Go to media page Available in: English   Urdu   Dutch  

Gadhay Bhi Jaantay Hain Keh Unn Ko Kyun Takhleeq Kiya Gaya

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim Adil al-Haqqani

30 October 2009 Lefke, Cyprus

Suhbat Baad az Jumu’ah

(Mawlana khray hotay hain)

Dastoor, yaa Rijaal Allah, madad. Hum unn ko wa alaykum as-salaam kehtay hain jo mashriq o maghrib say aai hain. Hum apnay rabb say iltaja kartay hain keh inn key haazri qabool karay aur inn ko tazeem ataa karay, sub say buland tazeem walay, (mawlana khray hotay hain)sayyidina muhammed(s) key tazeem ket khaatir, zidhu ya rabbee izzan wa sharafan nooran wa masrooran ridhwaana wa sultana!

(Mawlana baith jatay hain).

As-salaamu`alaykum! Ai Musalmano, suno, samjho aur ata`at karo. Hum a`udhu billahi min ash-Shaytani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Rahim kehtay hain. Allah kay naam say, jo sub say bara rehem karnay wala, nihayat meherbaan, sub say ziyadah sakhee hai. Allah hamari maghfiratfarmai, kyunkeh hum 24 ghantay ghalat raaston par bhaagtay rehtay hain, sahee raaston ko chor kar jo allah key baargah key taraf jaatay hain. Logon kay zehen sirf dunya mai masroof hain. Hum nay kaha tha a`udhu billahi min ash-Shaytani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem! Yeh aap kp Allah key taraf say aik tazeem ka libaas pehnaata hai. Hamaray khaaliq key taraf say. Iss baat ka shukr adaa karo kay tum Uss kay banday ho. Uss key bandage ko qabool kartay ho. Aur tum ko fakhr hona chahiyai, laikin jaahilon jaisa fakhr ya gharoor nahi, bilkul nahi! Balkeh Allah key naimat aur ataa par fakhr karma chahiyai. Jaahilana gharoor, woh shaytan ka gharoor hai. Woh iss dunya par hee maghroor hain. Woh apnay Rabb key bandage karnay par fakhr nahi kartay. Balkeh logon nay jo inn ko jhootay ohday day rakhay hain, unn par fakhr kartay hain.

(…kuch dair kay liyai raabtah munqatah hota hai)

Aap fakhr kar saktay hain agar aasmani taur par aap ko tazeem ataa key jai, kyun keh sachee tazeem o izzat aasmano key taraf say aati hai. Tamaan Ambiya(a) aur Khaatim un Nabiyyin(s) sub say aajiz darjay par hain. Inn kay mukhtalif darjaat hain laikin woh jaantay hain keh asal darjaat aasmano key taraf say ataa hotay hain. Bani Adam par laanat barasnay key pehli wajha yeh hai keh woh aajzi mai khush nahi hotay.

(Mawlana Shaykh aik guftagu key naqal kartay hain)

Aik bar ka zikr hai...kya hua, Ai Shaykh? Aik bar, aik shakhs pehli martaba aik gadhay say mila aur bola, "Tum kaun ko?"

"Mai aik gadha hun." Jee, mairi nafs aik gadhay key hai; fiqr matt karo!

"Kya tum aik gadhay ho? Tum ko kis liyai takhleeq kiya gaya hai? Tumhara iss duniya par maujoodgi ka kya maqsad hai?"

"Mai jaanta hun keh mujhay aik gadhay kay taur par takhleeq kiya gaya hai taakeh log mujh par sawari kar sakain aur mujh par apna saamaan laadh sakain."

Aur log iss darjay par hain Tamaam makhlooq kay Rabb nay uss gadhay say baat karwai uss shakhs key. Zyadah tar log iss darjay par hain.

"Tum kaun ho?"

"Mai Bani Adam mai sai aik hun."

"Kyat um jaantay ho keh tum ko kis liyai takhleeq kiya gaya hai?"

Woh shakhs aisi shakal banata hai (paraishaan shakal key naqal kartay hain.)

"Tum soch kyun rahay ho? Tum kaun ho? Tum kehtay ho, 'mai bani adam mai say hun, insaano may say aik insaan.' Daikho tou, mai aik gadha hun aur phir bhi tum mujh say pooch rahay ho, 'Kya tum jaantay ho keh tum kis maqsad kay liyai banai gai ho?' Aur mai nay kaha keh aasmano kay rabb nay mujhay tumhara khaadim banaya hai. Aura bb mai tum say poochta hun, 'Tum ko kis maqsad kay liyai banaya gaya hai?' aur tum kehtay ho kay ' Mai bani Adam ka aik rukn hun.' Mai poochta hun, tumhain kis liyai banaya gaya hai??"

Woh shakhs sochnay laga keh usay kya kehna chahiyai. Iss ko sirf inta hee aata tha keh woh gadhay say pooch sakay keh woh kis maqsad kay liyai banaya gaya hai. Aur phie uss gadhay nay uss shakhs say kaha,

"Mai tou apni takhleeq ka maqsad jaanta hun laikin tum nahi jaantay. Kya tum yeh sochtay ho keh tumhain bay maqsad takhleeq kiya gaya hai?"

"Nahi Janaab."

"Mai janaab nahi hun. Mai tou tumhara khaadim hun. Magar tum, tum kis kay khaadim ho? Batao tumhari bandage kis kay liyai hai."

Aaj kal tamam log, agar aap unn say poochain ya aap koi gadhay lain unn say poochnay kay liyai, tou woh jawaab nahi dai saktay. Unn ko yeh kehtay huai sharam aati hai, "Hum apnay Khaaliq kay banday hain." Jo log yeh nahi kehtay unn kay liyai koyee tazeem nahi.

Ai hamarai rabb hamain maaf kar! Hamari taraf koi aisa bhaij jo tairay ghaafil bandon ko sikha sakay keh woh kis maqsad kay liyai banai gai hain. Ai Pope, eesaiyaon say kaho. ai Dalai Lama, Ai chief bishops, kaho apnay logon say unn ko kis liyai takhleeq kiya gaya hai, warna tum pay laanat barsay gee! Musalmaan aur Arab `ulama ko bhi zaroor kehna chahiyai!

Allah mujhay maaf karay, astaghfirullah.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Yeh aasmani mausiqui hai.

Mai koi mausiqaar nahi hun, nahi,

Magar kabhi mairay paas aati hain

Yeh aasmani aawazain.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Mujhay taskeen daiti hai, aur mujhay umeed hai keh logon kay dilon key taraf aik muqaddas hawa daiti hai. Allah mujhay aur aap ko maaf karay Baargah e ilahi mai sub say buland tazeem walay, Sayyidina Muhammed (s) (Mawlana kharay hotay hain) key tazeem key khaatir.

Faatihah. Allah, Allah, yaa Rabbee!

UA-984942-2