2 December 2009 Lefke, Cyprus
(Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)
Yaa Rabbee, shukr! Dastoor ya Sayyidee, yaa Sultan al-Awliya. Tamam makhlooq khari ho jao! Main khara hua hoon. Main aik kamzor banda hoon. Duniya main maujood tamam makhlooq meri pairwee main khari hui hai, aur main unn main say kamzor tareen banda hoon. Wo sab kharay huay hain humaray Rabb ki tazeem main, humara Khaliq, Allah ta’ala! Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd! Allahu akbar kabeera, w 'alhamdulillahi ‘l katheera, wa subhaanAllahi ‘l-`Azheem wa bi-hamdihi ‘l-Kareem bukratan wa aseela! La ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd!
(Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)
Aey logon! Suno aur dhiyaan do, aur ataa`at karo apnay Rabb kay ahkamaat ki. Agar aap izzat hasil karna chahtay hain, tu aap ko buland tareen tazeem karni hogi apnay Rabb ki Zaat ki. Aur aap ko lazim hai kay tazeem karain, Rabb ki bargah main sab ziyada shaan walay aur sab say ziyada izzat walay, Sayyidina Muhammad (s) ki. Jo koi bhi Rabb ki Rehmat kay Samandar tak puhanchna chahta hai, uss ko bahut izzat aur shaan bayan karni chahiyay, Rabb ki bargah main mu’azziz tareen aur shaandaar tareen banday Sayyindina Muhammad (s) ki.
Aey logon! As-salaamu ` alaykum wa rahmatullahi wa barakaatuh. Hum aap kay liay acha’ee aur bhalaa’ee mang rahay hain! Hum aap kay liay rehmatain mang rahay hain! Hum aap kay khilaaf nahin hain, Aey logon! Yeh mat sochain kay muqaddas log kabhi aam logon kay khilaaf ho saktay hain. Aur hum keh rahay hain, a` oodhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem. Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem.
Hum Shaytan aur us ki koshishon say door bhagtay hain, kyun kay Shaytan chahta hai kay humaray Rabb kay bandon ko jitna ho sakay, pareshaniyon aur museebaton main daal day: yeh Shaytan ka maqsad-e-zindagi hai. Allah uss ko door karay. Main sharminda hoon kay Allah ta’ala say Shaytan kay khilaf madad mangta hoon aur kehta hoon, “Aey Allah, Shaytan ko hum say door kar day.” Aey logon, aik chota sa keera (ant) bhi, ya uss say chota aik virus bhi Shaytan ka khatima kar sakta hai. Main ‘virus’ kehta hoon, wo Shaytan kay darjay say ta’aluq rakhta hai. Main uss virus ki baat nahin karta jo duniya main zinda logon kay darmiyaan paya jata hai, nahin. Main uss ‘virus’ ki baat kar raha hoon jo Shaytan kay darjay ka hai. Wo mukhtalif qisam ka hai; wo ‘virus’ uss virus jaisa nahin jo iss sayyaray kay itraaf main maujood hain. Wo mukhtalif qisam ka hai, kyun kay Allah ta’ala, Khaliq, Apni marzi kay mutabiq jo chahay takhleeq karta hai. Koi bhi humaray Rabb ko kuch takhleeq karnay ya kuch bhi amal karnay say nahin rok sakta!
Hoshiyar raho, Bani Adam, apnay Rabb kay bhaari mukkay (punch) say, jo zameen par agar par gaya tu iss ko khatam kar day aur kuch bhi na bachay. Asmani maar iss sayyaray jaisee nahin; agar Asmani maar par ja’ey tu tamam khalaa jis ko hum dekhtay hain aur iss kay baray main tashweesh rakhtay hain, khatam ho ja’ey! Wo Allah ta`ala hai! (Mawlana Shaykh kharay hotay hain.) Aey logon! Apnay Rabb say daro, Allah ta`ala say! Aao aur suno, aao aur farmanbardaar bano, warna aisa na ho kay tum par virus bhaij di’aey ja’ein, jo tumhara kaam tamam kar dain, aik din main nahin, aik ghantay main bhi nahin, minutes ya seconds main bhi nahin, balkay aik second say bhi kam waqt main; har shay jo wujood main hai khatam ho sakti hai, kuch bhi nahin baqi bachay!
(Mawlana tashreef rakhtay hain.)
Apnay Rabb say daro, aur Uss kay muqaddas ahkamaat ka ihtiraam karo. Asmani ahkamaat ka sab say ziyada ihtiraam karo aur unn ko mamooli na samjho. Muqaddas ahkamaat ki bay-adbi na karo! Aap ko chahiyay kay alaa tareen izzat dain, Uss kay ahkamaat ko aur aap ko kehna chahiyay, "sam`an wa taa`a - Hum suntay hain aur hum ataa’at kartay hain, Aey humaray Rabb!” Aey humaray Rabb! Aey Allah! Maa ` azhama shaanak. Hum bahut, bahut kamzor hain. Aap kitnay Azeem hain, kitni Shaan walay hain, kitnay Jaah-o-jalaal walay. Aap ki sultanat bay-shumaar hain, aur sultanat main bhi bay-shumaar zindagi kay samandar hain. Wo Hayy hai. Uss ka wujood Uss hi say hai. Kissi nay humaray Rabb ko wujood nahin bakhsha, laikin Wo aisa hai jis nay tamam makhlooq ko zindagi di hai. Uss kay hukm say, har cheez hayat paati hai. Humaray Rabb kay liay sirf yeh kehna kaafi hai kay, “Ho ja!” aur aik na’ee zindagi janam layti hai.
Main apnay Rabb kay baray main yeh sab kehnay say sharminda hoon, kyun kay Uss ki Azmat la-mahdud hai. Laikin wo lafz, uss kay muntakhib, muqaddas banday keh saktay hain, asmani hukm kay mutabiq, “Aao wujood main aur zindaqi paa jao,” aur (zindagi) janam layti hai. Laikin main yeh baat logon ko waazeh karnay kay liay keh raha hoon, Allah ta’ala kay baray main, jab wo zindagi dayta hai, tu kehta hai, “Zinda ho jaao.” Wo bahut Buland hai, Allah ta’ala, bahut Azeem hai. Tamam makhlooq, Allah ki bargah main, aik zarray say ziyada haisiyat nahin rakhti, balkay aik zarray say bhi kam; yaani wo kuch bhi nahin.
Wo haqeeqi wujood ka Malik hai, laikin baqi har aik shay, haqeeqi wujood say nahin nawazi gaee. Haqeeqi Wujood, Haqq, Mukammal Haqqaniyat sirf Rabb kay liay hai, jo tamam makhlooq ka Rabb hai, aur Uss ki makhlooq bay-shumar hai. Wo kab paida hu’ein aur kab ikhtitam ko puhanchain gi, koi nahin jaanta siwa’ey Uss kay. Kab shru hu’ein aur kab khatam hongi? Khatam! Aap samjhay? “Khatam” honay ka kia matlab hai? Yeh mat kahain, “main yeh hoon, main wo hoon.” Aey Bani Adam! Achay adaab seekhnay ki koshish karo, khas taur par achay adaab apnay Rabb kay liay. Apnay adaab kay sath aik achay insaan bano. Aey logon, yeh sab say bara lutf aur bashaarat hai Bani Adam kay liay. Aisay alfaaz abadiyat ki taraf ishaara kartay hain. Koi bhi, yahan tak kay Ambiya bhi, asal tareef nahin bayan kar saktay, abadiyat (eternity) ki. Abadiyat, abadiyat. Iss liay, Allah ta’ala, Wo sirf Aik hai, koi doosra nahin ho sakta. Wo apni Zaat main Wahid hai. Koi Uss kay baqi rehnay main madad nahin kar raha, laikin Wo azal say har cheez ko mutawaatar paida kar raha hai, aur koi nahin jaanta azal aur abad ka kia matlab hai, abad. Allahu akbar!
Aey logon! Aisay alfaz, aisi wazaahat, wo ab ataa kar rahay hain aisay aalay kay zariyay, sab logon tak puhanchna chahtay hain; wo “kuch” aik buniyad ka taqaza karti hai. Aik na’ee samajh aati hai, makhlooq main aik naya warq khulta hai. Kyun har roz aik doosra zuhoor hota hai; aaj ka manzar kal jaisa nahin. Iss liay, abadiyat kay baray main aap ki samajh aur faham humesha tak chalti rahay gi aur kabhi khatam nahin hogi. Yeh aap kay Rabb ki taraf say hai; aik an-ginat inaayat Bani Adam kay liay, jin ko muntakhib kia gaya hai tamam makhlooq main say, Uss ka khalifa bannay kay liay. Shayad har cheez kay paas kuch samajh hoti hai apnay Rabb kay baray main.
Chunanchay, har cheez apni samajh kay mutabiq tasbeeh kar rahi hai, apnay Rabb ki shaan bayan kar rahi hai mukhtalif zabanon main. Har cheez apnay Khaliq ki hamd bayan kar rahi hai. Har roz yeh hamd bhi tabdeel ho jati hai. Aaj ki hamd kal ki hamd say mukhtalif hai, aur uss makhlooq ki anay walay kal ki hamd bhi tabdeel ho jaey gi. Yeh aik doosri inaayat hai unn kay Khaliq ki taraf say: kay wo apnay Rabb ki tareef, yaksaan alfaz main bayan nahin kartay. Nahin, wo bus tabdeel ho jati hai. Kia aap ko lagta hai kay aik shakhs agar Sultan ko daawat day ga tu har roz khanay ki maiz par daal rakh day ga? Rozana, rozana, rozana. Iss liay, har cheez jo wujood main hai, har roz uss ka aik khaas naam hai aur khaas shakal hai, aik khaas samajh kay sath. Aur har roz, wo alaa tareen hamd bayan kar rahay hain apnay Rabb ki, rozana.
Iss liay, Rasool (s) nay farmaya, “Aey logon, apnay baray main socho, apnay wujood kay baray main, laikin Apnay Rabb ki Zaat kay baray main sochnay aur samajhnay ki koshish na karo.” Aap samjhay? Hum kahan hain? Hum kitnay kamzor hai, laikin har roz kuch na’ee cheez aati hai humaray noor ko aur ziyada wazeh karnay kay liay, aur bhi ziyada roshan karnay kay liay. Aur wo makhlooq, apnay Rabb ki hamd bayan karnay kay nateejay main aur bhi ziyada izzat hasil karti hai. Jab aik makhlooq apnay Rabb ki shaan bayan karti hai, tu unn ka Rabb un ko kuch aur ataa karta hai. Kuch aur izzat aur noor aur roshni aur la-mahdud inayaat aati hain asmanon say.
Chunanchay hum keh rahay hain, agar Allah ta’ala kisi cheez ko paida karna chahta hai tu Wo kehta hai ‘Ho ja’ aur wo cheez wujood main ajati hai. Wo iss mauzoo’ par bol rahay hain, kay tamam makhlooq main say buland tareen maqam Insaan ko diya gaya hai. Hum ko apnay Rabb ka khalifa honay ka sharf hasil hai, laikin khalifa kay darajaat bhi bay-shumar hotay hain. Aap bhi khalifa hain, wo bhi khalifa hai, yeh bhi khalif hai, laikin uss ki khilaafat mukhtalif hai iss say, aur iss ki aap say. Aur khalifa kay darajaat an-ginat hain, aur yeh khalifa, jis ka Quran zikr karta hai, yani Adam, uss ko iss zameen kay liay takhleeq kia gaya hai, aur asmanon ka Rabb uss ki tareef kar raha hai; unn ki takreem kar raha hai. Laikin kuch muqaddas log, asmanon main buland maqam paa chukay hain. Kitnay asmaan hain? Wo 7 asmaan hain; yeh manzhooma hai, aik aisa nizaam jo iss Makhlooq say ta’aluq rakhta hai. Iss say ziada, aur kitni makhlooq hain jo khalifa honay ka sharf rakhti hain? Kitni qisam kay khalifa hain? Yeh na-mumkin hai kay aik Adam ho aur uss ki nasal ho. Wo khalifa hain, laikin wo 100 feesad khalifa nahin. 100% wo Allah kay khalifa hain. Yeh bahut na-mumkin hai, iss liay bay-shumar makhlooq hain jo Rabb kay khalifa kay taur par takhleeq ki ga’ein hain.
Chunanchay, kuch awliya kehtay hain kay ‘aalam, kaa’inaat bhi aik hai aur Adam bhi. Laikin Adam aur uss ki kaa’inaat ki tarha, jo ‘ilm kuch jannay walay khulafa ko puhancha hai, uss kay mutaabiq 124,000 Adam guzar chukay hain, aur humaray par-daada Adam unn 124,000 Adamon main say aakhri thay. Aur koi cheez nahin rok sakti Allah ta’ala ko, iss say bhi ziyada takhleeq karnay say, laikin itna sirf humari wuss`at kay mutaabiq hai. Aisee wazaahat ya samajh logon tak jo ab puhanch rahi hai, wo iss liay takay wo kuch samajh sakain apnay Khaaliq aur Uss ki Taqat/Qudrat kay baray main. Aisay mast logon ki tarha mat banain jo yeh kehtay hain kay yeh kaa’inat aik zarray say paida hui, aik dhamaakay (Big Bang) kay baad. Wo kitnay wasikh, ganday hain aur unn kay dimagh bhi ganday hain. Yeh aik achi wazaahat nahin. Nahin, nahin. Bay-shumar jahaan hain, aur unn main bay-shumar qisam ki makhlooq hain aur bay-shumar khulafa hain Rabb kay. Allah humain maaf farma’ey.
Aey logon! Aisi baatain humari samajh ko aur bhi ziyada wasee’ banaanay kay liay aa rahi hain, aur bhi ziyada, aur bhi ziyada wasee’. Kyun kay aap jitni ziyada samajh hasil karain gay, utna ziyada tumaaniyya, itminaan aur taskeen mehsoos karain gay.Taskeen kay zariyay aap yeh mehsoos karain gay goya aap aik garam jagah baithay hain aur taaza hawa (mausam) aap tak puhanch rahi hai; aisee baaton say logon ko farhat milti hai, kyun kay unn ko takhleeq hi issi liay kia gaya hai kay wo aur bhi ziyada jaanain, ilm hasil karain. Jitni ziyada wo farhat hasil karain gay, utni ziyada unn ki taskeen, khushi, lutf aur noor barhta ja’ey ga! Aap uss ka andaza nahin kar saktay.
Aey logon! Allah humain maaf karay. Hum apna waqt zaya kar rahay hain. Apnay Rabb ki sab say qeemti naimat ko zaya kar rahay hain. Issi liay bahut say log ussi darjay par hain. Sirf wo log, jo wo samajhnay ki koshish kar rahay hain jo ambiya, rusul aur asmani hastiyon ko ataa kia gaya hai; wo aisa lutf hasil karain gay jis ki kisi ko khabar nahin. Sirf wo hi jaan saktay hain jo iss ka maza chakh chukay hain. Aey Allah, humain maaf farma dain, apnay mu’azziz tareen banday, Sayyidina Muhammad (s) ki izzat ki khatir.
Fatihah. 38? (40 minutes.)
(Mawlana Shaykh gungunatay hain.)
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Huuu, unn `aalameen say, unn ka’inaat say, aisi asmani mauseeqi sunaee day rahi hai kay jis say murday bhi zinda ho ja’ein! Hum tu sirf aik masnooi shakal ikhtiyar kar saktay hain.
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Dome dome dome dome
Hum ko aisa khitab logon say karnay ko kaha gaya hai, jo pehlay kay waqton main kabhi nahin kia gaya, kyun kay ab Akhri Dinn qareeb hain, aur ajeeb, ghayr mutawaqqay `uloom aur samajh-o-faham iss duniya main rehnay walay logon kay liay khol di’aey ga’ey hain! Aey Allah, humain kuch samajhnay wala bana’ein.
Tawbah yaa Rabbee, tawbah yaa Rabbee, tawbah yaa Rabbee, tawbah astaghfirullah. Shukr yaa Rabbee. Shukran yaa Sayyidi ’l-awwaleen wa ‘l-akhireen. Shukran yaa Sultaan al-Awliya.
Hum kamzor hain. Humain samajhnay ki zaroorat hai.