Available in: English   Italian   Dutch   Arabic   Urdu   Go to media page

Endless Dimensions Interwoven

Mawlana Shaykh Nazim al-Haqqani

11 November 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain)

Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd! Alfu salaat, alfu salaam, hazaron tareefain aur tazeemaat sub say buland izzat walay, Bargah-e- Illahi mai sub say ziyadah mehboob, Sayyidina Muhammad (s) par. Humain unn key Ummat honay ka aizaaz hasil hai. Ai hamamray Rabb hamain maaf kar day! Aur apni la-mehdood rehmanton may say humain ataa kar, takeh hum tairay achay banday bun sakain, khadim, aap kay aasmani darjaat kay liyai.

(Mawlana Shaykh biaith jatay hain)

As-salaamu `alaykum hamaray sami`iin, mashriq o maghrib, aur sumal o junoob mai. Khudai ehkamaat aasmano tak atay hain, aur aasmano say yeh ehkamat, ambiya aur rasoolon kay zaryai is zaeen tak pohonchtay hain. Bargah-e-Illahi mai har cheez: لَّا مَقْطُوعَةٍ وَلَا مَمْنُوعَةٍ - laa maqtu`atun wa la mamnu`a – jo na khatam hon gay aur na mana hon gay, Al-Waqi'a [56:33]

Kuch bhi rukk kar dobarah shuru nahi hota. Aasmani maqamaat say har cheez zameen tak baghair rukawat kay pohonchti hai, kabhi nahi rukti, aati rehti hai, aati rehti hai, kyun kay humaray Rabb key makhlooq la mehdood hai. Jari rehnay wali. Kabhi nahi rikti.

Aur hum apnay aaqa say madad mangtay hain, humaray iss sayyaray kay aaqa say, dunya, kay yeh sayyara unn kay hukum pay chal raha hai. Kya tum nai koi gari kisi driver kay baghair chalti hui daikhi hai? Nahi ho sakta. Phir kaisay tumhara Rabb yeh chahay gHow is your Lo kay yeh sayyara, jiss pay hum rehtay hain, apnay aap hee chalta rahay? Na-mumkin. Zaroor koi hona chahiyai jo iss sayyaray ko uss key aakhri manzil tak pohonchai. Jee, iss duniya key aik manzil muqarrar hai, laikin aik la-mehdood manzil. Aik had ko pohonch kar phir aik nai taraf chal parti hai, aasmani sardaron kay hukum kay mutabiq. Aur aasmani sardar, woh muqaddas logon mai say kisi aik say yeh kaam karwatay hain.

Muqaddas log kaun hain? Muqaddas log, paak log hain. Agar koi shakhs paak nahi ho ga, woh muqaddas nahi ho sakta. Aur sardar banana say pehlay, paak hona zaroori hai. Kyun kay yeh darajat aik say doosray tak kabhi khatam nahi hotay. Woh, jo sardaar hai, usay tayaar rehna hota hai takeh woh aglay aasmani darjay par ja sakay. Aasmani darajat, hum sirf saat(7) darajat kay baray mai jantay hain, laikin har darja, aik nai darjay mai ja khulta hai, jisay nahi jaana j sakta jub tak kay koi shakhs pehlay darjay tak na pohonch jai, aur in aasmani darajat key koi had ka ikhtataam nahi hai. Ooper say ooper, say aur bhi ooper, barhtay chalay jatay hain. Kyun kay Aasmano ka Rabb, Woh ataa karnay wala hai aur uss key ataa kabhi khatam nahi hoti. Ataa karnay ko aur bakhsish dainay ko, Allah Azwajal, woh pasand karta hai bakhshish daina. Iss liyai allah azwajal key ataa apni nai say nai makhlooqat par la-mehdood hain. Allahu akbar!

Ai hamamray sami`iin! Kuch samajhnay key koshish karo.mai janta hunk ay har aik kay samajhnay ka koi darja hota hai, laikin ziyadah tar log apni samajh kay asli darjay tak pohonchnay key koshish nahi kartay. Hamaisha woh neechay hee rehtay hain. Neechay rehnay ko choro. Ooper say ooper janay key koshish karo! Kyun kay tumharay Rabb key ataa la-mehdood hai. Ubb hum kehtay hain apnay sardar kay liyai, jo iss sayyaray ka khayaal rakhtay hain, aasmano kay muqaddas ehkamat kay mutabiq, jo chalta jar aha hai aik simt mai. Kitni simtain hain? Bay shumaar. Hum chay(6) simtoun kay baray mai jantay hain: dayan, bayan, aagay, peechay, ooper aur neechay. Laikin hamamray darjay kay hisab say, hum simtoun key gintee nahi kar saktay. Hum iss zameen par teen (3) dimensions mai rehtay hain. Aur kya hum sochtay hain kay koi chothi (4th) dimension nahi hai? Jab Einstein iss kay baray mai soch raha tha, tou woh pagal honay wala tha. Hum inn dimensions kay andar rehtay hain iss liyai hum iss baray mai samajh nahi saktay. Oh, aur woh yeh hee thors sa samajh saka kay “sirf teen (3) dimensions hee kyun hain? Kiss nay in ko sirf teen (3) dimensions key qaid mai rakha hai?" kya yeh mumkin nahi kay koi chothi(4th) dimension bhi ho aur chothi kay baad panchwi (5th), panchwi kay baad chatty (6th), chatty kay baad saatwin (7th), saatwin kay baad aathwin (8th),aur aathwin kay baad ho sakta hai nowin(9th) ho? Aur uss kay baad ho ga aik aur sifr.

Agar koi shakhs uss maqam tak pohonch jai, tou woh daikhay ga keh sirf Aik hai, aur Aik kay saamnay, saray sifr. Aik sirf makhlooq kay Rabb kay liyai hai. Uss kay aagay har cheez sifr hai! Jub aap sifr ho jain gay, tou aap ko aik aur darjay par lay jain gay, aur uss key dimensions bilkul aisay hon gee (Mawlana apnay haathon key ungliyan mila kar dikhatay hain). Mil jatay hain, aik doosray kay mutazaad. mutazaad dimensions namudaar hon gee. Aur iss liyai, humari dimaghi samajh mehdood hai; shayad aik zarray key hadood mai. Aap aik zarray kay paar daikh kar shayad uss kay darajat samajh sakain. Agar aap uss mai naa aa sakay, tou uss kay baray mai kuch samajh nahi sakain gay. Jee, jub aap aik zarray kay saha – khulli jagha- mai dakhil hotay hain, woh zarra uss mai hota hai. Zarra aik dairay mai uss ko ghairay huai nahi ho sakta, laikin zarra kabhi nahi samajh sakta kay kaun see cheez usay ghairay huai hai, uss ko dhankay huai hai aur ussay pakray huai hai uss key bunyad mai.

Iss liyai, jub tak kay hum ooper jatay rehtay hain, aur oonchay hotay rehtay hain aik darjay say doosray darjay mai, phir uss darjay say aik aur darjay tak, hamara ilm parwan charhta hai. Pehlay hum apnay asl wajood ko daikhtay hain aur yeh jaantay hain kay woh tou sifr hai! Sifr. Laikin woh asl wajood sirf Uss Aik kay liyai hai. Kisi key hasti, ya asl hasti apnay liyai nahi hai, apnay andar ya uss kay andar. Nahi, kabhi nahi! Iss liyai, jub aik insaan asliyat mai ooper uth raha hota hai, woh samajh jata hai kay asliyat mai sirf Aik hee hai. Aur jub woh uss Aik ko daikhtay hain tou jaan laitay hain kay woh sifr hain! Sifr. Agar aik nahi, tou kuch nahi. Aur, agar woh sifr, Aik kay bain (left) janib ho ga, tou uss key koi qeemat nahi. Kuch nahi. Laikin aik sifr say pehlay aa jai, tou uss ka koi wajood hota hai, kuch bun jata hai. Laikin woh tou sifr hai. Aik sifr kay aagay jai tou 10 banta hai.. dou (2) sifr lagain jo 100 banta hai. Aik kay samnay teen (3) sifr lag jain tou 1000 banta hai. Woh sifr barhta jata hai laikin saath hee usay samajh aanay lagti hai kay uss ka wajood asl nahi. Uss par aik baat zahir hoti hai, "Mai tou sifr hun, laikin mairay girdh yeh haste kaun hai? Mai janta hun mai sifr hun." (Mawlana apnay saath kay logon say poochtay hain, "laikin woh kya hota hai aasman may aatish jo ooper key taraf uratay hain") aatish-bazi. Kehta hai, "Mai janta hunk ay mai sifr hun, laikin iss kay bawajood mujhay pata hai kai mujhay kuch ataa kiya gaya hai. Aik key tazeem kay liyai, mujhay la tadaad qeemat ataa key gai hai aur taskeen aur uloom aur samaa`atain aur bohot see ataa hoti hai mujh par kabhi na khatam honay wali. Aur mai tou kuch bhi nahi."

Woh muqaddas ho ga, uss kay ilawah koi aur muqaddas nahi ho sakta. Jee, uss muqaddas shakhs ko waisay hee chalna hota hai jaisay ussay aasmani hukm ho. Iss hee liyai woh koi ghalti nahi kartay. Woh hamaisha sirat ul mustaqeem par rehtay hain, seedhay rastay par. Yahan ya wahan nahi. Nahi. Aur woh muqaddas shakhs hota haiaur Aasmano ka Rabb apnay seedhay bandon ko hukm daita hai, apni bargah kay muqaddas logon ko, "mairay bandon ko seedha banao. Mai unn ko Muqaddas Samandaron may sau kuch ataa kar raha hun." Koi nahi jaan sakta kay unn Ataa kay Samandaron mai say muqaddas logon ko kya milta hai. Muqaddas log uss samandar may say hotay huai, fanah ho jatay hain, woh samandar mai hotay hain aur samandar unn mai-koi tafreeq nahi hoti wahan. Koi "Mai" ya "Tum"nahi hota. Nahi. Khatam! Aur muqaddas log jo aasmano say bhaijay gai, woh sachay aur asl hain. Woh asl mai Muqaddas Samanadaron tak pohonchtay hain hamamri qainaat say bhi aagay. Woh jo kehtay hain, woh sub say buland aura alag hai. Kisi bhi hadood say paar woh humaray paas aatay hain.

Iss liyai, hum apnay sardar say sahara mangtay hain, seekhna chahtay hain aur takeh woh sikhain unn ko jo sunn raha hai. Jo suntan hai, kuch paata hai. Jo nahi suntan, woh makhlooq kay nichlay tareen darjay par hon gay, patharon jaisay. Pathar aur woh aik say hon gay. Koi tazeem na ho gee. Aur tum abhi aik pathar pay ho. Pathar ko choro aur buland honay key koshish karo.

Iss liyai ambiya aasmano say aatay hain, aur unn kay ehkaam bhi aasmano say aatay hain. Aur aasmani ehkam aap kay liyai aik khaas raasta banatay hain apnay asl wajood tak pohonchnay ka, uss aasmani darjay may. Allahu akbar! Allah hamain maaf karay.

Aik aur baar, As-salaamu `alaykum! Yeh salaam aap ko saaf karta hai aur mujhay bhi saaf karta hai aur aap say gandagi duur karta hai. Jis waqt bhi aap kehtay hain as-salaamu `alaykum woh aap kay wajood say bad-soorti lay jata hai, lay jaata hai aap say aur aap nazar aatay hain aasmani hastiyon say, bohot roshan, bohot nurani, aur bohot tareef walay. SubhaanAllah! Aur ubb hum bol rahay hain, woh mujh say bolwa rahay hain aisi batain aap ko woh darjaat dikhanay kay liyai jo aap aasani say paa saktay hain. Jub aap pehlay darjay pay pohonchain gay, aap uss darjay key zeenat may hon gay. Aasmai khitaab ho ga: وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ - wa thiyaabaka fathahhir - "Aur apni poshaak saaf kar." (74:4), pehlay darjay tak pohonchnay kay liyai apnay aap ko saaf karo. Aur doosray darjay kay liyai aik aur hukm hai apnay libaas ko tabdeel karnay ka aur apnay aap ko doosray darjay kay liyai tayaar karnay ka. Jub pohonch jain, aik aur khitaab aai ga, wa thiyaabaka fathahhir. Tayyar ho jao teesray darjay par janay kay liyai, chothay, panchwain, chatay aur saatwain darjay par jaanay kay liyai. Won darjaat, hum sirf unn key baat kar rahay hain, laikin na-mumkin hai wahan pohonchna apnay asl wajood kay baghair.

Kyun kay koi bhi iss maadi wajood kay saath aasmano tak nahi pohonch sakta; tou ussay zaroor rabitah karna ho ga apnay aasmani wajood say. Agar aasmani wajood na ho, tou hum aisay hain jaisay koi jahaaz motor kay baghair, buss choti machine lagi ho uss mai. Woh runway par sirf aagay aur peechay ja sakay, aai aur jai, aai aur jai. Laikin jub aap tak aasmani wajood pohonchta hai, tubb woh taaqat aap ko doosray darjay tak lay jati hai. Aur jub aap ko iss mai kafi kamala hasil ho jai, takmeel, tou aik aur taaqat aati hai, aap ko teesray darjay par lay janay kay liyai, chothay, panchwain, chatay aur saatwain. Saatwan darja, woh aam aadmi kay liyai aakhri maqam hai; woh iss say ooper nahi jatay. Kyun kay iss kay baad, koi khaas makhlooq hai jo iss say agay tak jaa sakti hai, aur saat darjaat may say. Aasmani darjaat mai aap la-tadaad simt mai ja saktay hain, sirf chaar ya chay simtain nahi, nahi. La-tadaad simtain!

aap apnay darjay may, mashriq o maghrib, sumaal o junoob, ooper aur neechay pohonch saktayhain. La-tadaad! Allahu akbar. Aap ko wahan taskeen milay gee. Sirf kuch logon kay liyai, khasiyat hai. Saatwain kay baad khas hastiyan hain jinhain Aasmano kay Rabb kay khalifa honay key askiyatain haasil hain. Agar nahi, tou kabhi ooper nahi jatay. Allah hamain maaf karay.

Ai logo! Hum ubb keh rahay hain, a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem. Ubb iss ko kehnay ka waqt ho gaya hai, a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem kyun kay shaytan chahta hai logon ko tareekiyon may lay jai, aur woh Bani Adam say itna hasad karta hai kay woh kabhi nahi chahta kay unn may say koi behtari key taraf jai. Iss liyai, woh chahta hai kay unhain tareek saltanaton may, neechay aur neechay aur neechay layta jai. Allahu akbar. Iss liyai, ai logo, hum aai hain abhi kehnay ko, a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem. Yaad rakho kay tum nay aisi cheez kay baray mai kya sunn rakha hai aur ussay samajhnay key koshish karo. Aur hum jo keh rahay hain woh bohot saadi baat hai. Agar hum iss say thora opper jain, tou koi samajh nahi sakay ga. Aur Shaytan chahta hai logon ko takhleeq kay tareeq samandaron key saltanaton may lay jaana. Aur humain kehna chahiyai bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Yeh aik chabi hai ya label hai jis pay likha hai, "iss shakhs ko ijaazat hai sirf aasmano kay pehlay darjay tak pohonchnay key. Raasta dou!" Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Aur jub tak kay aap keh rahay haing bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem, aap kay liyai nai raastay khulain hain. Farishton may say darbaan kahay ga, "Kholo, naya shakhs aa raha hai. Uss kay liyai doosray darjay kay raastay khol dou, ya teesray, ya chothay, paanchwain, chatay ya saatwain."

Koshish karo. Kum az kum yeh kaho kay, "Hum sunn rahay hain aur hum khush hain. Go keh hum abhi kuch samajh nahi rahay, laikin hum chahtay hain apnay liyai aik darwaza kholna, ooper key jaanib janay ko, aasmano kay la-mehdood nuuraani darjaat key taraf buland honay ka." Aap ko ataa ho ga. Allah humain maaf karay sub say buland tazeem walay key tazeem key khatir.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Ai logo! Aasman kay har darjay kay liyai aik alag ilaaqah hai jo kabhi pehlay walay jaisa nahi ho sakta. Doosra ooper jata hai. Iss liyai hum yahan hai, aur aisi moseeqi suna rahay hain aur farishton key tasbeehaat aasmani darjaat may say. Ohhh, ohhh subahanAllah. Tum kehtay ho, "tum kya keh rahay ho, kisi qism key bakwaas," laikin log tou keh rahay hain kay yeh hamari rooh kay liyai acha hai. Mai jaanta hun.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Mai pasand karta hun apnay liyai Daood (a) kay jaisa gaana, kay jub woh Zaboor key tilaawat kartay thay tou pahaar unn kay saath gaatay thay. Darakht unn kay saath gaatay thay, parinday unn kay saath gaatay thay- bohot khoobsoorat awaaz! Aur uss darjay say aap ko sunana chahiyai, inshaa-Allah. Hum sunn saktay hain, laikin yahan, aik ghalaasat say bharpoor duniya mai, hum kya keh saktay hain. Hum sirf keh saktay hain-

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

(47 minutes)

Fatihah.

(Mawlana shaykh Shaykh Hisham aur Hajjah Naziha say telephone kay zariyai baat kartay hain.)

Shaykh Hisham: MashaAllah Mawlana, `ala al-dharra wal-atom wal buhoor.

Sultan Shaykh Nazim: maashaa-Allah barakaatak.

Shaykh Hisham: maa tarakta bahar illa dakhaltu feehi.

Sultan Shaykh Nazim: haadhaa mawlay's power, alhamdulillah.

Shaykh Hisham: haadha mish bahr, haadha fadaa min al-buhoor.

Sultan Shaykh Nazim: Allah Allah. Universe bihaalu.

Shaykh Hisham: Allah ya`ateek al-quwwah.

Sultan Shaykh Nazim: mithla maa taqool yakoon lakum kadhalika

Shaykh Hisham: maraja albahrayni yaltaqiyaani [55:19] .He has made the two seas to flow freely (so that) they meet together

Sultan Shaykh Nazim: maraj bahr al-wilayah wan-nubuwwah.

Shaykh Hisham: Mawlana, aap nay koi samandar nahi chora jiss mai humain daakhil na kiya ho. Woh samandar nahi, woh tou fada hai, samandaron key qainaat.

(325)

UA-984942-2