Available in: English   Dutch   Spanish   Urdu   Arabic   Go to media page

Raabitah: Connect Your Heart

Sultan al Awliya

Mawlana Shaykh Nazim Adil al-Haqqani

9 November 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hojatay hain.)

Dastoor ya RijaalAllah. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem. Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd! Aey humaray Rabb, hum du’aa maang rahay hain aur tauba kartay hain. Hum Aap say Aap ki rehmat maangtay hain. Aey humaray Rabb, humain ataa karain, apni bargah main sab say ziyada mu’azziz banday, Sayyidina Muhammad (s) ki izzat ki khatir. Allah zidhu `izzan wa sharafan wa nooran wa surooran, unn ko aur bhi ziyada ataa karain, bay-had ataa karain. Alfu salaat, alfu salaam ya Rasoolullah, ya HabeebAllah. Yaa Sultan al-Awliya, ashfa` lana, hum aap say aap ki shafa’at mangtay hain, takay hum nijaat paa ja’ein duniya main bhi aur akhirat main bhi. (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)

As-salaamu `alaykum ya `ibaadullah! Main iss duniya kay sardaar say bhi arz karta hoon, Qutb az-Zamaan, iss sayyaray kay qutb say, aur unn ko hum apna adnaa ihtiraam paish kartay hain, aur unn say aajizi say unn ki madad mangtay hain, aik kamzor banday kay liay, Rabb-e-Kainaat, asmaanon aur tamaam makhlooq kay Rabb ki khatir! Phir as-salaamu `alaykum humaray sami`een! Jo dil say nikalta hai wo dil main dakhil ho jata hai. Jo zabaan say adaa hota hai wo sirf zabaan tak puhanch kar khatam ho jata hai. Iss liay, aap ko aajizi say maangna chahiyay, takay aap ko Khatim-ul-Ambiya (s) ki taraf say samajh aur faham ataa ho sakay. Agar aap faham-o-samajh nahin maangain gay, tu hum sirf apnay kamzor wajood kay saath baqi reh ja’ein gay. Jo hum suntay hain aur apnay dimagh main mehfooz rakhtay hain wo humaray jismani wujood tak mahdud hai. Yeh humaray liay aik battery ki tarah hai: jo aik aalay ko chalaanay kay liay taaqat muhai’yya karti hai, jab battery khatam ho jati hai tu wo aala bhi kaam karna chor daita hai.

Chunanchay, humain aasmani saradaaron main say kissi aik kay saath raabta rakhnay ki zaroorat hai, takay humari battery khatam na hosakay. Unn kay naam muqaddas kutub main maujood hain, aur Quran Kareem main unn ka zikr waasileen, kay lafz say kia gaya hai, jis ka matlab hai kay wo haqeeqi sarchashmay tak puhanch ga’ey hain, unn ki battery waqt ki qaid say azaad hai, wo daa’yimee hai. Jo asmaani taqat kay zakheeray (power station) say apnay qalb ka raabta qa’im kar chukay hain, wo waasileen hain, unn ka raabta logon say bhi hai. Ab karoron log duniya main reh rahay hain, laikin unn main say sirf mutthi bhar aisay hain jo waasileen hain, jo aasmani taaqat kay zakheeray (power stations) tak puhanch chukay hain.

Chunanchay, humain zaroorat hai... Huuu... kay hum aik zakheeray, taaqat kay zakheeray (power station) say raabtay main aa ja’ein, asmaani darajaat ka power station. Dastoor ya RijaalAllah! Aur jo shakhs pehlay darjay tak puhanch ja’ey, tu wo sab say nichla aur kamzor darja hai, laikin jab wo doosray darjay par puhanchay ga tu uss ki taqat main izaafa hoga, teesray darjay par uss ki taaqat aur bhi barh ja’ey gi, chauthay, paanchway, chhatay, aur phir saathwain darjay par puhanch kar uss ko poori taaqat haasil ho ja’ey gi, aur uss power station par puhanch kar uss ko kissi battery ki zaroorat nahin paray gi, khatam!

Aey Bani Adam! Agar tum aasmani raabta qa’im karna chahtay ho tu tum ko yeh sochna chahiyay, “Kon mera haath pakar kar mujhay unn kay paas lay ja sakta hai jo mukhtaar hain, unn say raabta karwanay?” Jo log raabtay main hain, unn main say sab say kamzor shakhs kay paas bhi itna muqaddas ilm maujood hai, kay tamaam taaleem yafta logon ka ilm bhi uss kay ilm kay muqablay main samandar main sirf aik nuktay ki maanand hai, jee. Yeh ibitdah hai, aaj raat ki suhbah kay liay. Iss liay, jin logon ko ikhtiyar haasil hai, unn ko iss baat ki mumaani’at hai kay wo kitabon say daikh kar khitab karain, nahin! Laikin unn ko aasmani siffat ataa ki gaee hai, jis kay zariyay wo asmaan walon tak puhanch saktay hain. Laikin ab hum ko aisay hee ilm ki zaroorat hai, kyun kay aaj jo kuch logon ko maloom hai, uss kay zariyay wo asmaan kay pehlay darjay tak bhi nahin puhanch saktay. Unn ko chahiyay kay wo zaroor awwal darjay kay waasileen tak puhanchain; yeh raabitah hai, dilon say dilon ka naata. Kitnay hee na-waaqif log hain jo raabitah ki haqeeqat ka inkaar kartay hain! Wo tu sifar (zero) say bhi nichlay darjay par hain, la-ilm log. Sifar kay baad bhi nahin, sifar kay neechay! Jo raabitah ka inkaar kartay hain unn ka koi maqaam nahin.

Raabitah karnay walay haqeeqat ko paa jatay hain, uss kay zariyay seekhtay hain, aur aasmani darajaat tak puhanchtay hain. Aap Concorde jahaazon aur rockets kay zariyay kuch nahin paa saktay, nahin. Rockets oopar jatay hain laikin kisi cheez say raabtay main aa’ey baghair neechay wapas aa jatay hain. Raabta sirf hum-jins cheez say kia ja sakta hai. Insaan asmaan walon say raabta kar sakta hai kyun kay humaray paas rooh aur roohniyat hai. Wo rooh asmaan say ta’aluq rakhti hai; aap uss ko chhoo nahin saktay kyun kay uss ka koi maaddi wujood nahin.

Raabitah,donon taraf say yaksaan no’iyyat ki cheezon kay darmyaan hona chahiyay. Insaan farishtay say raabitah nahin kar sakta kyun kay insaan ki siffat alag hai aur farishtay ki takhleeq mukhtalif hai. Laikin insaan ko asmaanon say aisi taqat bakhshi gaee hai. Jo humari rooh hai, uss ka maaddiyat say koi ta’aluq nahin. Humari rooh ka rooh say aur farishton say bhi raabitah ho sakta hai, laikin humaray jismani wujood main aisee khaasiyyat nahin. Yahan tak kay ambiya, aur Khatim-ul-Ambiya (s) bhi, jab unn par wahi naazil hoti thi tu wo apna jismani wujood chor daitay thay aur unn ka asal roohani wujood raabitay main aajata tha, warna wo wahi ka bojh na utha paatay. Yeh jism nahin bardaasht kar sakta, yeh jal kar bhasm ho jaey ga.

Chunanchay, Islam main, raabitah aham tareen haqeeqaton main say aik hai, aur iss ko samajhna bhi sab say mushkil hai.

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُواْ اصْبِرُواْ وَصَابِرُواْ وَرَابِطُواْ وَاتَّقُواْ اللّهَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ

Ya ayyuha 'lladheena aamanoo asbiroo wa saabiroo wa raabitoo w 'ataqullaha la`alakum tuflihoon

Aey Imaan walon! Sabar karo aur muqablay kay waqt mazboot raho aur lagay raho aur Allah say dartay raho takay tum nijaat paao (Surat Aali-`Imraan, 3:200)

Yeh aasmani hukm hai, raabitah kay liay. Wo kaisay raabitah ka inkaar kar rahay hain? Quran Kareem raabitah ka hukm day raha hai. Abhi hum saath baithay hain aur humain raabitay ki zaroorat nahin kyun kay hum aik doosray kay saamnay hain, laikin jab hum maujood nahin hon gay tu aik doosray tak kaisay puhanchain gay? Aik ghair-maujood shakhs tak humaray jismaani wujood kaisay rasaa’ee haasil kar saktay hain? Wo aisa nahin kar saktay. Humain apnay roohani wujood ko istimaal karna chahiyay, jo aasmanon say ta’aluq rakhta hai, raabitah kay liay. Yeh aik aham mazmoon hai jis ki faham hazaron ‘ulama ko bhi haasil nahin aur naa wo iss ki taareef kar saktay hain.

Iss liay, as-salaamu `alaykum sami’een! Mujhay mat sunain, main kuch nahin jaanta, laikin roohaniyat jo asmaanon ki inaayat hai, khalwat say tarbiyat paati hai. Khalwat kay zariyay humari rooh humaray jism ko aik patthar ki maanand peechay chor kar asmaanon tak puhanch sakti hai. Main nay kal akhbaar main dekha. Yeh unn ka tasawwur hai, kay wo samajhtay hain kay aik bahut baray door-been (telescope) say wo sitaaron ko dekh saktay hain, aur yeh bhi andaaza laga saktay hain kay uss sitaaray ka humari kehkashaan (galaxy) say kitna faasla hai.

Main hairaan hoon kay wo kehtay hain kay yeh faasla 15 kharab roshni kay saal (light years) hai, tawba astagfirullah! Aap samajhtay hain kay sooraj say humari duniya tak roshni puhanchnay main 8 ya 7 minutes lagtay hain, aur jis faaslay ki wo baat kartay hain wo 15 kharab roshni kay saal kay baraabar hai. Oh, oh. Unn kay dimagh kay saath koi masla hai, aur kia wajah ho sakti hai? Wo kaisay iss nateejay par puhanchay? Wo logon ko dhoka day rahay hain.

Agar kissi shakhs kay paas hikmat hai, tu wo yeh samajh sakta hai kay lambay faaslay mumkin hain; hum yeh nahin keh rahay kay naa-mumkin hain, balkay mumkin hain. Main sirf uss ki iss baat par ikhtilaaf kar raha hoon, wo nahin jaantay kay aaya suraj ki roshni hum tak waqa’ee 7 minutes main puhanchti hai. Wo nahin malum kar saktay kay suraj kay peechay kia ho raha hai, aur wo humari zameen say itna qareeb hai, sirf 5 ya 6 minutes. Aap kaisay keh rahay hain kay 15 kharab roshni kay saal ka faasla hai? Aap kuch bhi kahain, koi farq nahin parta. Yeh baat tu sirf `azhaamat il-khaaliq, Khaaliq ki azmat ko zaahir karti hai, kyun kay agar wo 15 kharab roshi kay saal ka raasta bata rahay hain, tu uss say bhi kahein ziyada kharab balkay karor saal ka faasla ho sakta hai. Agar aap wahan tak puhanch saktay hain, tu phir hazaar kharab saal bhi ho saktay hain!

Allahu akbar, Allahu akbar kay wo iss tak puhanchay, laikin wo ghalat raastay par hain, jis ki wajah say unn ki tahqeeq sahi nahin, kyun kay humaray jismani wujood kabhi sitaaron say raabitah nahin kar saktay. Sirf aap ki rooh jis ka ta’aluq asmaanon say hai, uss kay zariyay aap aisay faaslay tay kar saktay hain, aur aap ko 15 kharab ya 100 karor ya 10 laakh kharab roshni kay saal ki zaroorat nahin paray gi, nahin! Yeh sirf fazool batain hain. Raabitah, koi aur hi cheez hai, jo humaray taleem yafta log nahin samajhtay, kyun kay unn ka ‘ilm sirf kitabon ki baton tak mahdud hai, aur wo unn baton say baahar nahin nikaltay. Wo apni dimaghi quwwat say uss faaslay tak kaisay puhanch ga’ey? Yeh na-mumkin hai, laikin humari rooh jo aasman say ta’aluq rakhti hai, wo palak jhapaktay main aisa faasla tay kar sakti hai, balkay uss say bhi kahein ziyada!

Aey logon! Kuch samajhnay ki koshish karo. Akhbaraat kia keh rahay hain? Wo aisee khabrain suna rahay hain jinn ko humaray dimagh tasleem nahin kar saktay, laikin humari rooh kehti hai, “Haan, kyun nahin?” Kyun kay unn ka koi raabtah nahin, asmaanon say, kuch bhi nahin; wo hamesha sirf maaddi cheezon aur unn kay imkaanaat ko tarjeeh daytay hain, aur kuch bhi nahin. Laikin raabitah ki haqeeqat tamaam mazaahib main sab say ziyada aham hai, aur aaj humaray na-waqif doctors ya laa-ilm ulama kehtay hain kay, “Raabitah kuch bhi nahin, raabitah kuch bhi nahin.” Tum kaisay zameen par reh rahay ho aur Allah keh raha hai. Wo Arabi zabaan samjhtay hain? Agar nahin samajhtay, tu phir tarjumay ko dekho, uss say kuch samajh aa sakta hai,

Allah Allah. Main maafi chahta hoon kay aap ko zehmat di, laikin hum kia kar saktay hain? Allah Allah, Subhan Allah. Allah Allah, Sultan Allah. Agar zameen say asmaan ka koi raabitah nahin, tu aap kuch bhi nahin, aap kuch nahin jaantay, kuch nahin dekh saktay, kuch nahin sunn saktay, aur kuch bhi nahin samajh saktay! La hawla wa la quwatta illa billahi 'l-`Aliyyi 'l-`Azheem. Allah Allah, Sultan Allah. `Azhamatu Rabbuna Jalla Jalaaluhu!

Jo hum keh rahay hain wo sirf aik zarra hai, Taaqat kay Samandar main say, qudratu ilaahi, Rabb ki Taaqat kay Samandar. Apna dimagh nahin, apni rooh istimaal karain, mu`min bannay kay liay! Kitabain parh kar aap kuch nahin paa saktay! Kitabain sirf aap ko yeh bataati hain kay aap raabitah kaisay haasil kar saktay hain, aap kay aasmaani wujood (rooh) ka raabitah aur agar humara roohani wujood humaray jismaani wujood say raabitay main naa aa’ey, tu aap kuch nahin samajh saktay. Allahu akbar.

Ya Rabbee! Aap jaantay hain, hum kuch nahin jaantay aur hum keh saktay hain kay Aap khush hain!

Dome dome dome dome

Aey logon! Aey humaray sami’een! Shanlik, (chamak) aik andhairee raat main bay-shumaar sitaaray apni roshni day rahay hain aur log aa kar dekh rahay hain, aur wo apnay haqeeqi wujood tak puhanchnay ki aarzoo rakhtay hain. Aisee cheezon tak puhanchna, jis ka hum inkaar kar rahay hain, wo bahut khubsoorat hai! Agar hum par haqaa’iq munkashif ho ja’ein, tu humari rooh ki hadain (limits) bharhti hi ja’ein gi, aur bhi ziyada shanlik (chamakdaar) hoti ja’ein gi, laikin humaray dimagh sirf humari ird gird ki cheezon ka idraak rakhtay hain. Kabhi kabhar jaisay Eesa’ee log (Christians) na’ey saal ki aamad par aasmani aatish baazi kartay hain tu aisay hi chamak nazar aati hai. Jab aap apni rooh kay zariyay apnay maad’di wujood say baahar nikaltay hain, oh, oh, kitna, kitna haseen lagta hai! Kyun kay aap Husn-o-Jamaal Kay Samandar main daakhil ho jatay hain! Aap tasawwur nahin kar saktay! Yeh raabitah ki barakah hai! Raabitah par aitiraz mat karain; yeh aham tareen kunji (key) hai, aasmanon kay khufiya khazanon ko kholnay kay liay. Wo log tu khalaa (space) main kuch dhoondhna chahtay hain, laikin hum samandaron ki sultanat maangtay hain. Khalaa kia hai? Khalaa kuch bhi nahin hain! Yeh tamaam khalaa, humari kaa’inaat, sirf aik zarray ki maanand hai!

Aey logon! Aao aur suno. Aao aur iss baat par ghaur karo. Allah humain maaf farma’ey, aur humain asal imaan ataa karay, samajhnay kay liay.

Dome dome dome

Dome dome dome

Dome dome dome

Dome dome dome

Fatihah.

Wo jaantay hain kab khatam karna hai. Shukran. (335, 000 viewers) Jaisa Wo (Allah) chahay; koi baat nahin. Agar sirf aik bhi sunay, tu bhi koi baat nahin, balkay acha hai.

("Khazaanon kay Samandar," Shaykh Adnan kehtay hain, suhbah ki tareef main.)

Main aik tarjumaan kay taur par bol raha hoon, jaisa wo mujh say kehelwa rahay hain.

("Yeh pehla bayaan hai raabitah par," Shaykh Adnan kehtay hain.)

Raabitah kay baghair insaan mar jata hai. Shukriya! Unn ko pasand aaya? Shaikh Hisham ko Salaam.

UA-984942-2