehtay hain bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem,tu aisa nahin ho sakta kay asmanon main humara rishta naa qayim ho, aur phir asmanon main, makhlooq ka Rabb apnay mu’azziz tareen banday (s) ko hukm daita hai kay wo humari iltija ko sunain aur wo ataa karain jis ka hum kamzor banday sawal kar rahay hain! Iss liay, jab hum kehtay hain bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, tu yeh masnooi alfaz ki tarha humari zaban say adaa hotay hain, kyun kay Allah kay muqaddas Asma-e-Husna tak hum aam bandon ki rasaee nahin ho sakti. Yeh sirf asmani darajat say iss duniya kay sardar ko ataa hota hai, aur wo apnay maqam kay mutabiq asmani darajat say hasil kar rahay hain, kyun kay asmani darajat bay-shumar hain. Yeh inayaat ab tak wujood main anay walay tamam logon tak puhanch rahi hain, aur unn tak bhi puhanchain gee jo wujood main aein gay.

Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, yeh asal sarchashma hai taaqat ka, jo Bani Adam ko kharay honay ki taufeeq daita hai. Aur humari zameen bhi aisay hee taaqat hasil kar rahi hai jab hum Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem kehtay hain. Tamam duniya khudd bhi gunguna rahi hai aur iss kay itraaf main bhi farishtay khubsurat gunn gaa rahay hain bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, waqt kay uss mahdud tareen hissay main 7 baar yeh wird humaray sayyaray kay gird kia jata hai. Agar aisa na ho, tu humara sayyara harkat bhi na kar sakay ya bilkul murda saakat ho jaey, jaisay science-daan Mars kay baaray main samajhna chahtay hain aur sirf paththaron ko dekhtay hain aur kuch nahin, kyun kay tamam sayyaron ka bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem parhna khatam! Jab wo khatam, tu wo aik murda sayyara ban jaein gay, khala main safar karta hua.

Abhi humara sayyara aik zinda sayyara hai, aur kon si cheez iss ko hayat ataa karti hai? Allah ta’ala ka muqaddas Naam, jo zinda log kehtay hain, bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem! Iss kay zariyay aisee taqat aati hai, jis say humari zameen chalna shuru kar daitee hai, zindagi paa jati hai. Kia sayyaray murda hotay hain? Jee, sayyaray bhi martay hain. Kab? Jab wo bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem kehna chor daitay hain. Jab uss sayyaray ka sardaar khatam ho jata hai, tu wo sayyara bhi mar jata hai. Laikin wo nizam-e-shamsi main maujood doosray zinda sayyaron kay sung harkat kar paatay hain. Sab say bara taqat ka markaz sooraj hai, jis ka sirf aik nazim nahin, shayad 70,000 nazim hain, aur unn main say aik humari zameen par hai. 70,000 sardaron ko sooraj ka nizam sambhalna lazmi hai; agar aisa na ho, tu sooraj harkat bhi nahin kar sakta, na hi tawanaee, roshni, rang ya zindagi day sakta hai, khatam! Wo iss kay zimmaydar hain.

Yeh wo kuch hai jo asmani uloom say ataa kia ja raha hai, sab say nichlay darjay say lay kar upar tak! Bay-shumar sardar hain jo iss nizam-e-shamsi kay itraf main maujood hain, aur iss ko kamal kay sath chalaa rahay hain; koi nuqsaan, ghalat harkat nahin ho sakti, itni bhaari asmani hifazat kay ander hain kay koi iss ka tasawwur nahin kar sakta! Humaray science-daan/ hiyat-daan (astronomers) yeh dekhtay hain laikin kuch samajh nahin patay; nizam-e-shamsi kaisay khudd hi harkat kar raha hai? Yeh sirf iss sayyaray kay liay hi nahin. 70,000 taqat-war asmani hastiyan nizam-e-shamsi ko sambhalay huay hain. Hum koi aik hindsa nahin bata saktay. Aur wo `Arsh kay muqaddas hukm par chal rahay hain, Allah kay muqaddas hukm par, aur wo kabhi ghalat nahin ho saktay. Wo kahan ja rahay hain? Wo la-mahdud samandaron ki taraf ja rahay hain, kay aap uss La-mahdud Samandar kay liay koi paima’ish ya andaza nahin laga saktay, na hi kissi simt, mashriq ya maghrib, shumal ya junoob, aglay ya pichlay hissay ka ta’yun kar saktay hain. Nahin, nahin.

Wo apnay Rabb kay liay alaa tareen hamd paish kar rahay hain, aur chalay ja rahay hain. Aap koi bhaari awaz nahin sunn saktay apnay kanon say; agar aap sunn sakain, tu aap ka wujood uss ko bardaasht na kar sakay aur aap khatam ho jaein. Yeh humaray ilm say bahut balaa tar hai, aur humaray wujood uss ilm kay pehlay darjay ko bhi nahin puhanch saktay. Aap is ki wajah nahin pooch saktay, agar aap poochain tu muqaddas log aap say khitab karain gay iss baray main. Apni samajh ko qa’im rakhain! Aisee cheez ka sawal na karain jo aap ki samajh say bahar hai. Hum iss kay baray main sirf yeh keh saktay hain, kay aik bacha jo maa kay pait main hota hai, uss ko bahar ki duniya ka kuch pata nahin hota, wo sirf apnay itraaf ko mehsoos kar sakta hai. Wo bahar ki duniya ko sirf uss waqt samajh sakta hai jab wo khudd bahar aa jaey.

Iss liay, Insaan kay gird bhi faza hai, aur uss kay bahar aik aur faza hai. Aap zaroor mukhtalif mahol main paida huay hongay. Aap jab bhi upar jana chahtay hain, tu aap ko aik naya roop diya jata hai, aur phir jab aap dobara upar jatay hain tu aik aur naya roop tayyar kiya jata hai. Wo pichla roop kissi na-maloom jaga chala jata hai, aur aik naya huliya aata hai. Aur phir jab aap har jaga puhanch jatay hain aur waqt khatam ho jata hai, aur aap sawal kartay hain, aap ka wujood aur bhi unchay darjay par puhanch jata hai, aur uss say phir wo doosray aur teesray darjay par jata hai aur phir aur bhi ziyada upar chalta jata hai; har baar aap aik na’ey wujood kay sath paida hongay, jo aap kay pehlay wujood say bahut mukhtalif hoga!

Allah! Raastay khol raha hai, raastay khol raha hai. Iss liay, hum sawal kartay hain, Aey humaray aaqa, hum par meherbani karain aur humari samajh kay liay kuch ataa karain. Aur Wo (Allah) farmata hai, “Aey Bani Adam, iss duniya ki makhlooq! Jab duniya main tumhara waqt khatam ho jaey ga, aur sirf tumhara dhaancha (skeleton) baqi reh jaey ga, tu tumhara munaasib wujood iss duniya say upar utha liay jaey ga, aur phir tum aik na’ee shakhsiyat kay sath roonama hogay.”

Aap kuch bhi kahain, inn sab baton ka ilm aap ko uss waqt tak nahin ho sakta jab tak aap khudd iss ka tajarba na kar lain. Iss liay, Allah ta’ala apnay mehboob tareen aur mu’azziz tareen banday ko mairaj ki raat dekha rahay thay, unhon nay wo tamam darajat daikhay jahan say insaan guzar kar tarakki ki manzilain tay karta hai, yahan tak kay wo buland tareen maqam par puhanch gaey, jis kay agay aur koi nahin ja sakta, humaray liay buland tareen maqam wo hai jahan Hazrat Jibraeel (a) hain. Jab aap wahan puhanch jaein tu aap ko rukna paray ga; agar aap uss kay agay janay ki koshish karain, tu aap aik kaali ya safaid kha’ee (black/white hole) main gir kar jal jaein gay, khatam ho jaein gay. Iss liay Hazrat Jibraeel (a) unn mua’zziz tareen banday (s) say keh rahay thay, jab Huzoor-e-Akram (s) nay un ko kaha, “Ae’ein meray sath,” tu Hazrat Jibra’eel (a) nay kaha, “Main iss say agay nahin ja sakta, kyun kay meri shakhsiyat ya mera wujood sirf yaheen tak safar kar sakta hai, iss say agay mera wujood jal kar khatam ho ja’ey ga.” Kyun kay noor kay wo maqamat jahan Khatim-un-Nabiyyeen (s) ki rasaa’ee hai, wahan tamam makhlooq main say koi bhi qadam nahin rakh sakta. Wo maqam sirf aik kay liay hai, wahan koi doosra nahin ja sakta, nahin, nahin.

Jab Khatim-un-Nabiyyeen (s) ki baat hoti hai, tu tamam maqamaat khatam ho jatay hain, Rabb ki bargah main sirf Aik ki rasaa’ee hai, aur la-mahdud sultanat ka Malik, Wo sirf Huzoor (s) kay liay hai. (Allah poochta hai,), “Tum kon ho?” aur sirf aik hasti Rabb kay rubaroo kalaam kar sakti hai, apnay Khaliq say. (Allah poochta hai,) “TUM KON HO” aur jawab aata hai, unn (s) ki taraf say, jo inn tamam maqamat say buland hain. Iss liay, wo (s) kehtay hain, koi bhi nahin yahan, siwa’ey aik kay, do nahin ho saktay! Chunanchay, jab Khatim-un-Nabiyyeen (s) say sawal kia gaya, “Aap kon hain?” unn ka jawab tha, “Do nahin ho saktay; sirf Aik Wahid hai!”

Allah humain maaf farma’ey aur humain aisee samajh ataa karay jo na-maloom sultanat, na-maloom samandar, na-maloom maqamaat say ta’aluq rakhti hai; aisay maqamaat jo gha’ib honay walay hain. Wo maqam, Maqamu ‘t-Tawheed hai, jo mukammal taur par sirf aur sirf Rasool (s) kay liay makhsoos hai, koi doosra uss ka daway-daar nahin ho sakta, nahin. Allah humain achi samajh ataa karay. Aey Bani Adam, aap bahut aham makhlooq hain, aap ko takhleeq kia gaya hai aur wo samajh ataa ki gaee hai jo farishtay bhi nahin paa saktay! Iss liay, Aey Bani Adam, apna waqar qa’im rakhain! Apni izzat na kho’ain. Rabb-e-Kainaat kay khalifa banain. Jab aap uss maqam par puhanchain gay, tu aap khudd ko na-maloom jagah par pa’ein gay, na-maloom sultanat main, na-maloom samandaron main.

Oh, Oh, Ohhhh! Hum kissi choti machli ki tarha nahin reh saktay; jo samandar main sirf aik jaga hi rehti hai, laikin jo sacha khadim hota hai, uss ko yeh maloom hota hai kay wo har jaga apnay Rabb kay sath hai. Allah humain maaf farma’ey, aur hum Allah ta’ala say sawal kartay hain kay wo humain apnay mu’azziz tareen banday (s) ki shafa’at kay waseelay say ataa karay, iss muqaddas raat main aisi alaa samajh ataa karay jo humain sab say nichlay darjay Asfala 's-saafileen say utha kar buland tareen maqam tak lay ja’ey! Aur yeh mauqa sirf aik baar insaan ko ataa kia jata ha; yeh mat samjhain kay hum ko dobara koi mauqa dia ja’ey gay unn maqamaat say guzarnay ka, nahin, khatam! Hum iss qabil nahin rahain gay kay wapas aa kar phir koi qadam utha sakain; nahin, sirf aik mauqa milta hai. Chunanchay, jo koi bhi asmani maqamaat kay zariyay apnay haqeeqi wujood tak puhanch jaey ga, tu uss ka mamla takmeel tak puhanch ja’ey ga. Agar wo uss maqam tak naa puhanch pa’ein, tu wo gha’ib ho ja’ein gay, khatam ho ja’ein gay. Allah aap ko iss muqaddas raat kay zariyay samajh ataa karay, Allah ki Sakhaawat kay Samandar, Uss ki Taaqat kay Samandar aur Uss ki Qudrat kay Samandaron aur Uss kay bay-shumar Samandaron ko samajhnay kay liay, takay hum ko iss zameen aur khalaa main maujood doosray bay-shumar sayyaron ki samajh hasil ho sakay!

(Mawlana Shaykh gungunatay hain.)

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah

Fatihah.

[36 minutes] Kyun kay humari muqaddas taaqatain Hijaz ya `Arafaat main maujaood muqaddas maqaam par masroof hain, aur wo hujjaaj, haajiyon ka istaqbaal karnay main masroof hain, kyun kay log na’ey darajaat par uss waqt tak nahin puhanch saktay jab tak unn ko Rabb ki taraf say “Marhaba!” ki sadaa na suna’ee day. Farishtay bhi tamaam haajiyon ka istaqbaal kar rahay hain aur muqaddas log bhi, aur wo sab masroof hain haajiyon ki hifaazat karnay main, takay wo iss muqaddas raat (`Arafaat) main apna mauqa na kho baithain. Aur hum apnay Rabb say sawaal kartay hain kay Wo hum sab ko aik farishtay say nawazay jo humari numa’indigee karay uss muqaddas pahaar aur muqaddas maqam par, aur humaray wastay wo aisa amal karain jo tamam Musalmanon aur imaan walon kay liay izzat ka baa’is ho, aur wo kahain, Labbayk Allahumma, labbayk! Labbayka la shareeka laka labbayk! Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah! Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd!

Fatihah.

[40 minutes] Kaafi hai, yeh aik Bhaari Samandar hai jis main hum dakhil ho rahay hain aaj ki muqaddas raat main. Iss liay, yeh haqeeqi Taaqat ka Samandar hai jo iss raat jaari ho raha hai, aur humaray dilon say bhi raabta ho raha hai, takay jo so rahay hain wo jaag ja’ein, jo murda hain wo zinda ho ja’ein. Jo `ilm asmaanon say ta’aluq rakhta hai, wo aap ko zindagi bakhshta hai. Koi bhi cheez Insaan ko zinda nahin kar sakti siwa’ey asmaani taaqaton kay jo mo’mineen tak puhanch rahi hain, aur wo baydaar hain, aur wo asal hayaat pa chukay hain, apnay Rabb ki bargah main!

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Dome Dome Dome Dome

Fatihah.

As-salaamu `alaykum, Eid Mubarak! Kitnay baras say hum Mahdi (a) kay humraah `Arafaat main muqaddas raatain guzaarnay ki du’aa mang rahay hain. Waaqa’ee, jo main arz kar chuka wo ab main nahin dohraa sakta, kyun kay jo pehlay guzar chuka, uss kay baad kuch naya aa gaya hai. Koi photocopy nahin hai; wo guzar chuka aur humesha kuch naya puhanchta hai hum tak, Khatim-un-Nabiyyeen, Sayyidina Muhammad (s) kay ihtiraam ki khatir. Allah jaanta hai.

UA-984942-2