Available in: English   Dutch   Urdu   Arabic   Go to media page

Addressing from Heavens

Khitaab Aasmano Se

Mawlana Shaykh Nazim Adil Al-Haqqani Sultanul Awliya | Tuesday, November 17, 2009 | Lefke CY

(Mawlana Shaykh khare hote hain)

Sirf tuhi hamare Rabb, Tu hi hamara Khaliq hai, ae aasmano kay Rabb, takhleeq kay Rabb, sirf Tu hi hai Wahid. Hum sabse bulandtar tareef, bulandtar tazeem dete hain Apko, hamare Rabb! Ae hamare Rabb! Hamain maaf keejiye aur Apni barkatain ataa keejiye Apne kamzor bandon par. Aur hum aajizi se maangte hain zyada azmat, salaat o salam aur buzurgi Teri bargah main subb say barh ke muntakhib bande Sayyidina Muhammad (s). Baishumaar salaat o salaam unn par. Ae hamare Rabb! Hum kamzor bande hain; hamain muaaf karde. Aur hamara salaam aur aala khushamdeed hamare aaqa ke liye, iss jahaan ke aaqa. (Mawlana Sheikh bethte hain.)

Ap kya sochte hain, ‘ulama? Hamare Rabb ki ek dunya hai, ek dunya? Tawbah, astaghfirullah! Aap kya keh rahay hain, ae Musalman ‘ulama, ya Christian scholar log, aur Yahoodi bhaiyon rabbi’s se? Inn ki iss nuqtay kay baaray main kya maloomat hain?

Kya hamaray Rabb ki aik hee dunya hai? Kya hai ye? Aur kal raat hum kuch keh rahay thay hamari bohot hi saada sohbat main aur hum daawa nahi kartay keh hum kuch hain, nahi. Kul khalqat kay darjaat kuch nahi hain; ya sabb kuch ya kuch nahi! Subb kuch aasmano kay Rabb kay liyai, takhleeq kay Rabb kay liyai jo azal say hai aur abad tak rahega. (Mawlana Sheikh Kharai hojate hain) Woh sirf ek ke liye hai, Allah Azwajal. Kharay ho jao! Apnay Rabb ko behtareen ehtaraam do! (Mawlana Shaykh bethte hain.)

Ghafil na ho jao; mutt kaho, “Mai kuch hun”. Ae logo jo dhoka khatai hain naqli ohdon say, naqli uhdon ke dhokai main na raho qabristan tak. Shayad tumhari qabar ek aam qabristaan main ho ya shayad Westminster Abbey ke nichai ya kisi aur cathedral main. Woh sochtay the keh woh kuch hain; kuch, aur abb kuch nahin! Abb tum khush ho?

Koi nahi kehsakta, “Main yahan hun,” jub woh ek alishaan baadshah kay darbaar main ho, iss tarah jhukta hua jaata hai. Nahi, woh nahi keh sakta, “Main yahan hun, Main kuch hun,” kabhi nahin bardaasht karega baadshah ya malikah. Kaho ”Ae baadshah, main kuch bhi nahin hun,” kyunke yeh uncha adab hai. Koi Allah ke darbaar main kaisay kehsakta hai, “Main kuch hun?” Ek ke peechai, sifr kuch hota hai, lekin woh kabhi apni asal jagha nahi khota. Woh jaanta hai ke woh sifr hai, lekin ek laga dain to uska adad bunjata hai, sifr ek ke saath laga den to 10 bunta hai, do sifr ek ke saath lagain to 100 bunta hai, aur teen sifr lagain ek ke saath to 1000 bunta hai. Issi tarha se tum apni shaksiyat nahin khotai sifr bunker. Mutt bhoolo ke har dafa tum sifr hoge, lekin agar woh Ek tumhai apne seedhai haath main le lay, (tumhain) izzat dete huai tou tum kuch ho agar nahi tou kuch nahi. Isliye, kuch bunne ke liye kuch bhi na hojao, Takhleeq ke Rabb ki tarafse.

Kuch samjhay ap, Ae hamaray samaeen, mai aik boorha aadmi hun, lekin mere bachpan se main apnay dimaagh ko daikhta hun apnay dimaagh kay khayaal jo merai dil ki salahiyaton se chal rahi hai. Dil sultan hai! Jism ka subb say ehm hissa tumhara dil hai, laikin bohot log kehtay hain,” Nahi, sabse ehm ye hai/” (Mawlana apne surr ki taraf ishara karte hain) Dekho, tawbah, astaghfirullah, abb 100 log kehrahe hain, “Zyada ehm ye hai, woh nahin.” Tawbah, astaghfirullah!

Main apnay samaeen se maafi chahta hun, lekin mujhai kehna hai kyunke sirf aasmani nuur mairay dil se aata hai aur mera bolna zaruri hai. Ye mutt kaho, “Shaykh bol rahay hain, baadshah bol raha hai, American president bol raha hai,” nahin. Kon bol raha hai, agar zabaan se bolta hai to theek hai, lekin jo apnay dil say bol raha hai asmani taqat ki madad se aur jisko hokum dia gaya hai bolne ka. Aur kuch taqreerain hain jo dilon main aati hain, aur kuch ke liye kabhi nahin ata, kuch ke liye goli ki tarha (aasmano se), lekin kuch ke liye khaali goli; lekin asli golee nikal kar nishanay par lagti hai jis ka hukm ho. isliye ye mutt socho ke hur taqreer tumharai dil tak pohchai gi. Mashrik se lekar maghrib tak hazaraon log boltay ja rahay hain har raat. Jo woh bolrahai hain woh sirf waqt kaatne ke liye hai. Woh bolain dome dome! Kam az kam logon ko jhoomne hi do. Kyun bolte ho?

Main India mai tha, aur pehli raat hum jarahai thai hamarai flat mai wahan aik park se guzre. Mujhay awaaz ai...whak whak whak aur maine bola, ye kya horaha hai? Daikha darakht par bohot say qawway bolrahai hain. Lekin kon sunn raha hai? Koi nahi sunn raha, magar woh bolay ja rahay thay aur mere dil main aya ke akhir inko kon suntan hai? Ghaafil log sun rahai hain! Bethai hain kuch karne ko nahin isliye woh majbur hain sunne par. Jis tarha qawway uss darakht par bolrahai hain, unki tarha sabb bolrahe hain whak whak whak. Kon bolta hai, kon sunta hai? Koi nahin! Sub bolraha hai aur sub sunn rahe hain! Sub log gaatay hain laikin koyee nahi sunta kyunke woh bhi ga rahay hain. Ab 21ween sadee kay log subb ko bolnay par amaadah kartay hain qawwon ki tarha; subko bolna chahiye aur sunna kisi ko nahi chahiye. Aap kuch nahi karsakte. Pehlay zamanay main sirf sultan ya baadshah jin ko ijaazat thee logon say khitaab karnay kee woh boltay thai. Yeh subb say buland adab hai, achi tameez. Abb log kyunke abb democracy ka waqt hai (log badal gaye hain).

Ae Musalmanon! Abb mai apnay musalman bhaiyon se baat karraha hun jo hajj parr ja rahay hain. Jab Jumu’ah kay waqt imaam minbar par jaa kar khutba daita hai tou woh bolta hai aur subb suntay hai; yeh batata hai keh Musalman ulama iss haqeeqat se waaqif hain. Kaise aap ye fatwa de rahe hain? Democracy kaise kehsakte hain ap? Kaise kehsakte hain agar Ka’aba Mu’azhamah main hur koi ek waqt main bolne lage? Tou wahan kya hoga? Qawway! Ye kaise hosakta hai ab ulama aur Musalman kehte hain,” Hum doctors hain aur PhDs hain?” Aap kaise uss aasmani hokum ko baja nahi laa rah eke ek imaam hona chahiye? Kahan hain Musalman badshah, Musalama presidents, Musalman ‘ulama? Kyun ahin kuch kehte? Kya aap kuch nahin seekhte uss mutabarrak zameen par. Seekhne ki koshish karo Musalman kaise hote hain!

Jub Nabi (s) khutbah detai the, tamam Sahabah suntay the, “Sami`na wa ata`na -Humne suna aur ataat ki.” Ye Islam hai! Kahan hai Turkish hukumat ya Iraqi ya Irani ya Misri ya Hindustani ya Afghan ya Pakistani hukumat? Kon kehraha hai sabko bolne ke liye, aur kisi kin a sunne ke liye? Allah kehta hai sirf ek imaam hona chahiye, ameer al-mu’mineen sirf ek hota hai. Shariat agar kehti hai do, tou ek ko utaaro. Main Shariat ki baat karta hun. Main boorha hun aur mairay pair qabar may hain lekin mera such bolna zaruri hai kyunke Yaum-e-Hisaab ke din Allah poochay ga mujhse, “Kyun tumne asli islam aur mairay ehkaamat ki tableegh nahi ki merai bandon ko?”

Kahaan hain Azhar ash-Shareef ke director, Damascus ke director, Saudi hukumat ke director, Irani hukumat, ya Turki hukumat? Kyun iss hukum ki paasdari nahin karrahe? Unn ko asaamno say koyee maddad nahi milay gi. Abb woh aik doosray ko khaa rahay hain kyunke ab sub kehte hain, “Main number one hun.” Ghussa na hon “Khatoon-e-Awwal” kisi bhi hukumat ki, nahin, yeh ek naya fashion hai. Kyunke logon ko pasand hai ke who pehchanai jaen ek naye laqab se. Agar unko ek aur laqab mile president ke liye to woh bhi le lain ge. Main kehna chahunga keh president, saltanat, republic ke uhdai se barh ke kya hai, saltanat ke pair ab sur par hain, aur jinke liye nabi(s) ne farmaya, “ Jabb Aakhrat ka din aye ga aur jub Yaum-e-Hisaab aanay wali hoga, tou dunya pairon kay hokum ke neechay ho gee.” Woh apne sar neechai kaarahe hain aur pair ooper leja rahai hain.

Ae Logon! Main ooncha bolne ke liyai maafi chahta hun lekin main asal ishaarah bolraha hun. Mera nahi khayal ke Pope ya Rabbi mujh pe aitaraz karsakte hain, nahin, nahin hosakta. Agar woh maire paas koi saboot lay ain, woh nahi la sakte koi saboot poori tareekh main se; woh nahi la saktay koyee saboot keh surr pair key jagha hota hai aur pair ooper, nahin.

As-salaamu `alaykum hamare samaeen! Main kuch nahin hun! Main kuch bunna nahin mangta, nahin. Main sirf chahta hun keh maira Rabb, mera Khaaliq, mujhay apnay kamzor tareen bande ki shakal may qabool kar le, ke mujhse kahe,” Ae Merai bande woh kaafi hay merai liye.” Yeh ek aizaaz hai hur aizaaz se barh ke insaaniyat ke liye. Insaan aisi cheezain banata hai jo kissi kaam ki nahin faida nahin deteen. Isliye, hum kehte hain, Ae logon, dhoka na khao naqli alqaab sai! Tumhara sirf ek laqab hai, Khaaliq ka, aasmanon ke Rabb ka banda hona! Har ghalat baat kitaabon main ilm yaafta logon ko di jaarahi hai, tumhari aasmani kitabain logon ko upar charhne ki seegh de rahi hain aur kuch hone ki, iske baraks ke Aasmanon ke Rabb ka woh rutba hai jaise ke Old Testament main likha hai, ya New Testament main ya Psalms main! Lekin mujhe afsos hai Musalman ummah ke logon par ke woh apne Rabb ke asal ehkamaat ki tableegh nahin karrahai keh ek hokum ke nichai hona hai, hokum ye nahin ke Pakistani qawwon ki tarha whak whak whak. Main kehraha hun ke kon bolraha hai, koi nahin sunn raha unhain. Chaubees ghante ye TV jo Shaytan ka hai logon se bulwa raha hai, ek khatam hota hai aur doosra shuru.

(Ek kehta hai,) “Ae hamare bhaiyon, mai bohot khush hun keh main yahan apki maujoodgi main hun aur apni qaum kay liay aik behtareen kaarkardigee paish kar raha hoon, yeh khawateen ka waqt hai, aur main yahan kuch bayan karnay aaya hoon German main.”

Ek aur kehta hai "Shab ba khair mere samaeen. Jaise ke apne suna, foreign officer foreign minister ko nahin janta, ek aur foreign minister kehta hai aap jo kehrahe hain yehi mere saathi ne kaha. Kyunke woh bhi kehrahe the main bhi aap ko khush aamdeed kehta hun keh aap ne in khaas logon ko khitaab karne ke liye mujhay chuna. Logon tumhari zindagi ek alishaan baadshah ke taaj par jarai jawahiraat ki maanind hai. Aur main bhi apne saathiyon ki himayat karne aya hun. Kehraha hai ke merai bhi yehi khayalaat hain, usko ye karna chahiye woh karna chahiye. Hamain hur cheez ko ultai haath se seedhai haath lejana chahiye!”

Ek aur aata hai, “Main Russian Foreign minister hun aur main bhi apne saathiyon ki himaayat karne ayah un. Jo woh kehrahe hain bilkul durust hai aur sabse munaasib hai iss dunya main. Ye aizaaz hamari saltanat ko milna chahiye.

Kuch kehte hain, “ Kidher bolte ho tum? Kya tumhari saltanat hai, ya jamhooriat?”

Doosra kehta hai, “Pehle seekho bola kaise jaata hai, phir akai bolo!”

Doosra kehta hai, “Haan hum tumhari taraf hain.”

Allah hamari maghfirat farmai! Samamjh aa rahi hai? Lekin mai hamaisha Eesai bhaiyon ko aik baar ilzaam daita hun lekin musalmaan bhaiyon ko 10 baar ilzam deta hun kyun keh aasmani hukm waazih hai unn par! Kaisay aap karsakte hain? Kaise aap muqaddas aasmani ehkaam par chaplain ge? Assmani ehkamaat itne waazih hain! Tumhari Shariat kehti hai agar do uth ke kehte hain, “Mujhe tumhara imaam hona chahiye,” tou Shariat kehti hai ek ko hata do.

Ae Musalmaano! Main kuch bhi nahi hun, lekin kabhi mai baat cheet karsakta hun. Log swine flu say dartay hain woh ek undekha virus hai. Main uss virus se tou bara hun laikin mujh say nahi dartay! Tumhain mujhse darna chahiye pig flu se zyada! (Mawlana Shaykh hanste hain.)

Dome dome dome dome dome dome

Ae Logon! Ye moseeqi hai, tumse kehti hay aasmani jhanday lehrao aur naqli jhanday utaar do! Agar nahi tou Woh apna intiqaam lay ga. Shayad aasmani shair tumhare gharon main daakhil hokar tumhain raat o raat tabha kar dain aur subha tumhain qabristaan lejana parai.

As-salaamu `alaykum mairay samaeen! Aap kaisay hain? Khush? So mutt, jago! Nimrod kehta tha “Main Zameen ka Rabb hun aur main Aasmanon ke Rabb ko nahi manta. Main larun ga!”. Allah nay unn par virus nahi bhaija, laikin bhaijeen unn par machar ki faujain, aur Nimrod ki fauj apne apko bacha rahi thi armour se. Macharon ne khana shuru kardia, khatai gaye aur kyunke woh unpar teer nahin barsa sakte the, talwar nahin istimaal karsakte the, na apni muthi na haath na hathyaar istimaal karsakte the! Hum kehrahe hain virus lekin woh to machar tak ko haath nahin laga sake. Machar unn ke andar daakhil hokar khane laga (unka gosht) aur kuch na bacha siwai unki haddiyon ke jo girr pareen. Daro Allah se! Ye Nimrod aur uski fauj ke liye tha. Aur Allah ye tareeqa nahin istimaal karega Apne nafarmaan bandon par; Woh isse bhi zyada taqatwar virus bheje ga jo choone se hi khatam karde.

Maine apnay ustaad say suna aik baar Basra may aik taoon phaila. Pehlay din

70,000 log mar gai; doosray din 73,000 mar gai, teesray din 75,000 log mar gaye, ye tareekh ki kitabon main likha hai Basra ke logon ke sath ye hua. Chotai din tareekh kehti hai ke koi nahi bacha Basra main. Unke gharon main koi nahin bacha jo ghar ka darwaza khol ke bahar jaata ya koi bahar na bacha jo ghar main daakhil hota; kuch bhi nahin.

Taoon gaya, lekar aya ek aur pig flu, kyunke Allah ne mana farmaya tha, “ Mutt khao khinzeer ka gosht woh saaf nahi hai aur woh tumhari maut ka baais bhi bunsakta hai.” Woh nahin samjh rahe. Ab Allah unki taraf ye bhej raha hai. Allah hamesha rehne wala hai aur Woh Azal se hai aur Abad tak rahega.

Ae logon! Ye kuch hai jo aaj raat hamain ataa hua hai mairay aaqa ki tarafse, iss dunya ke aaqa, tumhain jaganay ke liyai, khabardar karne ke liye; woh tumhainkhabardar karrahe hain! Jisne chicken flu takhleeq kia, abb badal chukka hai pig flu main, aur ye aisa nahin hai jaisa ke woh kehrahe hain ke isse chand amwaat hui hain. Allah ka hokum iss virus ko aya hai aur virus Aasmano ke Rabb se leta hai aur agar hokum aya hai marne ka, to woh virus mar dega. Kon rok sakta hai? Jo pig flu say darta hai, mai unn say kehta hun 3 baar wuzu karo is tarah ke muhn saaf karo aur 3 baar naak saaf karo, chale jaiga virus aur injection ki koi zarrorat nahi. Kapra rakhne (mask) ki bhi zarurat nahin muhn par.

Ae Logon! Shukriya keh itne zyada log sunn rahe hain aur ghor karrahe hain, lekin jo sunn rahe hain unn main se muthi bhar log honge joke ghor karrahe hain aur zyada tar nahin sunn rahe.

Allah hamari maghfirat farmai, ke aisa hokum na de virus ko keh woh Bani Adam ko asar kare. Phir jubb saari duya khatam hojaigi ke koi nahin milpayega logon ke dafn tak karne ke liye.

Khauf-e-Khuda logon ko seedhi raah par laata hai, aise ya waise nahin. Ae qaumon ke leedaraan! Bachne ki koshish karo Allah ke ghazab se kyunke Allah ka ghazab sabse pehlai qaumon ke leedaraan par ayega!

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah.

Ae Logon! Yaqeen paida karo roohaniyat main aur chor do Atheist banna. Athiest log sabse nichle darjai par honge. Ae Logon! Imaan lao aur buland tareen ehtaraam do apne Rabb ko aur Uske sabse mahboob bande, Sayyidina Muhammad(s) ko! Yaa Rabbee, ya Allah! Hamain muaaf karde, Ae hamare Rabb, hamain muaaf karde! Bhejye hamare paas koi aisa jo hamare juda bhaiyon ko ek kare. Ae hamare Rabb, hamain muaaf karde, hamain muaaf karde, hamain muaaf karde! Hum sirf Teri maghfirat chahte hain aur barkatain. Ameen. Salamun `alal mursaleen, wal hamdu lillahi Rabbil `alameen.

(Mawlana Shaykh gungunate hain.)

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Allah. Fatihah. (56 minutes) Allah, SubhanAllah! As-salaamu `alaykum!

UA-984942-2