Go to media page Available in: Urdu   English   Dutch   Italian   Spanish   Arabic  

Good Tidings for Believers

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim al-Haqqani

4 November 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana kharay hotay hain)

Yaa Rasulullah (s)! Dastoor yaa Sayyidee. Dastoor yaa Rasulullah (s).

As-salaamu `alaykum. Ai Logo, Musalmano aur Ghair-Musalmano, eesaiyo aur Yahoodiyo aur tamaam logo. Hum sub aik darakht say hain, laikin mukhtalif shakihon kay mukhtalif phal. Aur Aasmano kay Rabb nay iss darakht ko iss Duniya mai lagaya hai logon ko yahan khush rakhnay kay liyai aur takeh woh apnay Rabb ko khush kar sakain hamisha kay liyai.

Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd! Anta Rabbuna, anta Rabbuna, anta Hasbuna, anta Waliyuna, anta Mawlana. La shareeka lah.

Aap ka koi shareek nahi. Aap har cheez kay Khaliq hain. Jo koi bhi kehta hai keh Aap ka koi shareek hai, unn ka dimagh nahi hai, aur unn ka dimaghi tawazun janwaron say bhi neechay hai.

Hum apnay buland tareen salaam paish kartay hain Aap kay mehboob tareen, Bargah e Ilahi mai izzat o ehtaram walay, Sayyidina Muhammad (s) ko. Alfu salaat, alfu salaam `alayka ya Sayyidi 'l-awwaleen wa’l-aakhireen, har minute kay har second aur har waqt jis tak hum pohonch sakain aap par ho salaam, yaa Rasulullah (s). Yaa Habeebullah, yaa Nooru `Arshillah. Allah, Allah. Nooru `Arshillah. Wahabbiyon aur Salafiyon kay honay kay bawajood, Rasulullah (s) hain Nooru `Arshillah.! Hum ko iss tarha tazeem ataa key gai hai.

(Mawlana baith jatay hain)

Hayy Hayy Hayy Hayy

Hayy Hayy Hayy Hayy

Hayy Hayy Hayy Hayy

Hayy Hayy Hayy Hayy

Hu Hu Hu Hu Hu

Hu Hu Hu Hu Hu

Hu Hu Hu Hu Hu

Hayy Hayy Hayy Hayy

Ai hamaray Aaqa. Is zameen kay Aaqa, iss dunya kay Aaqa, Qutb iss dunya kay! Hamari madad farmain apnay Rabb kay bandon say khitab karnay kay liyai. Hamari janib nazar farmain aur apni aasmani madad hamain ataa karain. Agar aap apni Aasmani madad ataa karain gay, tou hum iss dunya ko apnay haathon say utha saktay hain; duss aur bhi, aik sau aur bhi. Ai Qutb, iss zameen kay satoon, aisay saw key tadaad mai sayyaray utha saktay hain, jaisa kay hamain maloom hua ilm walon say kay nizam e shamsi aik Aaqa kay huqm ka tabeh hai. Fa maa dhalika `alal'Lahi bi-`Azeez.

Mai sub logon pay hairaan hunk eh hum keh samajh nahi saktay. Khadim banday ka adab tou yeh hai kay bolay, “Kyun nahi?” yeh hamari soch ya tasawur ka muqabla ho ga, yeh aik na mumkin cheez hai. Laikin agar aap sochain, qudratullah, la mehdood Qudrat kay samandar Allah Azwajal kay, tou yeh tou kuch bhi nahi! Agar Woh kisi banday ko hukm day nizam e shamsi uthanay ka, kya ho sakta hai? Tum log kaisay apnay aap ko Musalman kehta ho? Kaisay kehtay ho, innahu `ala kulli shayin qadeer – keh hamara Rabb sub kuch kar sakta hai? Agar mai keh raha hunk ay aik banda poora nizam e shamsi uthai huay hai, ya khainchta hai ya Dhaka daita hai, theek hai!

As-salaamu `alaykum ai haray mehboob sami`iin! Tum mai say kuch bohot khush hain; aur kuch ghusa kartay hain kyun keh woh Shaytaan kay dost hain. Koi farq nahi parta. Agar woh Shaytan kay hukm say ghusa kar rahay hain, tou Shaytan jahannum mai janay wala hai. Laikin jo khush hotay hain jub Allah Azwajal nay aik khalifa muqarar kiya nizam e shamsi ko chalanay kay liyai, kheenchta ya dhakka daita hua, woh aik qabil e qabool banda hai jiss ko Allah Azwajal sarmaya ataa karta hai. (Allah Azwajal kehta hai,) “Shabaash. Tum acha sochtay ho, kam az kam tum kehtay ho maira maqdarah (qabiliyat, taaqat). Mai tum say khush hun.” Haan, tum nizam e shamsi uthaa saktay ho.

Agar yeh kuch logon kay liyai ziyadah na ho jai, tou mai kahun ga keh woh muqaddas shakhs, aik asl khaadim banda, hamari kehkashan ya Milky Way utha sakta hai. Kyat um jaantay ho? Kya tum nay kabhi Milky Way kay baray mai nahi suna? Mausam e garma mai aasmano par tum lakhon karoron sitaray phailay huai daikhtay ho. Iss ko woh kehtay hain, hamari kehkashan, hum uss par aitaraz nahikartay, nahi, koi farq nahi parta.Tum kehtay ho kay tum nizam e shamsi say taaluq rakhtay ho aur nizam e shamsi mai aik sitara hai hamari kehkashan ka, aur woh jaani jati hai Milky Way kehkashan kay naam say. Agar koi mairi tarha kamzor banda ho, aur kahay, “Mai yaqeen karta hun”, kyun keh yeh aik harkat karti hui kehkashan hai aur koi kehkashan sakit nahi. Koi nahi kehta kay koi kahkashan apni jagha par sakit hai aasmaon kay beech. Woh harkat may hain, jee. Agar Allah kay khalifaon mai say aik uss kehkashan say kahay, “Rukk jao!” tou woh ruk jai gee, kyun kay aik asl khalifa ka hukm uss kay Rabb ka hukm hota hai, aur usay rukna paray ga!

Ai mu'mino, imaan walo! Hum khail nahi kar rahay. Islam key asliyat aur jo Qyran e kareem laya, uss ko samajhnay kay liyai mazeed waqt dou. Allahu akbar, Huuu rok sakta hai; Woh aik traffic police key tarha ho sakta hai. Agar Woh aik bohot bari kehkashan ko kahay, “aahista, aahista, aahista,” aur woh kehkashan phir apnay raastay par aahista chalnay lagay gee. Aur kisi doosri say kahaye, “aahista, thora aahista chalo, raasta choro, rasta dou issay,” woh jaldi mai hai apni hadd tak pohonchnay ko, aakhri hadd. “Uss key aakhri hadd kya hai?” kuch aqal mand log pooch saktay hain. Koi hadd hai? Tum kaisay Musalman ho? Tum yeh kehtay ho tou mu'min kaisay ho? Kehkashan key koi hadd hai? Tum Khuda, Allah Azwajal mai kaisa yaqeen rakhtay ho? Ai imaan walo! Tumhain zarror yaqeen hona chahiyai kay har cheez, maadey ya roohani taur pay, hadd kay andar hai. La mehdood sirk Khaliq kay liyai hai, Allah Azwajal, laikin har cheez key aik hadd hai. Iss liyai, woh qutb keh sakta hai, “Rukk jao!” aur uss kehkashan ko chalk ay apni hadd tak pohonchna paray ga, haan.

Allahu akbar. Maa `azhama shaanak yaa Rabbee. Allahu akbar maa `azhama shaanak. Ai hamaray Rabb, maa `azhama shaanak. Subhaanak!

Kabhi mujhay ataa kartay hain, aisa haal (roohani kaifiyat), daitay hain. Mai khud nahi seh sakta; mai bharr jata hun kyun keh woh mujh say ilaahiyaat pay baat karwa rahay hain, jis ka matlab hai keh uss ka taaluq Allah Azwajal key sifaat say hai. Har cheez key koi hadd muqarar hai. Woh kahan khatam hoti hai? Unn key hadd la mehdood samandaron key saltanatonmai khatam hoti hai, la mehdodd samandar. Woh iss samandar key taraf bhaagtayhain, jo la mehdood hai. Woh Aasmano kay Rabb key milkiyat hai. Woh unn samandaron key jaanib bhaag rahay hain. Jub woh pohonch jatay hain tou woh paa laitay hain jo bhi woh maang rahay thay. Yeh aisi cheez hai jo azeem aaqa jantay hain-hum nahi jaantay, jee haan. Aik barish hai jo khalaa say aati hai, bhagti hui hum tak pohonchnay kay liyai. Misal kay taur par, agar pahar par taiz barish ho, tou darya behna shuru kar daitay hain, bhagtay bhagtay samanndar tak pohonch jatay hain. Jub samandar say mil jatay hain tou khamosh ho jatay hain; woh pa laitay hain jo woh mangtay thay. Woh abb mazeed mushakat mai nahi rehtay, nahi; woh samandar tak pohonchtay hain aur so jatay hain, aaram kartay hain. Yeh unn ka matloob hai, unn ka akhri maqsad, samandar tak pohonchna. SubhaanAllah! Yaa ayyuha 'l-insaan innaka kaadihun ila rabbika kadhan fa mulaqeeyah, sadaq-Allahu 'l-`adheem.

يَا أَيُّهَا الْإِنسَانُ إِنَّكَ كَادِحٌ إِلَى رَبِّكَ كَدْحًا فَمُلَاقِيهِ

Yaa ayyuhal insaanu innaka kaadihun ilaa rabbika kadhan fa mulaaqiyyah. (84:6)

Sirf Allah Azwajal tamam cheezon key asl tareef bayan kar sakta hai. Ayyuha 'l-insaan, Ai mairay khalifao, jin ko mai nay apnay khalifa honay key tazeem bakhshi hai! Aur jub tum uss tazeem mai liptay ho, tum mairi kabhi na khatam honay walai saltanat kay samandaron tak pohonchna chahtay ho. Iss hee liyai, kitnay astronomers keh rahay hain kay kehkashain aik janib say doosri janib bhag rahi hain. Bhagti hain, laikin woh sirf daikhnay say hee keh saktay hain aur nai kehkashain namudaar ho rahi hain.Aur kuch arsay kay liyai woh bhagti hai aur phir ghayab ho jati hai. Har cheez allah key taraf say aati hai aur Allah key taraf hee wapas jati hai. Yeh aik bohot aqalmand aur khoobsurat bayan hai. Hum yeh bayan kartay hain kay har cheez Allah key Saltanaton kay samandaron say aati hai, Wajood kay Samandaron say aur woh bhag rahay hain waapis janay kay liyai Allah Azwajal kay unn la mehdood Saltanaton kay Samandaron key jaanib. Yeh aik bohot ehm mozuh hai jis kay baray mai mujhay nahi maloom kay Pope nay suna hai ya nahi, ya aaj kal kay Musalman `ulama aisay bareeq nuqtay samajhtay hain ya nahi, ya rabbis aisay matlab samajhtay hain.

Allah (swt) hamain maaf karay aur mujhay maaf karay. Woh mujh say iss mozuh par baat karwa rahay hain. Mai kuch nahijaanta, laikin woh mujh say bolwatay hain. Woh ataa kartay hain. Yeh mairi apni soch nahi hai. Mai khudh say soch kay ya khayal kar kay nahi bol raha, “Tumhain zaroor Khuda par yaqeen hona chahiyai.” Ai logo! Aasmano ka Rabb kabhi kisi kamzor tareen makhlooq say tumhain darata hai, jee. Ub poori Duniya khauf say kaamp rahi hai. Kiss liyai? Pig flu! Yeh logon ko kampnay par majboor kar raha hai. Jee, Woh sub kuch kar sakta hai. Tou phir khalifa kay baaray mai kya khayaal hai? Agar pig flu ka virus is Dunya key tamaam qaumon ko darr say kampnay par majboor kar raha hai, tou, tou qutb aur Muqaddas logon kay baray mai kya khayaal hai jo Aasmani darjaat kay khadim banday hain? Woh kya kuch kar saktay hain? Apna dimagh istamaal kar kay Aasmani hiqmaton ko samajhnay key koshish karo, Ai logo! Mujhay yeh kehtay huai afsos hai, mujhay shamil kar kay, tamam logon key dilchasbi sirf kuch dair key khushiyon mai hai aur yeh hamari takhleeq ka aur hamain wajood mai lanay ka asl maqsad nahi hai. Ai logo. Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah!

As-salaamu `alaykum, ai logo! Allah Azwajal kay la mehdood Qudrat kay Samandar, la mehdood bahru 'l-qudrah, bahru 'l-`azhamah, la mehdood taaqat kay Samandar, taaqatwar bananay kay liyai. Ai logo, agar woh hadd mai hotay, Insaan jald hee khatam ho jata kyun keh usay lagta kay woh qaid may hai, magar ub woh keh rahay hain la mehdood Qudrat kay Samandar, la mehdood Rahmat kay Samandar, Behr e Irfan, Karam kay Samandar hamaray Rabb kay. Unhain apni rooh kay liyai taazgi aur aazadi mehsoos hoti hai, aur unn kay dimagh aasmani roshniyon say bhar jain gay.

Ai logo! Tum apna waqt zaya kar rahay ho, apni qeemti zindagiyan zaya kar rahay ho ar iss zindagi ko chorr kar baghair kuch jaanay waapis chalay jatay ho. Yeh Bani adam ka sub say bara qasoor hai! Iss liyai, ub waqt khatam ho chukka hai aur Aasmano ka Rabb unn kay dimagh tayaar karnay ko keh raha hai, aur unn key samajh ko tayaar karnay ko takeh woh bari sachaiyon ko samajh kar sakain, la mehdood Asliyat kay Samadar. Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar! Hadood, hadood zaroor honi chahiyains, la mehdood maqam sirf Makhlooq kay Rabb kay liyai hai. Har cheez, hadood mai hai; jaan lo! Laikin Aasmano ka Rabb ataa karta hai apnay chunay huai bandon ko koi aur maqam, kisi aur duniyaon ya saltananton ya samandaron may say, aur yeh Bani Adam kay liyai sub say bari khush khabri hai! Aur Rasool Allah (s) bulatay hain, “Ai logo, aao. Mairay paas aao, mairay paas aao. Mai tumhain aisay maqaam aur hasti tak pohonchaun ga kay kisi nay pehlay na daikhi hon, kisi nay pehlay na suni hon, aur kisi nay pehlay na chakkhi hon. Mai tumhain tumhari tawaqoh say buland aur samajh say buland kabhi na khatam honay wali saltanaton kay samandar ataa karun ga!” Sub say bari khush khabri!

Ai logo! Aasmano key janay key koshish karo warna tum aakhir kaar muthi bhar khaaq bun jao gay, kabhi na samajhnay ya chakhnay walay. Woh bhi kuch chakh saktay hain. Laikin unn ka zaiqah kabhi nahi jai ga, jaisay man zaaka arab, joj yahan chakhtay hain. Jo yahan nahi chakhtay, unn jaisay nahi hon gay jinhon nay yahan chakha. Unn key saltanatain aur samandar koi aur hain, sastay; aur doosron kay chakhnay key saltanaton kay samandar, qeemti. Qeemti khazanay kay peechay bhaago, la mehdood khazanay hain Bargah e Illahi mai.

Ai hamaray rabb, hamain maaf kar; hum kuch nahi jaantay! Hamaray Rabb, apnay kamzor bandon ko apni Maghfirat aur Rehem ataa karo. Mai sub say kamzor hun, Ai hamaray Rabb.

Allah Allah, Allah Allah.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Allah Azwajal kehta hai, fulki 'l-mashhoon. Hamaray `ulama ko zaroor maloom hona chahiyai, zaroor daikhain. Iss ka kya matlab hai, fulkil mashhun? Abhi hum fulk par hain, aik samandari jahaaz key tarha, har qism key Makhlooq say ladaa hua, iss liyai Allah Azwajal kehta hai, Wa hamalna dhurriy-yatahum fi 'l-fulki 'l-mashhoon.

وَآيَةٌ لَّهُمْ أَنَّا حَمَلْنَا ذُرِّيَّتَهُمْ فِي الْفُلْكِ الْمَشْحُونِ

Wa aayatun lahum anna hamalna Wa hamalna dhurriy-yatahum fi 'l-fulki 'l-mashhoon. (36:41)

Kahan jaa rahi hai? Iss kay baray mai socho Wahabi aur Salafi `ulama, socho iss baray mai! Iss ka kya matlab hai, fil fulkil mashhun, shufu unzuru qutubut-tafaasir. Apni dimaghi ijadaat say matt bolo, nahi. Ambiya ko daikho, `ulama; daikho aur samajhnay key koshish karo. Apnay dinn, apni zindagi ko yeh kehtay huai na istamaal karo, “Yeh haram hai, woh shirk hai, yeh bid'ah hai.” Akbar bid'ah, yeh hai kay tum tarazu apnay haath mai lay kar kehtay ho, “Woh kafir hai, woh aik mushriq hai, woh harami hai, yeh hai bid'ah.” Kiss nay yeh tarazu tumharay haath mai diya hai? Mujhay batao! Ibn Taymiyya ya Qaymiya nay yeh tarazu diya hai? Kya woh yeh nahi jaantay aur nahi maantay kay yeh tarazu Allah (swt) kay haath mai hai? Tum mushriq ho! Tum kisi kay liyai yeh nahi keh saktay, “Yeh aik kafir hai,” ya “Yeh aik mushriq hai,” ya “Yeh bid'ah hai!” Allah (swt) wahid ahkamu hakimeen hai, tum ahkamu hakimeen nahi ho, astaghfirullah!

Allah Allah, Allah Allah

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Hamain suna dou , Ai hamaray Rabb, farishton ka Aap key tazeem parhna! Woh gaatay hain aur kehtay hain, “Ai hamaray Rabb, Ai hamaray Rabb, Ai hamaray Rabb, hamain maaf karr. Hamain maaf karr, hum kuch nahi jaantay aur hum bohot naakarah khaadim hain! Hamain maaf karr, Ai hamaray Rabb. Uss key tazeem key khaatir, jo behtareen hai aap key Baargah mai Sayyidina Muhammad (s).”

Fatihah. (46 minutes)

Jaisay Woh chahay. O yaa Rabbee. Theek hai? As-salaamu `alaykum, Ai logo. Mairay liyai du'a karo. Allah, Allah. Shukriya aap nay sunna. Fatihah.

UA-984942-2