Go to media page Available in: English   Dutch   Spanish   Arabic   Urdu  

Paak Bano Aur Meray Paas Aao!

Sultan al Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

10 November 2009 Lefke, Cyprus

Dastoor ya Sayyidee, Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem.

Laa hawla wa laa quwatta illa billahi 'l-`Aliyyi 'l-`Adheem.

Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd!

SubhaanAllah, Sultaan Allah, `Azeez Allah, Kareem Allah.

Nahnu `abeeduka ad-du`afa qawee d`afana bi ridaaka yaa Rabbana bi-jaahi nabiyyika 'l-kareem. Shukran laka yaa Rabbana bi laa hadd wa laa nihaayah.

Aur hum apni tazeem, tamaam tareefain, aur tamaam hamd Aap ko paish kartay hain Aap ki bargah main sab say ziada mu’azziz banday, Sayyidina Muhammad (s) kay liay, Sayyidi 'l-awwaleen wa’l-aakhireen min al-azal ila 'l-abad. Hum khush bhi hain aur humain fakhar bhi hai kay hum unn ki ummat main say hain, alhamdulillah.

Hum keh rahay hain a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Yeh aasmanon ka muqaddas hukm hai kay hum a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem kahain. Humain iss baat ka hukm hai kay hum har na-maqool amal say duur bhagain. Iss liay hum keh rahay a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem, Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Jo koi bhi aasmani waqaar hasil karna chahta hai, uss ko bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem har harkat, har amal aur har koshish kay liay zaroor istimaal karna chahiyay. Har cheez jis kay baaray main hum sochtay hain, humain uss kay liay bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem zaroor kehna chahiyay kyun kay hum kuch bhi nahin. Agar Allah humain aasmani taaqat bhaijay, tu hum wo sab kuch kar saktay hain jis say hum ko izzat milay. Hum phir iss qabil ho ja’ein gay kay bura’ee aur shaytanon ko duur bhaga sakain kyun kay jab hum bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem kehtay hain tu wo dar jaatay hain.

Hum ab wo sunn rahay hain jo Wo humain sikhana chahtay hain. Pehli cheez jo humain seekhni chahiyay, pehli taaleem , pehla sabaq, wohi humari aaj raat ki sohbah ka unwaan hai. Humain ummeed hai kay yeh aik mubaarak sohbah hogi. Wo humain jo day rahay hain, wo hum apnay pait (stomach) say nahin , samajh say hazam kar saktay hain.

Aey humaray aaqa, aey Sultan al-Awliya! Aap iss zameen par honay walay tamaam muaamlaat kay zimmay daar hain! Aap haakim hain, aur aap kay hukm aap ko aasmani darajaat say mil rahay hain, takay aap iss zameen ko uss ki ghaayah, manzil tak puhancha sakain! Aey humaray sardaar! Humaray jismani wujood kamzor hain, aur humari aasmani samajh bhi. Humari madad karain, humari madad karain! Unn logon ki madad karain jo aaj raat ki mehfil main kahi jaani wali baton ko tawajjah say sun rahay hain. SubhaanAllah.

Naya dinn, naya rizq, jee? Kabhi kal ka (roohani) khaana nahin paish kia jata, nahin. Jo Rabb kay numa’indon ko diya jata hai, wo aasmani siffaat main say hota hai. Agar koi unn say milnay jaata hai, koi mehmaan aata hai, tu wo ikraam say unn ki mehmaan nawazi kartay hain, humesha kuch naya unn ko paish kartay hain. Wo apnay mehmaanon say garam joshi say miltay hain kyun kay aasmani hukm hai; agar koi kehmaan aap kay paas aa’ey, tu uss ki behtereen khatir midaarat karain. Apnay mehmaan ko sab say umda tareeqay say nawaazain.

Main ab Shakespeare ki English bol raha hoon, kia aap ko samajh aa rahi hai! Shayad aap kuch seekh ja’ein, laikin main jo samajh raha hoon wo yeh hai kay, apnay mehmaan ki behtereen tawazay karain. Aik aur, mashaa-Allah, Yaa Huu. Main kuch bann sakta hoon, Shakespeare tak puhanch gaya hoon, jee. Wo aik faarigh shakhs tha, likhnay kay ilawa aur koi kaam nahin tha. Shakespeare liktha tha, aur apni tahaareer kay zariyay logon ko baydar karta tha, kyun kay Allah har aik ko aik khaas khoobi ata karta hai. Koi bhi do log aap ko aisay nahin milain gay jin ki aqal faham ya unn kay naam ya jismani waza qata’ yahan tak kay unn kay roohani wujood bhi aik jaisay hon. Aasmani/roohani wujood aik khalaa ki tarah hotay hain, jo mukhtalif rang kay sitaaron say mamoor hai. Hum tu sirf saat (7) rang jaantay hain, jinn say tamaam doosray rang bantay hain. Har aik kay liay aik khaas maqam hota hai, aasmanon main. Unn kay aasmani wujood main aik samaa, falak ya khalaa hota hai, jaisa kay hum aasman par daikhtay hain un-ginat sitaray aik hi rang kay, laikin wo aik hi rang honay kay bawajood mukhtalif hotay hain : kuch ziyada rangeen aur kuch kam hotay hain.

Aey logon, seekhnay ki koshish karo! Sust na bano, sust talib-e-ilm ki tarha. Haqeeqi talib-e-ilm bano, insaan aur kainaat kay raaz samajhnay kay liay, kyun kay Bani Adam main say har aik kay liay uss khufiya ilm main say aik hissa makhsoos hota hai, laikin humaray jismani wujood aik hi jaisay rang, aik hi jaisay manaazir dekh rahay hotay hain. Humara haqeeqi wujood humara roohani wujood hai, humari roohaniyat; sab ki roohaniyat mukhtalif hoti hai. Kyun kay wo mukhtalif hoti hai, issi liay mukhtalif uloom sab par zahir hotay hain. Aap 7 qissam kay rang jantay hain, jin say tamam doosray rang paida hotay hain. Asal jar (root) yeh 7 rang hain, aur hum bhi 7 rangon par ruk jatay hain, laikin darakht nahin ruktay; har shaakh main aap ko aik mukhtalif rang nazar aey ga. Agar unn main say aik bhi humaray haqeeqi wujood par zahir ho jaey tu hum gir jaein, yehi humain jeeti jagti, da’imee taqat deyti hai. Da’imee taqat kia hai, aap jantay hain ? Wo humari rooh ki taqat hai, roohaniyat ki da’imee taqat. Aap ko aik jaisee do roohain nahin mil saktein, aur humaray roohani wujood kay mutabiq wo haqeeqi hain, naqli nahin.

Hum ab iss duniya main reh rahay hain, aur humari zindagi masnooi hai, humaray wujood masnooi hain. Humari asaliyat humari takhleeq kay mutabiq hai: pehla darja, doosra darja, teesra darja, chautha darja, paanchwan darja, chhata darja, saatwan darja, asman kay saat darjay aur maqamat hain. Bani Adam uss tajalli, inkishaf kay zair-e-asar hongay. Iss liay, har aik ki roohaniyat yahan mukhtalif rangon main nazar aati hai. Yeh muzahira jo hum dekh rahay hain, bahut saada si cheez hai, jo humain andhairay main nazar aa raha hai. Laikin asal main yeh asmani maqamat main zahir ho rahay hain, roshan nazaron ki tarha, tareek nahin. Unn ka asman andhaira nahin. Wahan tareeki nahin. Aap ka asman/ufaq kabhi doosray shakhs kay asman ki tarha nahin ho sakta. Har aik ki rooh ko alag alag rangon say arasta kia gaya hai, aur unn ka ta’aluq bhi mukhtalif asmani darajaat say hai. Unn 7 darajaat main say jo bhi aap kay liay makhsoos hoga, uss ki tajalli aap par zahir ho jaey gi.

Aey logon! Yahan kia hai? Aik jaanwaron ka astabal (stable), aur hum jaanwaron ki gandagi main reh rahay hain. Yeh tamam duniya gandagi say bhari hui hai; sab iss ko ganda kar rahay hain, yahan gand aur kachra daal rahay hain. Aap kia samajh rahay hain? Aap jaanwaron ki ghalaazat main daur rahay hain. Sab ka kaam yahan par gand daalna hai. Hum kaisay khush reh saktay hain? Aap har taraf say gandagi ki zidd main hain, aur apna gand bhi yahan daal rahay hain? Aap duniya say kyun muhabbat kartay hain? Aap ko apnay kapray saaf rakhnay chahiyay, aap ko badalna paray ga. Paak kapray pehnain, aur jannat main sab kay liay aik paak libaas tayyar kia gaya hai. Asmanon main, koi gandagi nahin, gand sirf iss duniya main hai. وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ - wa thiyaabaka fathahhir - "Aur apnay kapray paak rakho." (74:4)

Apnay haqeeqi wujood ko gandagi say paak rakhnay ki koshish karo. Jab bacha chota hota hai, tu uss ki gandagi aik khaas jaga jamaa hoti rehti hai, maa nay iss kay liay intizam kia hota hai, jab wo ganda hojata hai, tu maa uss ko saaf kar kay doosray ka intizam karti hai.

Iss liay, asmani hukm hai, Aey logon, wa thiyaabaka fathahhir. Hum tum ko insaaniyat kay libas main malboos kar rahay hain. Uss ko paak karo, phir tum dekho gay, aur aisay maqamat par puhanch jao gay jahan koi gand, koi badsurti, koi tareeki, koi jahalat, koi mushkil, koi museebat nahin hogi. Saari (mushkilaat) sirf iss waja say hain kay aap kay wujood gandagi main hain, laikin jab hum apnay libas tabdeel kar kay paaki ikhtiyar karain gay, tu wo (asmani log) humaray haqeeqi wujood ko araasta karain gay nazheef, paak libaas say. Chunanchay, ambiya logon ko sikhanay kay liay aa rahay thay, kay wo kaisay apnay aap ko paak rakh saktay hain, aur unn ko nabuwwat sirf iss liay ata ki gaee thi kay wo Bani Adam ko paaki ka sabaq dain. Laikin jab bachay chotay hotay hain, tu wo kabhi nahin chahtay kay unn kay kapray tabdeel kiay jaein, wo bhag jatay hain, unn ki maa’ein unn kay peechay daurti hain, unn ko pakar kay unn kay kapray badalti hain, paak kapray pehnati hain. Asman aur humaray haqeeqi wujood humari dekh bhal kar rahain gay. Jab hum paak ho jaein gay, tu hum apnay asal maqam tak puhanch jaein gay : wo pehla darja bhi ho sakta hai, doosra, teesra, chautha, paanchwan, chhata ya saatwan darja bhi ho sakta hai. Apnay maqam kay mutabiq humain oopar lay jaya jaey ga.

Iss liay, Allah ta’ala nay hukm dia hai, apnay mehboob tareen aur muazziz tareen banday (s) kay zariyay, kay wo apni ummat, apnay khandan aur tamam insanon ko yeh bata dain, “Aey logon, aao aur paak bannay ki koshish karo. Paak bano.” Yehi asal maqsad hai nabuwwat ka. Wo bhag rahay hain, kehtay hain, “Nahin humain yehi pasand hai.” (yani ganda rehna). Aap ko khana bhi pasand hai. Aap kyun keh rahay hain kay, “Humain pasand hai?” Iss ka matlab hai aap ko gandagi khana bhi pasand hai. Wo ambiya say itnay na-khush hain aur unn say door bhag rahay hain aur unn par hamla bhi kar rahay hain, qatal bhi kar rahay hain. Laikin koi nabi unn logon kay hathon nahin qatal huay; wo foran utha liay jatay thay aur unn ka masnooi jismani wujood zameen par reh jata tha. Unhon nay Sayyidina Yahya (a) ka sar qalam kar dia tha. Sayyidina Yahya (a) kahan hain? Unhon nay kia kiya? Logon nay kaha, “Hum nay inn ka sar kaat dia.” Nahin, wo tu oopar utha liay gaey thay aur unn ka paak jisam zameen par baqi reh gaya, takay log ussay dekhain aur samjhain kay agar aik insan paak ho, tu koi bhi uss ko museebat ya pareshani main mubtila nahin kar sakta, kyun kay wo foran upar utha liay jatay hain!

Sayyidina Issa (a) kay baray main bhi log kehtay thay kay Romi logon nay unn ko pakar kar sooli par charha dia tha. Shuru say lay kar akhir tak yeh jhoot hai, kyun kay koi asmani logon ko haath nahin laga sakta. Agar tamam insaan bhi aa jaein, wo uss ko nahin chhoo saktay. Sirf Hazrat Issa (a) ki tarha ka aik insaani jisam unn kay samnay tha. Sayyidina Issa (a) kahan thay? Wo upar utha liay gaey thay, laikin wo zameen par maujood uss shakhs ko lay gaey aur sooli par charha dia. Wo kehtay hain kay Hazrat Issa (a) ko salaib (cross) par qurban kar dia gaya tha. Nahin, kabhi nahin! Jab wo uthaey janay kay liay tayyar thay, tu aik tabdeeli aee unn kay jisam main, aik asmani tabdeeli, aur unn ko utha lia gaya. Agar koi unn ko chhoonay ya salaib par charhanay kay liay unn kay paas aya bhi, tu wo peechay gir gaya. Yeh koi aizaz nahin jo Issai logon nay Hazrat Issa (a) ko dia ho. Asmanon kay Rabb nay kabhi apnay mehboob banday ko sooli par charhnay nahin diya. Hum qubool nahin kartay!

Yehi farq hai humaray aur Issai logon kay darmiyan, aur main faisla Allah kay zimmay chorta hoon, kay hum sahi tareeqay par hain ya Issai. Musalman hi sahi tareeqay par hain, kyun kay Islam nay hi humain agah kia hai, Sayyidina Issa (a) ki tazeem aur unn ki asmani hifazat kay baray main. Yehi unn ki izzat aur ikram hai, laikin wo nahin maantay jo hum kehtay hain. Agar wo insanon main say nahin thay, jaisa kay aap kehtay hain aur yaqeen rakhtay hain, tu main nahin samajhta kay Allah apnay mehboob ko sooli par charhnay deyta. Yeh kia hai? Jee, wo (Allah kay nabi [a]) upar lay jaey jatay hain, wo paak hain. Gandagi sirf unn logon par hai jo ambiya ki paaki ko qubool nahin kartay, aur kabhi asmani aur zameeni makhlooq kay darmiyan farq ko nahin samajhtay. Jo koi bhi na-paak hai, asmani darajat tak nahin puhanch sakta! Iss liay Allah ta’ala farmata hai, wa theeyaabaka fatahhir, “Tum Meray paas aa rahay ho; paak bano aur phir meray paas aao.” Allah humain maaf farmaey.

(Mawlana Shaykh gungunatay hain.)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhan Allah

Subhaan Allah, Sultaan Allah,

Subhaan Allah, Sultaan Allah

Subhaan Allah, Sultaan Allah

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Yeh hai aaj ki sohbah, jo aaj raat kay liay munkashif hui hai. Yeh khaas inayat hai jo Rabb ki bargah say aa rahi hai; yeh Uss kay bandon kay liay hai, kay unn ko kaisa banna chahiyay. Uss ki muqaddas Zaat say bahut say raaz munkashif hotay hain! Aey insaan, aik rang ko muntakhib kar lo. Aap ko bahut izzat di jaey gee, jab aap asmano par puhanchain gay aur farishtay kahain gay, “Aey paak banday, marhaban, marhaban, khush amdaid, khush amdaid!

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

O Rabbuna! Anta Hasbuna! Anta Waliyuna! Anta Mawlana, Aap tak puhanchnay ka raasta humaray liay asaan banaein. Hum paak banna chahtay hain, apnay maaddi wujood ki ghalaazat nahin uthana chahtay. Hum Aap ki muqaddas bargah main paak ho kar puhanchna chahtay hain. Humain maaf farma dain, Aey humaray Rabb!

(43 minutes) Wo jantay hain. 3 minutes unn logon kay liay, jo humaray bayan ko likh rahay hain, aur mujhay durust kartay hain jab main logon say khitab kar raha hota hoon, unn ko naee samajh dainay kay liay, insaan aur uss ki rooh kay baray main, insaan ki asmanon main tazeem kay baray main, takay wo jaag jaein, paak ho jaein aur fiza main parwaz karnay kay liay tayyar ho jaein! Allah humain maaf farmaey. Alhamdulillah wa Shukrulillah

(45 minutes) Wo janta hai, kon sun raha hai aur kon yaad rakhta hai. Allah humain maaf farmaey, apnay mehboob tareen aur muazziz tareen banday Sayyidina Muhammad (s) ki tazeem kay wastay. Fatihah. Jo wo humain day rahay hain, humain zaroor kehna chahiyay. Allah humain maaf farmaey.

(Mawlana Shaykh khushi say Shaykh Hisham say phone par baat kartay hain.)

UA-984942-2