24 September 2009 Lefke, Cyprus
Dastoor ya Sayiddi, Madad. Allahu akbar, Allahu akbar, Laa ilaha illallah, w'Allahu akbar, Allahu akbar wa lillahil hamd.
Alfus-salat, alfus-salam, ‘alaika wa ‘alaa aalika wa ashabika ya Sayiddi ya RasulAllah (s). Madad, madad, madad.
Bismillahi 'r-Rahmani 'r-Raheem. As-salaamu `alaykum!
Aey logon! Aey insaanon! Apna waqar qa’im rakho,jo koi sunnay aey ga aur doosron ko bhi apnay sath laey ga, uss ko izzat milay gee. Apnay aap ko paak rakho, apnay aap ko izzat dar rakho. khayal rakho kay achay logon main se raho. Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatahu! aur hum kehtay hain : Auzo billahi minashaitanir rajim, Bismillahi ‘r –Rahmani ‘r- Raheem. Madad Ya Sultan.
Aey logon! Achai aik se doosray tak puhanchti hai,koshish karo k achai k pull (bridge) bann kar logon tak puhancho. Aey logon! Main aik kamzor banda hoon, humaray Malik ka. Main kuch nahin janta. Laikin jo mujhay bheja jar aha hai, iss duniya k Sardar k paas se, who main boloon ga, aur ab mera mission yehi hai k main tamam insaniyat ko khabardar karoon. Kyun k woh aik tootay huay pull (bridge) ke taraf bhag rahay hain, aur wo sab aik bari nahar main gir saktay hain, aur phir who kabhi wapis nahin aein gay. Aik black hole (gehri khaa’ee) un ko nigal sakta hai, phir woh hamesha k liay iss duniya se chalay jein gay. Aik dafa ka zikr hai k uss maidan main kuch log raha kartay thay, laikin ab woh khatam ho chukay, gha’ib ho chukay.
Allah subhana wa t'ala! Allah zul jalal, Azeem ush-shaan, Jo sab se ziada shaan o shaukat rakhnay wala hai, sab se ziada taaqat war hai…woh takhleeq karta hai aur apni sakhawat k la intiha samandar se apni makhlooq ko nawazta hai. Aey logon, ab bahut ghaflat ho chuki, bahut mast reh chukay, bahut dair so chukay, ab jaag jao aey insaanon! Jago, aur apnay itraaf main dekho k tum kahan ho, kahan se arahay ho aur kahan ja rahay ho. Aey logon, main aik khabardar karnay wala, tum ko khabardar kar raha hoon. Keh aik black hole tum sab ko nigal sakta hai, aik k baad aik. Asmani kitabon main yeh sab likha hai, aur uss main se kuch batain mujh tak bhi puhunch rahi hain, aur meray grand master (baray sheikh) mujh ko paigham bhej rahay hain apnay muqaddas silsilay se.
Jab akhri gin aey ga, yani Hashar ka din, jis ka doosra naam yaum-e-Hisab hai, uss din tamam makhlooq ka Rab, sab ko hukm day ga, k sab aik baray maidan main jama ho jaein. Aur phir sab ko dekhaya jaey gaa k who iss zindagi main kia kartay aey hain. Woh apnay Nabiyon k saath kaisa sulook kartay thay. Aur Anbiya sab se ‘alaa log hotay hain. Woh log inn nabiyon k baray main kiya kehtay thay?
Allah poochay ga, ‘aey meray paighambaron, main nay tum ko iss duniya main apnay bandon k paas bhaija tha, unn ka tumharay baray main kia jawab tha ?’
Aur tamam paighambar kahain gay, k ‘aey humaray Rab, aap jantay hain k bahut kam log humari baat mantay thay aur ziada tar, farar hojatay thay.’
‘Aey meray nabiyon, mujhay apni ummaton kay baray main batao. Tum un ko kia paigham daitay thay, aur unn ko kis ke taraf bulatay thay?’
‘Aey humaray Rab, aap jantay hain k aap k hukm k mutabiq hum unn ko Aap ke taraf bulatay thay. Laikin aksar woh log iss baat ko maannay se inkar kar daitay thay. Aap jantay hain k jawab main woh log bhag jatay thay.’
‘Aey meray muntakhib bandon, ab aur kuch na kaho,main nay tum ko apnay paigham k saath bheja tha, aur tum unn logon ko achai ke taraf bulatay thay, k woh izzat dar log bann jain, achay log bann jaein, aur achay banday bann jaein.’
‘Aey humaray Rab, aap jantay hain k woh faraar hojatay thay.’
‘Tum unn ko Haqq ke taraf bulatay thay, laikin woh kharab cheezon ke peechay bhagnay ko tarjeeh daitay thay, aur tum unn ko apnay paas bula rahay thay aur tumharay paas Main hoon.’
‘Aey humaray Rab, woh sab bhag jatay thay, woh kitnay baywakuf thay. Hum unn ko golden(sunehri cheez) ke taraf bulatay thay, aur woh carcass (murda janwar) ke taraf bhagtay thay.Aap jantay hain humaray Rab, k hum unn ko golden (sunehray rastay) ke taraf bulatay thay, pakizgee ke taraf, aur izzat o waqar ke taraf, laikin woh murda janwar ke taraf janay ko tarjeeh daitay thay.’
Uss waqt Allah taala aik taraazoo main unn logon k amaal ke qeemat dekhay ga. Achay logon ko da’ein (right hand) taraf, aur buray logon ko ba’ein (left hand) taraf lay jaya jaey ga, yani leftists! Subhan Allah, ba’ein haath walay log, 100% Shaytan ko mannay walay hain. Woh Shaytan k ilawa kisi cheez per iman nahin rakhtay. Woh chahtay hain k khud bhi shaitan ke tarha bann jaein, aur doosron ko bhi aik qisam ka Shaytan bana dain. Kyun k shaitan k mukhtalif rang hain, aur mukhtalif dhang hain. Kuch kehtay k woh haray rang k hain, kuch kehtay k kalay rang k hain, aur koi kehta hai k safaid hain. Lakin yeh sab ghalat hai. Woh girgit (chameleon) ke tarah hain.Woh kabhi apnay aap ko safaid dekhatay hain, kabhi laal, aur kabhi hara, logon ko dhoka denay k liay. Ba’ein haath walon (leftists) ke yahi asal khususiyat hai. Aur woh sab jhootay hain, unn ke koi izzat nahin. Yeh sab Shaytan ke chal hai, takay log uss k faraib main aa jaein.
Aaj ap dekhain mashrik se le kar Maghrib tak, tamam mushkilain unn ba’ein haath walon (leftists) ke oopar arahi hain. Wo kabhi apna asal roop nahin dekhatay, wo awwal darjay k dhokay baaz hain, shaitan ke tarah. Ba’ein haath walay Shaytan k sanad yafta (graduates) hain. Main wahi keh raha hoon jo mujhay kaha jaa raha hai, main logon ko khabardar kar raha hoon. Main kuch bhi nahin, sirf logon ko hoshiyar karnay / daraanay aya hoon, unn logon k faraib se. Islamic duniya bhi unn logon k dhokay main hai. Aur khaas taur par Arabs, uss faraib main aa chukay hain, aur kitnay he Arab mumalik unn leftist logon k peechay ja rahay hain, aur asal rastay ko chor chukay hain jo unn ko jannat ke taraf lay jata hai, aur jis se who donon jahan ke khushi pa saktay hain. Aur pehla fitna, Arabs main he zahir ho chuka hai.
Kitnay he saray zalim log hain, jo Arabs hain. Aur ab kitnay hee Arab mumalik hain jin main yeh zalim log hain jo kabhi Quran ko nahin dekhtay, jab k Quran Azeem ush-shaan Arabic zaban main hai. Laikin who Quran ke mukhalifat kartay hain aur ba’ein haath walon k peechay bhagtay hain.Woh kehtay hain k leftists log insanon ko inn k huqooq daitay hain. Aur Quran? Quran kia logon se unn k huqooq chheenta hai ? Ya un ko Allah k diay huay huqooq se mehroom karta hai? Wo kehtay k hum logon ko azadi de rahay hain, k wo kisi k ghulam na ban sakain, laikin wo khud Shaytan k ghulam hain. Kyun k Shaytan nay unn ko yeh sikhaya hai, k tum azad nahin aur hum tum ko azadi de rahay hain.
Leftist log, unn k leaders, shaitan k sanad yafta (graduates) hain. aur kehtay hain k hum logon ko azadi de rahay hain. Kahan hai wo azadi? Unhon nay logon k moon see diay hain, unn k kaan band kardiay hain, hath baandh diay hain aur pa’on main zanjeerain daal de hain aur kehtay hain k ab tum azad ho. Tum behtreen azadi main ho. Unhon nay logon kee ankhon par ainak bhi laga dee, jo safaid ko kala or kalay ko safaid dikhati hai, haray ko laal or laal ko hara dikhati hai, aur wo phir kehtay hain k ab tum poori azadi pa chukay ho aur agar koi un kay khilaaf jaey to uski gardan kaat detey hain. Sab yeh kehtay hain k aaj hum ‘ala tareen maqam per hain, jo azal se lay kar abad tak kisi ko nahin mila , hum ab azad ho chukay hain 21st century main. Wo yeh kehtay hain, asmani kitabon ke khilaf.
Ab aap logon k liay sukoon kee ummeed kaisay kar saktay hain? Wo sab ab shaitani zalimon ke pooray qaboo main hain. Astaghfirullah, astaghfirullah!
Aey humaray Rabb! Aap nay humaray saath behtreen sulook kia, aur aap k bandon nay badtareen tariqa rakha. Astaghfirullah, aey humaray Rabb! Utha lain shaitan aur uss k mannay walon ko. Duniya ko sirf apnay liay bana lain, sirf apnay unn bandon k liay jo aap ke ibadat main masroof hain. Humain shaitan ke ghulami se bacha lain, aur hum kamzor bandon ko qubool kar lain. Hum ko aisee himmat, taqat aur iman dain k hum aap ke ibadat kar sakain, kyun k sirf aap he momineen ke hifazat kar saktay hain. Aey humaray Rabb!
SubhanAllah. Aur qiyamat k din, jab tarazoo rakha jaey gaa, aur Allah farmaein gay k dekho meray kon se bandon ne duniya ke zindagi main meray ahkamat ka khayal rakha. Wo log jinhon ne asmani kitabon aur asmani ahkamat ka khayal rakha, wo jannat main dakhil kiay jaein gay. Aur baqi sab, aik baray maidan main rahain gay. Quran aur doosri asmani kutub main yeh likha hai, k aik ajeeb makhlooq aey gee, jahannam ke aag se bani hui, jo logon ko aisay nigal jaey gee, jaisay gandum ya jaw. Aur kisi ko nahin pata k wo kahan ja rahay hain, wo aik aik kar k sab ko lay jaey gee, yahan tak k koi nahin bachay ga. Yeh black hole hai, k jis k andhairay ka kisi ko nahin andaza. Un ko andhairee jaga per phaink diya jaey ga, yeh qiyamat k din ka black hole hai, jo aik aik kar k sab ko lay jaey ga, yahan tak k qiyamat ka maidan khali reh jaey ga.
Aey logon! Yeh mat socho k hum unn jismani lazzaton k liay takhleeq kiay gaey hain jo haram hain. Nahin, yeh ghalat hai. Sachai sirf asmani kitabon main hai, aur un kitabon ko parhna tu Islamic duinya main bhi mana hai. Islamic mumalik bhi ghair muslimon ke pairwee kar rahay hain, aur Quran ko apnay taleemi idaron main nahin shamil kartay. In logon ko Qiyamat ke maidan main sab se pehlay uthaya jaey ga, aur in ke aantain (intestines) bahir hon ge, aur un par log thook rahay hon gay. Un par kari saza hogi, wo ro’ein gay, laikin koi bachanay wala na hoga.
Aey logon! Tum sirf apnay aap ko bacha saktay ho haqq k rastay per chal kar, aur yeh rasta sirf asmani kitabain he dikhati hain. Agar tum is rastay ko ikhtiar na karo gay, tu tumhara anjam jahannum hoga, aur tumhain utha kar aag k beech main phaink diya jaey ga. Aey logon! Apni ankhon ko ghalat na dekhnay do, jo haray ko laal, aur laal ko hara daikhti hain. Apni nazar ko durust kar lo, aur yeh sirf asmani kutub k zariyae ho sakta hai. Aur is tarah aap bacha liay jaein gay, aur Allah ke bay shumar nai’matain aap ko milain ge, Allah ke sakhawat k samandar se. Jo aap chahain gay, wo aap ko milay ga.
Aey logon! Yeh aik mahdood waqt hai, aao aur baat suno! Wo meray dil main jo keh rahay hain, main aap ko bata raha hoon. Aik ko chahiyay k doosray ko bataey, aur doosra teesray ko bataey, takay Ibn e Adam (AS) aur insaniyat nijat pa sakain. Leftist log, insaniyat k dushman hain , wo intihai wahshi, badtareen, ganday, khatarnak log hain, lakin Rab e kainaat un se zaroor badla lay ga. Allah ta’ala humain maaf farmey, ameen.
Mawlana gaa rahay hain:
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
Ayna Musa, Ayna `Isa, Ayna Lut, Ayna Musa, Ayna `Isa, Ayna Musa, Ayna Nuh
Anta ya Siddiq `aasee, tubb lil-mawla al-jaleel.
(Musa nay kaha hai, Issa nay kaha hai, Lut nay kaha hai, Musa nay kaha hai, Issa nay kaha hai,Musa nay kaha ha, Nuh nay kaha hai, Aap sachey hain, Aap sachey azeem hain, Aap hi Maula hain, Jaleel Muala hain.)
Dome, dome, dome, dome,
Dome, dome, dome, dome.
Ayna Musa, Ayna `Isa, Ayna Lut, Ayna Musa, Ahyna `Isa, Ayna Musa, Ayna Nuh
Anta ya Siddiq `aasee, tubb lil-mawla al-jaleel.
Dome, dome, dome, dome,
Dome, dome, dome, dome,
Ayna Musa, Ayna `Isa, Ayna Lut, Ayna Musa, Ahyna `Isa, Ayna Musa, Ayna Nuh
Anta ya Siddiq `aasee, tubb lil-mawla al-jaleel.
Dome, dome, dome, dome,
Dome, dome, dome, dome.
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
ALLAH, ALLAH, ALLAH, ALLAH
Dome, dome, dome, dome,
Dome, dome, dome, dome.
Dome, dome, dome, dome,
Dome, dome, dome, dome.
(40 minutes)
Aap ko hamesha kehna chahiyay, aey humaray Rab aap humaray Malik hain duniya aur akhirat main! Aur apnay Rab ka farma bardar hona chahiyay. Aur ap kahain:
Huuu Huuu Huuu Huuu
Huuu Huuu Huuu Huuu
Huuu Huuuuuu
Huuuu hhhu Huuu Huuu
Huuu Huuu Huuuu
Sirf Huuuuu!
Dome, dome, dome, dome
Dome, dome, dome, dome
Dome, dome, dome, dome
Dome, dome, dome, dome
Dome, dome, dome, dome
Aey humaray Rabb! Aap hamesha humain khabardar kartay hain aur humain aap ke baat sunni chahiyay. Humain aise samajh aur himmat de, k hum aap k mehboob bandon k naqsh e qadam per chal sakain.
Huuu Huuu Huuuu
Huuu Huuu Huuu uiuu
Huuu Huuuu
ALLAH Huuuuuuu
Huuuuu Huuuu
Huuuu Huuuuu
Huuuuu Huuuuuu
Huuuu Huuuuu
Huuuu Huuuu
ALLAH Huuuuuuuuu
Fatiha.
44? (na’am Sayyidi)
Buhut shukriya mere sunnay walon ka! Main aik kamzor banda hoon, laikin wo jo mujh se kehelwa rahay hain, wo aik azeem azeem azeem tareen maqam per hain, yani yeh paigham asman se is duniya k insanon k liay hai! Khayal rakho! Shaitan se hoshiyar raho! Phir tum is duniya aur akhirat main khush raho gay.
Fatiha.