Go to media page Available in: French   English   Urdu  

Allah Tumharay Zahir Ko Nahin Dekhta

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim al-Haqqani

30 March 2010 Lefke, Cyprus

Dastoor. Allah, Allah. Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem. A`oodhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem. (Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Sultaan Allah

Yaa Rabbana, zid habeebika nooran wa surooran wa ridwaanan wa sultaana, zidhu yaa Rabb, zidhu yaa Rabb, zidhu yaa Rabb! Ultuf bina bi hurmati habeebika, al-Mustafa! (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)

Thumma 's-salaamu `alayk, yaa Saahibu 'l-Waqt! Thumma 's-salaamu `alayk, yaa Qutbu 'l-Mutasarrif! Thumma as-salaatu w 'as-salaamu `alaykum, yaa `ibaadullahi 's-saaliheen fee mashaariqi 'l-ardi wa maghaaribiha wa muwakiloon`ala duwaalee wa muheetaat, `ala 'l-bahari wa okyanos. As-salamu `alaykum.

(Mawlana Shaykh gungunatay hain.)

RijaalAllah, rijaalAllah `ayeenoonaa bi `awnillah!

RijaalAllah, rijaalAllah, wa koonoo `awnan lana bi fadhlillah!

RijaalAllah, rijaalAllah, rijaalAllah, rijaalAllah!

Madad, yaa Sultaan al-Awliya, yaa Sayyidina. Thumma 's-salaamu `alaykum!

Aey humaray hazireen! Har roz kuch waqt dain, sunnay kay liay, chahay chand minute hi kyun na hon. Main janta hoon kay jab TV par kaha jata hai kay aaj raat khitab hoga America kay Sadar ki taraf say, tu shayad karoron log khayal rakhtay hain kay uss khitab ko sunain; wo sunna chahtay hain kay kaisay Maghribi ya Mashriki mumalik say khitab kia jaey ga, ya European mumalik say kia kaha jaey ga, wo kia kahain gay Libya kay baray main, aur kia kahain gay Russia, China aur Iraq kay baray main. Kyun kay wo VIP (aham) shakhsiyat hain, ya jalaalatu 'l-malik al-malik Saud, wafaqahullah hain…

(Koi shakhs Mawlana kay peechay say guzarta hai.) Tawbah, astaghfirullah! Shaytan aata hai aur meri tawajjah ko muntashir kar dayta hai. Jab mera dil asmani lamhaat say rabtay main hota hai, tu mujhay nahin pasand kay koi harkat ho, astaghfirullah!! Jee, Saudi Arab ka sultan kia kehna chahta hai, kia khabar ya tanbeeh daina chahta hai, yeh sab sunna chahtay hain. Laikin aisa shakhs jis ki koi qadr-o-qeemat nahi, jo sab say nichlay darjay par hai, aap ko uss kay baray main sochna chahiyay, “Kon iss kamzor aur umar-raseeda shakhs say tamam ummaton ko khitab karwa raha hai?”

Wo laakhon nahin, balkay karoron log hongay! Unn ko asmani khabron ko sunnay ki koshish karni chahiyay. Laikin main afsos kay sath kehta hoon, kay zyada tar log Shaytan kay pairokar hain! Iss liay, wo kabhi kisi cheez main kamyabi nahin hasil kar sakain gay. Main wo hoon jo hukoomaton ka kaam kharab karnay kay liay kafi hoon. Main unn ko khatam kar sakta hoon, takay wo kisi kaam ki na rahain. Wo samajhtay hain kay wo dunya kay liay ya Shaytan ki pairwee karnay kay liay takhleeq kiay gaey hain, iss liay unn kay paas koi waqt nahin sunnay kay liay!!! Yeh asmani bumbari hai, lakin zyada bhari nahin. Ab asmanon say tanbeeh aa rahi hai! Astaghfirullah, astaghfirullah. Tubtu wa rajaatu ila-Allah.

Hum kuch nahin jantay! Aey humaray Rabb, hum main kisi aisi hasti ko bhaijain jo humaray amaal ki islah kar sakay, humari niyyaton ki islah kar sakay. Aey humaray Rabb, humain uss ki zarurat hai. Hum darmiyan unn ko bhaijain! Aur hum apnay nazireen-o-hazireen say kehtay hain as-salaamu `alaykum. Is salaam kay zariyay muqaddas barkatain nazil hoti hain, unn logon par jo asmani khabron ko sunnay ka khayal rakhtay hain, unn kay dilon main sukoon aur salaamti nazil hogi.

Aur hum ab keh rahay hain, a`oodhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem, kyun kay Shaytan humesha logon ko uksaata hai asmani ahkamaat ki khilaf-warzi karnay par! Shaytan ka maqsad yeh hai kay logon ko yeh sochnay par majboor karay, “Tum abhi kuch nahin kar rahay, laikin tum aisi koi nashriyaat mat sunna jo tumhain asmani ahkamat ki ataa`at karnay ki talqeen kar rahi hain, iss ki koi zarurat nahin. Tum khoob mazay karo, ya tum khud ko bahut say zaruri kaamon main masroof rakh saktay ho. Tumhain kal ki tayyari karni chahiyay!” (Mawlana Shaykh hanstay hain.) Subhaan Allah. Ghafil log kal kay baaray main sochtay hain aur khud ko kal kay liay tayyar kartay hain. Aaj Mangal (Tuesday) hain, kal Budh (Wednsday) hai. Bahut say log Budh kay baray main soch rahay hain, “Kal kia hoga? Main kis tarha aur zyada munafaa bana sakta hoon? Hum kaisay ma`eeshat kay buhraan ko rok saktay hain, kay wo meri daulat ko nuqsaan na puhancha sakay?” Wo Budh kay baray main soch rahay hain abhi, aaj Mangal kay din!

Yeh aik bahut ajeeb cheez hai, kyun kay Insaan, har koi—chotay, jawan, baray, boorhay log—sab kal kay baray main soch rahay hain, laikin aap ko koi aisa nahin milay ga jo soch raha hoga, “Shayad aaj raat main apnay bistar par so`on, aur kal raat apni qabar main hoon.” Wo nahin sochtay! Wo kehtay hain, “Hum baadshah hain, hum wazeer hain, hum major hain, hum general hain.” Aap hotay hongay. Wo log, apni wardiyon kay saath khud ko a`eenay main dekhtay hain, aur aisay aur aisay kartay hain. (Mawlana Shaykh apnay libas ko sanwaarnay ka naatak kartay hain.)

"Main kaisa lag raha hoon? Aey meri mehbooba, main kaisa nazar aata hoon?"

(Mawlana baraa dikhanay walay sheeshay (magnifying glass) main dekhtay hain.) “Aey meray mehboob, main dekhti hoon, tumhari naak aik pahaar ki tarha hai. Tumhari aankhain kisi diyo (giant) ki lagti hain. Main dekh rahi hoon, tum aik junglee jaanwar ki tarha lagtay ho! Sab kuch aik junglee jaanwar kay jaisa hai, laikin tumhari dum (tail) kahan hai?"

"Aisa mat kaho, meri mehbooba!"

"Nahin, main zarur boloon gi. Tum bahut maghroor ho!! Har roz aik aurat ki tarha khud ko aeenay main dekhtay ho, firaun ki tarha khud ko khubsurat samajhtay ho jo parade kay liay tayyar ho, aur tum wo nahin ho. Tum firaun ki tarha bannay ki koshish kyun kartay ho, ya Indian baadshah ya Chinese baadshah bannay ki koshish kyun kartay ho? Tum unn ki tarha kyun banna chahtay ho? Aey meray mehboob, main chahti hoon kay tum aik aajizi aur inkisari ki haalat main raho, mujhay yeh pasand hai. Mujhay yeh nahin pasand kay tum khud ko apnay libas kay zariyay badalna chahtay ho aur firaun ya Nimrod ki tarha dikhna chahtay ho. Mujhay yeh nahin pasand!”

“Aadmi koshish kartay hain kay sab say aala ban jaein, aur sab say azeem dikhnay ki koshish kartay hain, aur wo apnay libas kay zariyay taaqat-war banna chahtay hain, jo kuch bhi kar sakta hai!” Aur uss ki biwi kehti hai, “Aey meray mehboob, tum firaun ya Nimrod ki tarha banna chahtay ho, iss liay baraey meherbani, apnay kapron kay baghair apnay haqeeqi wujood ki taraf dekho!”

Khawateen unn logon se kuch kehna chahti hain jo apnay libas say apni shaan aur izzat barhana chahtay hain. Allah ta`ala uss aurat kay zariyay uss shakhs ko baydar karna chahta hai! Aur wo kehti hai, “Aey meray shohar, meri zindagi kay qeemti dost, apnay haqeeqi wujood ki taraf dekhnay ki koshish karo. Laikin tum apnay zaib-o-zeenat walay libas kay sath kuch nahin dekh saktay, iss liay unn kapron ko utaaro aur khud ko dekho.”

Main kehti hoon, kia tumharay khayal main tum apnay kapron kay zariyay logon ko apni taraf mutawajjah kar saktay ho? Tum apnay libas kay baghair apnay haqeeqi wujood ko kyun nahin dekhtay? Aur uss libas kay baghair tum khud ko dekh kar sharminda ho gay, (laikin phir bhi) kaho gay, “Main aik azeem shakhs hoon.” Tum jhootay ho!! Ab Shaytan logon ko yeh karnay par majboor kar raha hai.

Aey Salafi ulama, aap mujh say kahein zyada hadith ash-shareef jantay hain. Nabi (s) ka irshad hai:

إن الله لا ينظر إلى صوركم وأموالكم ، وإنما ينظر إلى قلوبكم وأعمالكم

in allaha la yunzhuru ila suwarikum innama yanzhur ila quloobikum wa a`maalikum

Haqeeqat main Allah tumharay zaahiri huliye ki taraf nahin dekhta, laikin Wo tumharay qalb aur tuhmaray `amaal ko dekhta hai.

Allah ta`ala logon kay zahiri roop ko nahin dekhta. Yeh aham nahin, zahiri huliya, balkay Wo aap kay andar aap kay haqeeqi wujood par nazar rakhta hai. Yeh libas shayad aap kay jismani wujood ko badal saktay hain, laikin aap kay haqeeqi wujood (ko nahin badal sakay), nahin!

Aey Logon! Wo log cheekh parain agar wo baadshah sirf apna kamar-band(belt) pehen kar aaey, aur uss kay ird gird log kehnay lagain, “Aap nay tu aik jadoo ka libas pehna hua hai! Agar bay-aqal log aap ko dekhain, tu wo kahain kay kia khubsurat libas hai!” Wazeer, musheer, agar tumharay paas aik baadshah jitna dimagh ho, tu tum unn kapron ko phaink do. Kuch log aaj kal samajhtay hain kay wo apnay libas kay zariyay baadshah, wazeer, sadar, aur aik aham shakhsiyat (VIP) ban saktay hain. Shaytan logon ko dikhana chahta hai kay wo aham hain, laikin wo (baadshah) tu aik ghoray par sawar hai, barhana! Aur baadshah aap par bahut ghussa hai. Aik chota bacha kehta hai. “Laikin uss nay tu kuch nahin pehna hua!” Mujhay yeh kahani 75 saal say yaad hai, jo meray Angrezi kay ustaad nay humain sunai thi. “Log wahan jama ho rahay hain, aur tareef kar rahay hain, aur aik bacha kehta hai, ‘Abba, uss nay tu kuch nahin pehna hua!’” Shaytan aisay badsurat logon kay baray main humain gumaan karwata hai, “Hum kaisay keh saktay hain kay uss nay kuch nahin pehna hua?” Laikin aik bacha kehta hai, “Uss nay kuch nahin pehna hua.” Meray Angrezi kay ustaad nay yeh kahani sunai thi aur mujhay yeh yaad hai.

Aey Salafi ulama! Mujhay bahut si baatain yaad hain, main nay bahut kuch dekha hai, main nay bahut kuch parha hai, aur main nay bahut kuch seekha aur samjha hai! Meherbani kar kay sab ko izzat dain, har aik ko bura bhala mat dain. Jo Allah nay humain libas diya hai, wo haqeeqi libas hai. Iss liay, Khatim-ul-Ambiya (s) nay aik asmni tanbeeh bayan ki, “Tumhain kisi shakhs kay zahiri huliye ki taraf nahin dekhna chahiyay.” Allah ta`ala kabhi tumharay libas ki taraf nahin dekhta, wo aham nahin hai. Khatim-ul-Ambiya (s) kay Sahaba (r) sirf kapray kay aik tukray main malboos rehtay thay, jis say wo apnay sar aur kandhon ko dhaanp kar rakhtay thay, aur wo kabhi shahi libas nahin pehentay thay. Laikin Allah ta`ala nay farmaya, radi`Allahu `anhum wa radu `anh' , “Wo Allah say muhabbat kartay hain, aur Allah unn say raazi hai.”

Aey Salafi ulama! Aap yeh sab baashahon, wuzara aur tajireen say kyun nahin kehtay? Aap unn ko kyun tanbeeh nahin kartay, “Aaj main aisay libas pehnay hua hoon, shayad kal wo mujhay kafan pehna kar qabristan main lay jaein?” Aap kyun logon ko tanbeeh nahin kartay jaisay Khatim-ul-Ambiya (s), Sayyidina `Umar (r) ko hoshiyar kar rahay thay, aur farma rahay thay: كفى بالموت واعظا يا عمر kafaa bi 'l-mawti wa`izhan, yaa `Umar. Aey `Umar! Tum itni jaldi mayyat ko khamoshi say kyun dafna daitay ho? Yeh achi baat nahin. Logon ko dekhnay ka mauqa do kay wo shakhs kon tha; kal wo aik amir tha, malik tha, aur aaj logon ko mauqa do kay wo aa kar uss ki namaz-e-janaaza parhain. Aur wo poochtay hain, “Wo kon shakhs tha?” Wo kahain gay, “Yeh Yemen ka amir tha, ya Najd ka shahzada tha, ya Adan ka baadshah, ya Yemen ka imam. Yeh uss ki mayyat ka janaazah hai.”

Aik larka shayad aisay poochay jaisay main pooch raha hoon, “Aey abba jaan, yeh amir hai?” Jaisay aap kehtay hain, Amir Hassan, Amir Shareef, ya Amir Malik, yeh uss ki mayyat hai?” Aey abba jaan, yeh unn ki laash hai, laikin iss ka maalik kahan hai? Main samajhta hoon kay yeh unn ka murda jisam hai, laikin wo khud kahan hain?” Yehi wajah hai kay Nabi (s) farma rahay thay:

كفى بالموت واعظا يا عمر

Kafaa bi 'l-mawti wa`izhan, yaa `Umar

Aey `Umar, tumhain apnay logon ko din aur raat tanbeeh aur talqeen karni chahiyay.

Khud ko Wahabbiya, Salafiyya, Doctoriyya, Saudiyya, Iraqiyya main na uljhao; nahin, yeh tumharay liay nahin. Islam main (Koi) ikhtilaaf nahin. Islam pura ka pura rabbee Allah wa 'n-nabi Muhammadan hai. (Mawlana Shaykh kharay hotay hain aur tashreef rakhtay hain.) Kitaabee al-Qur'an `azheemu shaan, madhabee Ahlu ’s-Sunnah wa ’l-Jama`ah. Iss main kuch ghalat hai? Aap unn logon par hamla kyun nahin kartay jo Ahlu`l-Sunnah par hamla kartay hain? Yeh zaruri hai kyun kay Allah aap say poochay ga! Iss baat par ghaur karain, aaj raat say kal raat tak. Ummat Habeebullah (s) par koi hamla ho, tu aap uss kay zimmaydar hongay. Main aik tanbeeh karnay wala hoon! Main kuch dawa nahin karta. Main kehta hoon main `AbdAllah hoon, ummat Habeebullah (s) ka!!

Allah (swt) humain maaf farmaey. Aey logon, as-salamu `alaykum.

Ad-deenu naseeha, “Deen nasihat hai.” (Nabi (s) ki hadith). Main apnay nafs ko nasihat kar raha hoon, aur aap apnay nafs ko nasihat karain. Aap ko Qayamat kay Dinn say darna chahiyay, al-Qaadi Huwa Allah, jab Allah ta`ala Qazi hoga, Apna faisla sunaey ga. Tum ko aik doosray par faisla nahin sunana chahiyay, laikin tumhain maloom hona chahiyay kay tum jo kar rahay ho, jis ki pairwee kar rahay hon, wo asal (khaalis) raasta hai kay nahin.

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Raheem Allah

La hawla wa la quwatta illa billahi 'l-`Aliyyu 'l-`Adheem. Yaa Rabb, yaa Rabb!

(Mawlana Shaykh phone par Shaykh Hisham aur Hajjah Naziha say guftgu kartay hain.)

(Shaykh Hisham: Aaj UN nay call kia aur poocha, kia Shaykh Nazim UN main jamaa paishwa, baadhshah aur sadar ko khutbah daina pasand karain gay! Aisa lagta hai kay Jordan kay sultan Mawlana Shaykh ki subhah suntay hain, aur unhon nay hi yeh tajweez UN kay samnay paish ki.)

UA-984942-2