Available in: English   Turkish   Urdu   Arabic   Go to media page

Don't Ignore Heavenly Warnings

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim Adil al-Haqqani

29 October 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hojatay hain.)

Allahu akbar, Allahu akbar, laa ilaaha illa-Llah. Allahu akbar, Allahu akbar wa lillahi ‘l-hamd! Ilahi laka ‘l-hamd, hamdan dayman m`aa khuloodik, yaa Rabbi ‘ ghfirlana, w’arhamna, w’ansurna. waghfirlana ....yaa Rabbil `alameen. Alfu salaat, alfu salaam.

Aey Allah! Hazaaron tareefain aur tazeem Aap ki baragah main sab say ziyada mohtaram Sayyidina Muhammad (s) kay liay. Zidhu yaa Rabbee `izzan wa sharafan wa nooran wa surooran wa sultana. Alhamdulillah w 'ash-shukru lillah azal say lay kar abad tak. Aey Allah! Hum kuch nahin thay, Aap humain wujood main laaey. Tamaam shukr aur tamaam tareefain sirf Aap kay liyeh. (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)

As-salaamu `alaykum aey humaray saarifeen. Allah (swt) kay liyeh suna karain, mairay liyeh nahin. Uss kay sab say mohtaram khaleefa kay liyeh suna karain, jo sub say mu’azziz hain, azal say lay kar abad tak. Aey logon, unn (s) kay liay suno, iss say tum ko izzat milay gi. As-salaamu `alaykum, tamaam Bani Adam, wa rahmatullahi wa barakaatuh.

Hum shuru kar rahay hain jaisa kay aasmani ehkamaat tamaam insaanon ko keh rahay hain a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem bolnay ko. Aap ko yeh zaroor bolna chahiyay, mut`arrifan, iss baat ko tasleem kartay huway kay aap ko aasmani hifaazat ki zaroorat hai aur yeh hifaazat Allah walon kay waseelay say miltee hai. Yeh Allah ki taraf say bohot baree naimat hai, Apnay bundon ko Shaytan kay chungal say bachanay kay liay. Iss liyeh sab say pehlay, apni buniyaad ko mazboot banana mat bhoolo. Yeh majlis ab aasmani hifaazat mai aagaee hai. Iss liyeh yeh kehna mat bhoolo, jub apnay ghar say niklo, takay Shaytan aur uss kay chailon say dhoka na khaa jao. Jab aap Allah kay hukam kay mutabiq a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem kehtay hain. “Hum Aap ki taraf bhaagtay hain aey humaray Rabb.” Aap ki taraf bhaag rahay hain, iss say muraad yeh hai kay hum Aap kay numa’indon ki taraf bhag rahay hain. Agar kisi ko petrol chahiyeh to wo petrol station jaey ga. Iss kay liyeh wo Arabia ya Persia ya America main kuwan nahi khoday ga. Aap ko har jaga petrol stations milain gay, zaroorat say bhi ziyada. Zameen kay neechay ya tail (oil) kay zakheeray main janay ki zaroorat nahin. Aap bahut jald petrol stations ja kar petrol haasil kar saktay hain.

Iss liyeh jab hum kehtay hain kay, “Ya Allah hum Aap ki taraf bhaag rahay hain,” to hum uss sardaar ki taraf dortay hain jo is duniya ko uss ki asal manzil ki taraf lay ja rahay hain. Wo maujood hain. Unn say maango, wo asmani taqat kay aik bohot baray khazanay ki tarhah hain. Aap jaisay hi yeh kahain gay, wo aap tak zaroor puhanch jaein gay. Unn ko hukm hai kay jab koi a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem kahay tu wo apni ruhani taqat kay zariyay aap tak zaroor puhanch jaatay hain. Wo aap tak zaroor aein gay, aap ki madad kay liyeh, aap ki hifaazat kay liyeh. Iss liyeh, aey Bani Adam, Shaytan aur uss ki fauj kay khilaf hifazat aur madad maangna mat bhoolo.

Hum aasmani ehkaamat ki pairwee kar rahay hain, aur yahi humara asal hadaf (target) hai. Wo hukm sirf yeh hai kay, “Aey Bani Adam, aasmani ehkaam ki pairwee karo.” Fazool raaston ki taraf nahin dekhain. Aaj kal log kuch aisay rastay dhhoondtay hain jo un ko asli manzil par nahi lay jaatay. Iss liay, hoshiyar rahain. Muqaddas logon say apna raabta mat torain. Aap nay kabhi unn ko na bhi dekha ho, ya unn say na bhi milay hon, laikin kabhi sahayad aap ki unn say mulaqat ho jaey. Laikin unn logon ko pehchanna mushkil hai, kyun kay wo apnay asal roop main nahin hotay. Wo apni taqaton ko zahir nahin kartay. Iss liyeh hum a`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem kehtay hain. Hum bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem (Mawlana tilawat ko taweel kar kay adaa kartay hain) bhi keh rahay hain. Hukm hota hai, “Aey Meray bandon, Hum nay tum ko bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem ataa kia, Shaytan aur uss ki fauj say hifazat kay liay.” Yeh Rabb ki taraf say aasmani inaayat hai aap kay liay. Yeh aap ko ataa hoti hai jab aap hifazat aur salaamti mangtay hain, apni asal manzil tak puhanchnay kay liay.Yeh aap ko zaroor istimaal karna chahiyay, kyun kay aap kay rastay main Shaytan zaroor aa’ey ga, aur qat`a tareeq, daraarain dalay ga.

Aik baar RasulAllah (s) nay aik charee sai aik ssedhi lakeer banaee. Sahabah (r) say kaha kay, “Daikho yeh lakeer seedha raasta hai; jo iss rastay par chalay ga woh Allah ki bargah tak izzat aur shaan kay saath puhonchay ga.” Phir unhon nai bahut si tairhee lakeerain banaein, ultay haath par aur seedhay haath par. RasoolAllah (s) tamaam Bani Adam kay mu`allim hain. Wo Adam (a) aur tamaam ambiya kay bhi mu`allim hain. Insaan aur jinn donon kay aaqa bhi Sayyidina Muhammad (s) hain. (Mawlana kharay hojatay hain.) Hum unn kay ihtaraam main kharay horahay hain, Salafi aur Wahabi logon kay bawajood. Unn (s) ka farmaan hai kay seedha rasta Rabb ki bargaah tak lay jata hai. (Mawlana tashreef rakhtay hain.)

Hum daikh rahay hain kay buhat saaray raastay hain. Har raastay kay aakhir main aik Shaytan baitha hota hai jo kehta hai, “Aey humaray mehmaan, aap udhar kyun jaa rahay hain? Iss taraf aaein, mazay karain aur kuch dair aaram karain.” Wo shakhs udhar jata hai aur kuch dair aaram karta hai. Aaram karnay kay liay bahut say maqamaat hain. Shaytan bula raha hai, “Aap zaroor yahan aaein, araam karain aur mazay karain, kitnay pur-lutf maqamaat hain yahan.” Agar aap kehtay hain, “Mujhay jaldi hai, mujh ko bahut lamba raasta tay karna hai; mera waqt nikal raha hai aur mujhay waqt khatam honay say pehlay apni asli manzil par puhanchna hai,” tu aap uss say bach niklain gay. Laikin aap nai uss say jaan churayee to aik aur mor par Shaytan aap ko aur bhi ziyada warghalaey ga. Wo kahay ga, “O, azaad ho jao, aao humaray paas aur khoob aish karo, bahut kam qeemat par. Aao, aik minute baitho, phir chalay jana.” Jab aap aik nazar bhi wahan dalain gay, tu wo aap ko apnay jaal main phhaans lay ga, aur phir uss tafreeh-gah ka malik kahay ga, “Iss ko kuch sharaab pilao, takay yeh apna irada tabdeel kar lay.” Jab wo shakhs peenay lagta hai tu wo kehtay hain, “O humain bahut fakhar hai kay aap humaray saath hain. Thora aur andar aa jaein, aap ko iss say bhi bahut ziyada milay ga.” Agar wo shakhs apnay aap ko bacha bhi lay, tu aagay aur bahut say raastay aaein gay, aik kay baad aik, jahan aap ko behkaaya jaaey ga.

Yeh Bani Adam par ab sabb say bari laanat hai. RasulAllah (s) tamaam ambiya, malaa’ik aur insanon kay mu`allim hain, aur Salafi aur Wahabi logon kay bawajood hum unn (s) kay ihtiraam main kharay ho rahay hain. Yaa Rabbee, Aey humaray Rabb. Wo behtereen ustaad, n`aima 'l-mu`allim hain, jo Allah (swt) ki taraf seedha raasta dekha rahay hain. Wo Rabb kay bandon say yeh ummeed rakhtay hain kay wo Uss ki bargah tak puhanch jaein gay, inn aasmani darajaat kay zariyay, aur Wo (Allah) unn ko Apni bay intiha naimaton say nawazay ga, Wo sab ko ataa karnay ka muntazir hai.

Aey logon, aap kahan hain? Kia aap yeh soch rahay hain kay aaj raat hum tafreeh karnay kahan ja’ein? Shaytan kitnay raaston par baitha hua yeh koshish kar raha hai kay aap ko apna pishaab pilaaey. Tooba, bashaarat hai unn logon kay liay jo Shaytan ki baat nahin sunn rahay aur unn raaston say duur hain.

Duniya main koi araam nahin, laa rahata fi’d-dunya; yeh ilm nabuwwat kay zariyay hum tak puhancha hai, aisa ilm jo mustahkam hai. Sakht ilm ya sakht hukm logon ko diya gaya hai kay : “Aey logon, raahat,araam kay peechay mat bhaago. Iss zindagi ki aasa’ishon aur lazzaton kay peechay mat bhaago kyun kay yeh zindagi sirf mushkilaat par mabni hai.” Iss liay,jo koi bhi iss zindagi ko guzaar raha hai uss ko apna dimaagh istimaal karna chahiyeh. Uss ko sochna chahiyeh, kyun kay sochnay say asmaani raaz humaray qalb par munkashif (zaahir) hotay hain.

Khatim-ul-Ambiya (s) tamaam makhlook kay ustaad hain kyun kay tamaam makhlook unn kay aizaz main takhleeq ki gaee hai. Wo humari taraf bhaijay gaey hain humain roshan taleemaat sikhaanay kay liyeh, roshniyon kay la-mahdud bahr (ocean) tak lay janay kay liay. Aey sami’een, so’ein mat aur yeh mat kahain, “Hum yeh jaantay hain.” Aap kuch nahin jaantay, jaisay main kuch nahin jaanta. Jo koi bhi aisi suhbah kay dauraan sota hai, wo Shaytan kay chungal main phansa hua hai, jis nay uss ko ghafil kar dia hai. Aey logon,yeh suhbah mahdud waqt ki hai laikin aap ko roohani taaqat daitee hai.Rabb ki taraf say aisee taqat jo aap ko ghaflat ki neend say mehfooz rakhay aur aap har waqt baydar rahain. Jo log so rahay hai unn ko Shaytan behka raha hai aur neendh ka teeka lagata jaa raha hai. Aur wo (Shaytan) kehta jaa raha hai, “So jao, so jao.” Jaisa kay RasoolAllah (s) ki muqaddas taalimat say humain pata chalta hai, kay aik insaan jo raat ko sota hai aur raat kay aik hissay mai jaag kar ibaadat, Rabb say munajat karta hai. Laikin Shaytan uss kay paas aata hai aur chaadar orha kar kehta hai, “Thora aur so jao, abhi bhi kafi waqt baqi hai, phir uth kar ibadat kar laina.” Wo shakhs uss ki baat maan laita hai aur chaadar orh kar sojata hai. Aur thoree dair baad woh baydar hota hai tu daikhta hai, “O sooraj nikal aya! Yeh kia hua ? Main tu raat ko uth kar ibadat karna chahta tha. Kis nay mujh par chaadar daal di?” Yeh hai Shaytani naseehat. Aur wo kehtay hi reh jatay hain, “Mujh ko kia hua tha? Mujhay tu aaj raat uthna tha. Kis nay mujh ko (chaadar orha kar) sula dia?” Aur wo Shaytan kehta hai, “Aey meray mehboob, main chahta hoon kay tum araam karo. Abhi araam karnay main koi harj nahin.”

Iss liyeh, jo koi bhi 24 ghanton main iss thoray waqt ki suhbah sunnay kay liyeh baithta hai, unn main say kuch log sonay lagtay hain, aur Shaytan dekhta rehta hai kay kon unn may sab say ziyada ghafil hai, kehta hai, “Yeh meray liay acha hai, mujhay uss par apni chaadar daal dainee chahiyeh.” Koi kehta hai, “Kharay ho jao, kharay ho jao! Rabb kia keh raha hai? Kia tum poora dinn sotay nahin rehtay?”

Dekho, suno. Yeh aisay dayimee (living) alfaz hain jo aap ko mashriq say lay kar maghrib tak kahein nahin milain gay, kyun yeh mamnoo’ hain. Log inn ko sunain tu kaanp kar kharay ho jaein. Aey logon, Shaytan say hoshiyar raho! Allah (swt), yaa Rabbee! Apnay kamzor bandon ki hifaazat karain. Hum apnay Rabb kay kamzor banday hain, (aur yeh aik) tanbih hai (warning), tanbih hai. Hum ghaatay main hain, aur hum gumrah ho jaein gay. Wo (Allah) kia chahta hai kay hum itnay thoray waqt main kia hasil karain? Iss liay Allah (swt) chahay tu humari zindagi 70 ya 80 ya 100 saal say bhi ziyada ho sakti hai, ya Wo humain 1000 saal ki umar bhi day sakta hai; yeh baat aham nahin. Uss ko tu sirf hukm daina hai, “Mera hukm hai kay Meray banday iss zameen par 1000 saal tak rahain.”

Allah nay humari jismaani zindagi ko mahdud banaya hai, aur iss ka asal maqsad yeh hai kay hum iss thoray waqt main kuch hasil kar sakain. Khatim-al-ambiya (s) ki hadith main yeh kaha gaya hai kay jab aik insaan iss dunya main apna waqt poora kar laita hai tu uss ki rooh chali jaati hai aur uss kay jism ko qabristan lay jaya jata hai. Pehla sawaal Qiyamat kay din Allah ta`ala logon say poochay ga, "Tum nai kia seekha?" Asmanon ka Rabb, Jo tum ko mitti say zinda karta hai, Roz-e-Hashar Wo poochay ga, "Tum nay iss duniya ki zindagi main kia seekha?"

Aey logon! Hum yahan seekhnay kay liyeh aaey hain, tafreeh karnay kay liyeh nahin! Ilm haasil karna hee asal maqsad hai; yehi Bani Adam ka haqeeqi hadaf hai. "Tum nay kia seekha?" Aap kia kahain gay? "Main nay kuch nahin seekha." Uss waqt aap par ilzaam hoga. Yahan par ghafil mat rahain!! Iss liay, main aap ko iss kaam par muqarrar kar raha hoon: aasmani kitabon aur Allah kay khaas bandon jinn ki tadaaad 124, 000 hai, unn ki taraf daikhain aur unn ko sunain, aur tamaam paighambaron ko dekhain kay wo aap ko kia sikhaa rahay hain. Aap ko zaroor seekhna chahiyay! Iss waqti zindagi ka ilm hasil karnay ki koshish na karain.

Aey logon! Al-`ilmu bahrun. Ilm ka samandar bay-intiha gehra hai aur uss ka koi kinara nahin. Jo ilm ki sultanat Allah nay aap ko bakhshi hai uss sai kuch seekhain. Allah (swt) humain maaf farma’ein! Hum keh rahay thay, la raahata fi’d-dunya, “Iss dunya main koi poori tarha araam nahin kar sakta." Seedha raasta apnanay say aap araam paa saktay hain, laikin agar aap seedhay raasatay say hut ja’ein gay tu museebat main parr ja’ein gay. Aap bay-shumaar aisay halaat, buhraan, aur na-gawaar aur na-gihaani afaat ka shikar ho jaein gay. Aik kay baad aik dinn guzar rahain hain, aur aham tareen sawaal yeh hai kay aap Allah (swt) kay seedhay raastay par chal rahay hain ya gumrahi kay raastay par? Tamaam tar mushkilaat jo Bani Adam ko darpaish hain, wo sirf iss liyeh kay wo seedhay raastay sai bhaagnay ka tareeqa dhoondtay hain. Iss liyeh aur bhi ziyada museebatain, buhraan aur azziyatain unn ko ghairay huay hain.

Aey logon! Suno, jaisay main sunnay ki koshish kar raha hoon. Suno aur ataa’at karo! Yeh aasmani tanbih (warning) hai, jo aik kamzor banday ki zabaan say jari ho rahi hai. Allah chahay tu kisi patthar ya darakht ya gadhay ko bhi zabaan ataa kar sakta hai; yeh Uss kay liay koi mushkil baat nahin. Laikin Wo mujh say khitab karwa raha hai aap kay liay, tu iss baat ko sochnay aur samjhnay ki koshish karain. As-salaamu `alaykum.

(Mawlana gunguna rahay hain.)

Dome, dome, dome, dome,

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome,

Dome, dome, dome, dome

(49 Minutes) Alhamdulillah. As-salaamu `alaykum.

UA-984942-2