Go to media page Available in: English   Dutch   Arabic   Urdu  

70,000 Parday Haqiqatu 'l-Muhammadiyah se Pehlay

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

16 November 2009 Lefke, Cyprus

Allah Allah Dastoor yaa RijaalAllah.

(Mawlana khare hote hain.)

Khare hojao. Hamain zaroor khara hona chahiye apne Rab ki tareef ke liye.

Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar

Allahu Akbar wa ajjal wa `azham, Rabbuna jalla wa `ala

Tamaam tareefain aur tamaam tazeem Takhleeq ke Rabb ke liye, Allah Azzawajal. Ae hamare Rab! Hamain bakhsh de. Ae hamare Rabb! Karam kar hum par! Kuch samjhne de hamain aur takai hum amal karain, kyunke humne apse ehd kiya hai ke hum Apke bunde hain. Hamain hamesha apna bunda banaiye rakhna, kisi aur ki tabaidari na karain aur hum bulandtar salam aur tazeem Khaatamun Nabiyyeen (s) ko derahe hain, Allah Azzawajal ki baargah main sabse mehboob bunde aur mukammal Khalifah Allah ke. Har cheez ko salaam dena chahiye hamare Rabb Allah Azzawajal ke Khalifa ko.

Ek Baadshah ka sirf ek khalifa hosakta hai, do nahin hosakte. Aur Allah ka bhi ek hi Khalifa hai Azal se abad tak, nahin badal sakta. Isliye tamam salaam, tamaam azmatai, tamaam tareefain aur bulandtareen izzat unke liye. Aur unki azmat ke liye Allah Taala ne takhleeq ki tamaam khalqat Azal se Abad tak. Aur unki azmat ke liye, Allah Taala ko zarurat na thi kisi ki, lekin uska Khalifa akela nahin hosakta. Woh makhlooq hain aur Ye khaliq. Khaaliq ko kisi cheez ki zarurat nahin, lekin makhlooq ko….. Isliye uns bunne ke liye, Uske khalifa ko pehchanne ke liye, absolute khalifa. Hona hi hai. Isliye, Usne takhleeq ki tamaam khalqat Muhammad (s) ki azmat ke liye.

(Mawlana Shaykh bethte hain)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah

Salaamti unn par. Tamaam tareefain aur azmatain jo makhlooq ki hain unko ataa ki gaeen, aur woh ataa karrahe hain. Woh ek samandar hain jinki wus’at koi nahin samajh sakta ya unke samandar ki hadain. La mehdood, aur Uss La mehdood ke liye. Bilkul La Mehdood, Usske Khalifa ko bhi apne darjai par ataa kiya gaya tha, la mehdood Makhlooq. Makhlooq, Allah Azzawajal hamesha unko ataa karrahe hain. Ye ek intihai bareeq nuqta hai jo sirf Nabi (s) ke oonche darjai ke dost samajh sakte hain.

Dastoor. Astaghfirullah, astaghfirullah, astaghfirullah, astaghfirullah.

Aur Allah ke buland hokum ke mutaabiq, kyunke buland hukum hai, bulnadtar hokum, bulandtareen hokum! Buland tareen hokum, sirf Ek hai! Yaa Sayyidee, yaa RasoolAllah, beshumaar salaam, beshumaar izzat aur beshumaar tareefain apke liye, Allah Taala ki tarafse apke liye. Hamara salaam ya tazeem bayaan karna ek atom ki maanind hai ya usse bhi kum uss la mehdood Azmat ke Samdar se jo Allah Taala unko ataa karraha hai. Kahaan hain ap, Salafi ‘ulama?! Kahan hain ap, Wahhabi log?! Apse ye bardaasht nahin hota kehna, ek ummah, “As-salaatu wa 's-salaamu `alayka yaa RasoolAllah!"? Apko kehte huai sharam nahin aati, “Haraam”!? Lekin aap aise darjai par hain jo jaanwaron ka darja hoga. Aur jaanwar, unko nahi tasleem karrahe kyunke jaanwar bhi Khaatamun Nabiyyeen (s) ko izzat dete hain. Allah hamain achi samajh ataa farmai. Samajh ek roshni hai jo Allah Taala ne Apni bargaah main Apne sabse barh kar izzatdar aur azmat wale ko ataa ki hai.

Isiliye, mai sharamsaar hun kehtai huai “ghulaam” kyunke uss darjai par, King ek ghulaam ke sath nahin hosakta. Sultan, kaise apne ghulaam ke sath bethsakta hai? Nahin, apne ghulaam ke sath nahin bethsakta. Nahin! Zaroor aisi oonchai ataa ki hogi aur izzat aur azmat ke woh Allah ki bargaah main honge Usse baat karne ke liye aur Woh unse kalaam karraha hoga. Ajeeb, log samajhte hain ke woh jo seekh rahe hain woh kuch hai. Kya hai woh? Kya seekh rahe ho tum? Agar aisa nuqta nahin seekh rahe, jo ek bareek nuqta hai, nahin daakhil hosakta koi bhi uski jismaani halat main, na hi uski roohnai halat mai.

Ek baar Sultan ul 'Arifin, Abu Yazid farmaa rahe the, “ Ek baar aa rahay thay mairay paas Haqiqatu 'l-Muhammadiyah, salawaat se. Maine poocha aur jawab aaya, “ Aap nahi aa saktay.” Jabkeh unho ne kaha, “Main sirf pohonchnay ki niyat kar raha hun, unka pohanchna munqata hogaya. “Sirf ek chota sa suraakh khula, maine Haqiqatu 'l-Muhammadiyah (s) ko dekha hirai huai 70, 000 nuur kay samandar se”. Aam makhlooq say parday main Haqiqatu 'l-Muhammadiyah (s), har ek se aur tamaam makhlooq se parday mai, Jibraa'eel (a), Mikaa'eel (a), Asraa'feel (a), `Azra'eel (a) aur Hamalatu 'l-`Arsh (angels who carry the `Arsh) aur tamaam mala'ikah se bhi. Parday main, kyunke agar ek khulne chala. Ek parda agar khula. Abu Yazid ne kaha pehla parda hatane ko, aur aasmani ailaan hua, “Ae Abu Yazid, qif (Ruk ja)! Agar ek qadam aur liya tou tum jall jao ge aur dubarah wujood mai ana mumkin na ho ga.” Ye 70,000 parde hain makhlooq se, chupaye huai hain Haqiqatu 'l-Muhammadiyah ko.

(Mawlana Shaykh khare hote hain.) Alfu salaat, alfu salaam.

La mehdood salaat o salaam. Hum kuch bhi nahin kehrahe apki azmat main, hamain muaaf kardeejye.

(Mawlana Shaykh bethte hain.) Allah Allah.

Isiliye, makhlooq ki taraf. Aur 70,000 parday Allah ki taraf, ye bhi hai. Unn ko parday main rakha gaya ke usse zyada na pohnchain, sabse kumtareen Allah ki hadd, unke Khaaliq, Allah Azzawajal (swt). (Mawlana Shaykh khare hote hain, phir bethte hain.). Ye parday unn pardon ki tarha nahin hain jo Noor-e-Muhammadi (s) aur Makhlooq ke darmiyaan hain, nahin. Har parda 70,000 sai lekar 70,000 tak hai hifaazat ke liye. Woh Allah Azzawajal hai. (Mawlana Shaykh khare hote hain.) Allahu akbar wa lillahi 'l-hamd! Yaa Rabbuna! (Mawlana Shaykh bethte hain.)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah. La ilaaha illa-Llaah (Mawlana Shaykh khare hote hain) Sayyidina Muhammadun Rasoolullah (s). (Mawlana Shaykh bethte hain.)

Oooohhhh. Hum kho rahe hain, shayad iss zindagi ka sabse bara moqa. Aur log ek samndar main honge, kabhi nahin jaanpayain ge uski ibtida ya intiha. Har machli ek samndar banna maangti hai. Lihaza, ek machli, jab woh samndar main hoti hai apna munh kholti hai. Iss tarah nahin, kholti hai….

Ek wali doosre se poochta hai, “Machli ye kyun karti hai?” Doosre wale kehte hain, “Aap aisa sawaal pooch rahe hain jo aap nahin jaante?” “Ji sir, Main jaanta hun lekin main phir bhi pooch raha hun, maqaama 't-tahqeeq ke tor par.” Isse bhi zyada. Doosre wali ka darja unse ooncha tha; isliye woh kehrahe the, “Main kuch samjh raha hun lekin apki samjh mujhse barh ke hai.”

Aur woh kehrahe the, “ Iski niyyat munh khoolne ki ye hoti hai ke woh purai samandar ko nigal jai. Tamaam samandar ko nigalna chahta hai.” Iska matlab ye ke woh khud Samndar banna chahta hai. Agar woh nigal jai tou samandar bunjaiga!

Machli tumhain sikhati hai, O Insan! O ghaafil Insaaniyat! Har cheez ko hikmat ki nazar say dekho. Woh machli poora samandar chahti hai lena. Aur tum koi parwah nahi kartay aasmani rooshniyon ka nuur lainay ke liye. Aur tum hamesha khush rehte ho gutter ke andhairon main. Bahar niklo, Ae Logon! Bahar niklo aur dekho! Kahan ho tum? Ooper kya hai?! Jab tum bahar niklo ge, tou nazar dorana ke tum ho kahan aur kaise tum apne aap ko gutter ki naaliyon main rakho ge? Insaniyat zero point par hai, technologia ke dhokai main, Antichrist ke zaryai. Woh nichai jaa rahe hain nichai, nichai. Aur woh dajjal, antichrist bula raha hain, “Girr jao, girr jao, neechay, pasti mai tumhain khazanay milain ge. Ajao, ajao, ajao.” Kyunke aam admi samajhta hai zameen ke neechay khazaanai hain. Isliye woh bulata hai, “Neechay aao, neechay aao, neechay aao aur dekho neechay tumhare liye kya hai.” Aur Shaytaan ye durs unhain sikhata hai, “Qaroon ko daikho (Ek ameer aur laalchi zaalim, Sayyidina Musa (a) ka cousin). Ye mutt socho ke uss par aasmani ghazab aya. Nahin.” Kyunke woh harees tha, usko jaldi thi khazanay dhoondney ki. Isliye Allah nay usse neechay zameen ke pohncha dia aur khazane dhoondne ke liye. Shaytaan aisa bana daita hai isse ke log Qaroon ke ikhtitaam se sabaq nahi haasil karte. Kehta hai, “Nahin, nahin, nahin, woh tou zameen main khazanai talaash karraha tha aur ab Musa (a) ke Rabb ne usse neechai bhej diya hai takai aur khazanay talaash karpai. Kyunke tumharai pair ke neechai, unginat khazaanay hain. Issliye, usko ye bakhsha gaya keh woh zameen ke neechai khazanay talaash kare.”

Ae Logon! Aao aur suno. Aao aur apne dimagh samajhne main lagao. Aisa ailaan hamari sadi mai ho raha hai kyunke aakhri din aane wala hai. Darwazai ke peechai aik nai opening hai. Yeh wajah hai. Aur logon ek choti machli pura samndar chahti hai, sabaq daiti hai logon ko, “ Dekho mai bhaag rahi hun aur se aur samandar se lenai ke liye.” Aur tum, Ae insane, tumhain tou moqa diya gaya hai aasmani khazaanon tak pohanchne ka, kyun tum khayal nahin karrahe? Kya tum samjhte ho ke Shaytan ne jo Qaroon ke mutalliq kaha woh ek durust ailaan hai?? Nahin! Shaytan tou dhoka de raha hai, woh dhoka dena chahta hai logo ko takeh woh aasmani khazaanon tak pohanchne ki khwahish na rakhain, aur unki ankhain sirf zameen aur zameen ke neechai tak mehdood rahain. Dekho aur sabaq haasil karo uss choti machli se jo kaheen pohanchna chahti hai. Woh nahin pohanch sakti, lekin tum, Ae Insan, Ae Insan, tum main ye aadat hai ya yeh khaasiyat hai tumhare Rabb ki tarafse ke tumhara kabhi dil nahin bharai ga. Hamesha tum main bhook hogi, aur mango ge, "Hal min mazeed? (Kya aur nahin hai?) Ae hamare Rabb, hal min mazeed?” “Lo Merai bande, aur, aur zyada la mehdood.”

Huuuuuuu Allahu akbar wa lillahi 'l-hamd!

Ae Logon! Apni samajh ko thora taiz karo. Pohnchai huai logon ki naseehaton se hai ke thora waqt apne Rabb ke liye nikalo. Tumhain khush hona chahiye iss naqli zindagi ko chorte huai. Yeh ek asli zindagi nahin hai. Yeh naqli zindagi hai. Tum asal zindagi tak pohanch sakte ho roohani zindagi ke uss paar. Apne roohani darajaat ke mutaabiq tum pohanch sakte ho aur pairwi karo Khaatamun Nabiyyen (s) ki. Tumhain aise samdaron tak pohanchna hai jahan tamaam samandar ek atom ki maanind honge. Allahu akbar. Allahu akbaru 'l-akbar.

Ae Logon! Suno. Yeh ek 20 minute ya adhai ghante ki sohbah hai. Hum jo kehrahe hain woh bohot bareek aur asaan baatain hain. Lekin asliyat azeem hai, jab tum azmat ke samandaron tak pohncho ge tumhain aisi khoobsoorti dikhai degi, aisi izzat, aisi roshni tum gumaan bhi nahin karsakte aur tum bhago ge hal min mazeed. “Aur nahin, Ae hamare Rabb?” De raha hai Woh. “Lo, lo, lo, lo.” Isliye jo Jannat tak pohanchna chahta hai, uska dil kabhi nahin bharta. Bhook, lekin Jannat main bhook hamare jaanwaron ki bhook nahin. Nahin! Nahin. Nahin. Ye ek moqa diya jaata hai logon ko idher aanai ka aur hum itne khush qismat hain ke hum khufya samndaro main se iss sayyarai par laye gaye. Aur Aasmanon ka Rabb hamain ataa karna chahta hai. Ataa karna chahta hai jaisa keh zikr kia anbiya ne, khaas tor pe woh baabarkat alfaaz Khaatamun Nabiyyeen (s) ke. (Mawlana Shaykh khare hote hain, phir bethte hai)

Allah Ta'ala farmaata hai, “Ye jo log iss sayyareh par hain, keh jab unhain kuch aur ataa kiya jaata hai na'imu 'd-dunya se, iss zindagi ke ehsanaat se, tou woh kehte hain, “ Oh ye hamare Rabb ka karam hai.” Aur Allah farmaat hai, “ Ae Merai bandon, phir bhi tum nahin pohnchai daaru 'l-karamati tak(sakhaawat ke darjai tak). Tum abhi tak nahin pohach sake uss Jannat tak jo maine tumhain hamesha ke liye ataa ki hai. Daaru 'l-karamati ye hai ke Main diye jaa raha hun, diye jaa raha hun, diye jaa raha hun. Meri sakhaawat tumhain dhoondni hai, tumhain jaanni hai, tumhain chakhni hai. Tumhain iska mazah lena chahye jab tum Merai daaru 'l-karamati main aao, sakhaawat Merai karam se.” Sakhaawat yahan pe, bilkul nahin. Tumhain wahaan talaash karni chahiye.

Isliye, Allah Azzawajal, jab Uske bande sakhaawat ke samndaron se aate hain, sakhaawat ki sultanaton se, tumhain dekhna chahye, tumhain chakhna chahiye, tumhain noorani hona chahye, tumhain izzat bakhshi gai hai, tumhain mazah lena chahye la mehdood. “Yaha kuch bhi nahin hai,” Allah Taala farmaata hai. “Isliye, dhoka na khao iss mukhtasir dunyawi zindagi se. Main tumhain daawat deta hun daaru 'l-karamati main anai ki, Merai la mehdood sakhaawat ki jannaton main, Jannatu na`eem, tum wahaan pao ge.”

As-salaamu `alaykum, Ae hamare samaeen. Humne abhi shuru bhi nahin kia aur waqt khatam hogaya hai. Abhi tou maine apse as-salaamu `alaykum kehne ka bhi zikr nahin kia na a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem ka, kyunke woh taaqat jo takbeer aur huzoor(s) par salaam bhejne se aati hai, usse Shaytan bhaag jaata hai aur uska matlab hai a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem jab itne zyada haq ke taaqatwar samandar khulte hain ek jaga par, mujhe aisi taaqat dete hain jo bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem aapko de rahi hai aur hum kehte hain bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem.

Allah hamari maghfirat farmai. Huuuuuuu. Ae hamare Rabb, hamain bakhsh de. Hum ghaafil log hain, hum jaahil log hain, hum bewaqoof hain agar hum nahin samjh rahe aur soch rahe. O Baba di Roma, Rome ke Paadri! Aur cardinals kahaan hain? Eesai wale kahan hain? Kahaan ho tum, Yahoodi Rabbi aur doosre rabbi? Agar aap kehrahe hain ke jo main kehraha hun woh ghalat hai, tou bataiye such kya hai. Aap bataiye jo such hai, main sunoonga. Aur agar nahin, tou suno. Ye aasmanon ki tarafse bheja jaaraha hai keh log ek doosre ka qatal karna chor den, takai woh munaasib hon khalifah ko izzat ka libaas pehnane ke liye, “khilaafat” Allah ki bargaah main.

Ae Logon! Apne aap ko tayyar karlo. Lekin hum ab 24 ghante Shaytan ke ghulaam bunchuke hain, dunya ke ghulaam. Woh sach nahin hai jo technology hamain sikha raha hai, keh hum duur bhaagain Rabb ki baargah se. Technology ek jaal hai Shaytan ka Bani Adam ko apne sath dozakh main lejane ke liye. Shaytan ki parwai mutt karo balkeh Anbiya ki pairwi karo, muqaddas bande Aasmanon ke Rabb ke. Allah hamari maghfirat farmai.

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Apki maghfirat, Ae hamare Rabb. Hamari taraf usko bhejye jo hamain haq sikha sakai, jo jante honk eh haq kya hai aur woh hamain haq ki taraf le jaa sakain, hamain rah-e-haq par guide karsakain. Aap har cheez par qaadir hain. Hum kamzor hain. Humain apne liye khaas bandon ki zarurat hai jo hamain asal haqeeqat ki taraf maail karain.

Fatihah.

(Mawlana gungunate hain.)

Kal raat hum boht hans rahe the, aaj raat apko kuch sochne pe lagaya hai. Agar Allah Taala Apne bundon ko khush karna chahta hai tou woh karsakta hai aur woh hans rahe honge. Agar Woh unko afsurda karna chahta hai, tou woh ro rahe honge. Allah hamari maghfirat farmaye.

(45 minutes)

(Mawlana muskurate hain.)

Woh jante hain. Hum nahin jaante. Subhaanallah. Ae Allah tera shukar hai. Shukar Allah ka.

(Mawlana sajdah karte hain)

Allahu Akbar. Shukr yaa Rabbee. Amaan yaa Rabbee, amaan yaa Rabbee, amaan yaa Rabbee.

(325 viewers on livestream.)

Aaj working day hai, log dunya main mashghool hain. Allah hamain jagata hai. Jaago! Aahista aahista mashriq aur maghrib, shumaal se lekar junoob tak million log sunn rahe hain. Zaroori awliya bhi yahan se lerahe hain aur sunn rahe hain. Apko Khushamdeed. Subhaanallah.

UA-984942-2