Go to media page Available in: English   French   Arabic   Urdu   Dutch  

Kia Tum Rabb Ka Inkaar Kar Kay Sharminda Nahin Hotay?

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

10 December 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)

Dastoor yaa Sayyidee, madad yaa Rasoolullah! Kharay ho ja’ein humaray Rabb kay liay, jo humara Khaaliq hai! Tamam hamd aur shaan humaray Rabb, Allah ta`ala kay liay, azal say lay kar abad tak! Aey Logon! Bargaah-e-Rabbani main haazir rehnay ki koshish karain, jitna ho sakay hamd aur shaan bayaan karain duniya aur Akhirat ki khushnudi paanay kay liay. Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi 'l-hamd! Allahu akbar kabeera, w'alhamdulillahi katheera, wa subhaanAllahi bukratan wa `aseela, la ilaaha illa-Llah, wa wahdahu la shareek lah, yuhiyy wa yumeet wa huwa `ala kulli shayin qadeer. Subhaansen yaa Rabb sultaansen yaa Rabb mutlaq sultaan sensin. Aur hum aajizi say maangtay hain, Aap ki Muqaddas Bargaah say, kay aap aur bhi ziyada ataa karain, humaray mehboob tareen Nabi, humaray paighambar Rasoolullah (s) ko, Apni Shaan aur Hamd main say. Allah (swt) kay baad, wo kaun hai jis ki hum bay-intiha shaan aur ikraam aur hamd bayan kartay hain, wo sirf Sayyidina Muhammad (s) hain! (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain.)

As-salaamu `alaykum, Aey humaray sami’een! Aey insaani fitrat, suno aur dhiyaan do, suno aur ataa`at karo, aao aur suno, faraar mat ho, jo tum ko pasand ho wo lay lo, agar nahin pasand tu chor do. Yeh bahut bara bazaar hai—laikin sasta bazaar nahin hai, sasta bazaar tu meray liay hai (qahqahay) laikin apnay liay tu aap kuch aur mangtay hain kyun aap ko dikhawa pasand hai. Iss liay aap har cheez behtereen chahtay hain, laikin main tu aik kamzor ghareeb dervish hoon, dekh raha hoon kiya asmanon say Bani Adam kay liay aa raha hai. Jo kuch bhi saray log chahtay hain, lay kar chalay ja’ein; jo baqi bachay ga, wo main unn tak puhancha doon ga.

Aey Logon! Wo jamaa karo jo hamesha tumharay sath rahay ga! Aisi cheezon kay peechay na bhago jo masnooi hain aur unn ki koi qeemat nahin aur koi wujood nahin. Ho sakta hai unn ka wujood Qiyamat kay Dinn tak qa’yim rahay aur phir wo khatam ho ja’ein. A`oodhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem. Aey Logon! Shaytan say door bhago aur achay bannay ki koshish karo; agar tum buray bano gay tu saza paao gay.

Allah (swt) pooch sakta hai, “Aey Meray banday, tum nay behtereen koshish kari, ya nahin? Aey Meray banday, tum nay badtareen kaam ki’aey ya kuch bhi nahin? Aey Meray banday, kia tum apnay Rabb ki ataa ki hui achi cheezain lay kar aa’ey ho? Tum nay unn ka kia kiya? Unn ko chor kar aa ga’ey ho? Ya Meray asmani darajaat ko Meri Jaah-o-jalaal aur Shan-o-shaukat rakhnay wali Rabbaniyat kay naam kar chukay ho? Tum nay unn ko Meray naam kia hai ya Shaytan kay raastay par bhaija hai? Tum nay kia kiya hai, Mujhay jawaab do! Main nay tum ko kitni naimatain ataa kein, har cheez ko tumharay ikhtiyar main diya, tumharay mutaalibaat, khuwahishaat aur marzi kay taabay rakha! Tum nay kia kiya? Kia tum nay unn ko behtereen tareeqay say istimaal kia, aur Meri muqaddas bargaah tak bhaija ya nahin?”

Asmanon ka Rabb, jab Wo ghazabnaak hota hai, tu asmani ghaiz-o-ghazab nazil hota hai aur log kaanpnay lagtay hain, anbiya bhi, rasool aur paighambar bhi apnay ghutnon par gir partay hain, Rabb ki haybat aur ghazab say! Wo apnay ghutnon par gir partay hain aur laraznay lagtay hain.

Aey Logon! Wo din aa raha hai. Uss par socho! Apnay asmani martabay kay liay wo kuch bhaijo jo tumhain ataa kia gaya hai. (Iss liay) abhi say uss Dinn kay liay bhaijo, takay tumhain apnay Rabb ki taraf say humesha qa’im rehnay wali jannat ataa ki ja’ey. Pehlay wo bhaijo. Asmanon ka Rabb poochta hai, “Aey Meray banday, tum nay Meri Bargaah-e-Rabbani kay liay kia bhaija, batao? Kia tum samajhtay ho kay Main nay tum ko jaanwaron ki tarha takhleeq kia hai jo kuch nahin soch saktay, ya tum samjhtay ho kay Main nay tumharay liay behtereen kia? Tamam makhlooq main say, Main nay TUMHARAY liay behtereen intizaam kia, Aey Meray banday! Kia tum nay apni behtereen koshish kari, ya apnay behtereen amaal Mujh ko bhaijay? Batao Mujhay! Main nay tumharay liay behtereen kia, laikin tum nay Meray liay behtereen nahin kia! Shaytan kay pairokaron ko Shaytan kay sath hi lay jao!”

Jee, yeh kaafi hai agar Allah ta`ala kahay, “Aey Meray banday! Qayamat kay Dinn wahi sawaal hoga,” (ya) aap say kaha ja’ey ga, “Aey Meray banday! Bus yeh kafi hai, iss kay baad aur kisi sawaal ki zaroorat nahin hai.” Iss par socho! Agar tumhara Khaaliq tum say poochay, “Aey Meray banday! Main nay afzal-o-ahsan kia tumharay liay! Kia tum samajhtay ho kay Main nay badtareen kia tumharay sath? Tum kia soch rahay ho? Main nay afzal tareeqay say nawaza, laikin kia tum samajhtay ho kay tum nay Meray liay afzal amaal ki’ay?”

Yeh hi tu sawaal hai! Aey pope, apnay pairokaron ko bata’ein! Aey yahoodiyon kay paishwa, apnay logon ko khabardar karain! Aey Musalmaan duniya jo ghair-Musalmaan bannay ki koshish kar rahay hain, maghribi mumaalik kay peechay bhag rahay hain, aur Musalmaan mulk kay log kehtay hain, “Hum maghribi logon ki tarha banna chahtay hain.” Ptuuh (main thookta hoon) ho tum par! Jo maghribi logon ki tarha banna chahtay hain jab kay Allah tum ko buland tareen ikram say nawaz raha hai, aur tum kehtay ho, “Hum yeh chor rahay hain aur maghribi logon ki tarha banna chahtay hain,” unn ki kia izzat hai Bargah-e-Rabbani main? Agar tum maghribi log banna chahtay ho, tu tumhara kia maqam aur haisiyat hai Bargah-e-Rabbani main? Aey pope, aey mazhabi rahnuma, aey yahoodi paishwa, tamam yahoodi paishwa, tamam paadri (bishops), aur khaas taur par Musalmaan `ulama! Main unn sab par cheekh raha hoon, wo apni zaban nahin kholtay yeh kehnay kay liay kay, “Hum Musalmaan hain, aur hum sirf apnay Rabb ki raza chahtay hain, aur Uss ki raza sirf tab hasil hoti hai jab hum Uss kay muqaddas ahkamaat ki pairwee karain!”

Muslamaan `ulama kahan hain? Salafi `ulama kahan hain? Wahabi logon kay rahnuma kahan hain? Afghani paishwa kahan hain? Pakistani rahbar kahan hain? Turki `ulama kahan hain? Aap apnay logon ko tanbeeh kyun nahin kartay? Allah humain sirf Apna banda banana chahta hai, jamhooriyat pasand (democrat) ya sarmaya daar (capitalist) ya ishtirakiyat pasand (socialist) ya Shaytani nahin banana chahta! Kaho! Kuch dinon baad, kuch hafton baad kuch aisa aa’ey ga jo Qayamat-e-Sughra (Armageddon) ki ibtida hai! Iss ka matlab hai:

بِّكَ لَشَدِيدٌ بَطْشَ رَنَّ إِ- inna batsha rabbika la-shadeed –bay shak teray Rabb ki girift bahut sakht hai.(85:12)

Tumharay Rabb ka ghazab logon par nazil ho raha hai; pehlay tu unn Musalmanon par jo maghribi logon ki tarha banna chahtay hain. Wo Islam say mutaaliq har cheez ko chor rahay hain, aur har maghribi aur ghair-islami cheez ko laa rahay hain. Hum yeh qubool nahin kartay! Hum nahin qubool kartay! Hah! Jo hum keh rahay hain uss ko dhayan se suno, Aey Musalman sami`een, aur tamam Bani Adam bhi. Jab Allah ta`ala tum ko bula’ey ga aur tum say poochay ga, “Aey Meray banday, kia tum samajhtay ho kay Main nay tumharay liay behtereen kia?” App ka kia jawab hoga apnay Rabb, apnay Khaaliq kay liay??! KIA AAP KO SHARAM NAHIN AATI YEH KEHTAY HUAY, “Hum kehtay hain ‘koi khuda nahin hai’! Humain koi sharmindigi nahin keh hum kehtay hain, ‘hum dahri’aey/Khuda kay munkir (atheist) hain!’”

Kia tum ko sharam nahin aati yeh kehtay huay kay, ‘Hum dahri’aey (athiest) hain’?” Yeh kia hai? Aey Musalmaan duniya, tum kis liay 70 say bhi ziyada firqon main bant chukay ho, Sayyidina Muhammad (s) kay farmaan kay mutabiq, “Meri ummat meray raastay ko chor day gi aur 73 firqon main bant ja’ey gi. Asmanon ka Rabb meray zariyay Apnay muqaddas ahkamat bhaij raha hai, aur meray sahi tareeqay par sirf aik groh (group) hoga.”

Jab Allah ta`ala unn say poochay ga, ‘Kia tumharay khayal main Main nay tumharay liay behtereen kia?’ unn 73 grohon main say sirf aik jawab day ga, ‘Jee,’ kyun kay baqi tamam asal rastay ko chor chukay hain, jo Khatim-ul-Ambiya (s) ko hukm dia gaya tha kay tamam makhlooq ko yeh asmani hukm suna dain! Kia aap samajhtay hain kay unhon nay unn logon ka zikr kia tha jo qubool kar liay ja’ein gay? Jannati log- kia aap kay khayal main wo jamhooriyat pasand hongay, ya huriyat pasand (liberal), ya ishtirakiyat pasand ya ishtiraaki (communist), ya Marx kay mannay walay hongay, ya bandaron ko mannay walay (ape-ist)… ape-ist bhi hain? (qahqahay)

Aey shaykh, naee khabar hai, kay log pig flu kay peechay bhag rahay hain! Wo sirf pig flu kay baray main sochtay rehtay hain aur uss say bachnay ki tadbeer dhoondtay rehtay hain. Aur aik falsafi kehta hai, “Aey Logon, suwar (pig) bannay ki koshish karo, phir tum hifazat main raho gay kyun kay wo virus jaanta hai kay tum suwar ho aur tum ko hath bhi nahin laga’ey ga, tum ko hifazati teekon (vaccination) ki zaroorat bhi nahin rahay gi!”

Aey meray sami’een, Shaytan ki baat na sunain! Shaytan kehta hai, “Hum ko suwar pasand hai, aap hifazat main rahain gay!” Iss liay, asmani ghazab qareeb aa raha hai. Wo uss waqt bhi nazdeek aa raha tha jab Nimrod intizar kar raha tha asmani lashkar ka, aur wo Sayyidina Ibrahim (a) say pooch raha tha, “Batao kahan hai tumharay Rabb ki fauj! Main yahan hoon!”

Sayyidina Ibrahim (a) keh rahay thay, “Thora sabar karo, doosra lafz…dekho, wo aa rahay hain, wo kahan aa rahay hain?”

Phir ufaq (asman ka kinara) par aik kali shay namoodar hoti hai, kalay baadalon ki tarha, choti si. Sayyidina Ibrahim (a) kehtay hain, “Meray Rabb kay lashkar aa rahay hain, iss liay khabardar raho, sambhal kar raho!” Aur Nimrod bahut kaanp raha tha aur uss ko kuch samajh nahin aa raha tha kay kia karay, wo dekh raha tha aur hairaan ho raha tha! (Wo soch raha tha,) “Yeh kaisee fauj hai tumharay Rabb ki?” aur kuch dair baad uss nay dobara poocha, “Tumharay Rabb kay lashkar kahan hain?” Aur jab uss nay dekha, tu kuch awaazain aa rahi thein ufaq say, “Huuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu,” wo awaazain aur bhi ziyada taiz hoti jaa rahi thein, phir Nimrod tak puhanchein. Pehlay awaaz aee, “Hu hu hu hu hu hu hu hu hu hu hu,” unn kay aasabi nizam (nervous system) ko khatam kar daala! Phir uss kay sipaahiyon par, jo lohay kay libas pehnay huay thay aur talwar aur hathiyar liay huay thay, unn par aik larza taari ho gaya. Phir yeh awaaz aee, “Hu hu hu hu hu hu hu hu hu hu hu,” aur har jaga phail gaee. Wo iss awaaz ko sunnay say pehlay hi neechay gir ga’ey (khatam ho ga’ey)!

Aey Logon! Main aik kamzor banda hoon, laikin asmanon ka Rabb meray kaanon tak Qayamat-e-Sughraa (Armageddon) ki awaaz puhancha raha hai; jis main 7 main say 6 logon ko uthaa liya ja’ey ga. wa maa dhaalika `ala Allahi bi-`azeez – aur yeh Allah par kuch dushwaar nahin. (14:20)

Aey `ulama al-Azhar, Aey `ulama Hijaaz, Aey `ulama Madinah al-Munawwara, Aey Iraqi log, wo dhamakay na karo! Chup raho! Khudd ko tayyar rakho aur tawbah karo, apnay Rabb say maafi mango, Aey humaray Rabb.Aey Pope, aap apnay Eesaai (Christian) logon ko keh dain kay jo holnaak hathiyar ijaad kar rahay hain, wo aisa na karain! Aey Logon! Rabb nay tumhain iss liay nahin takhleeq kiya kay tum aik doosray say badtareen sulook karo, laikin Uss nay tumhain hukm diya hai kay behtereen ikhlaq ikhtiyar karo! Kia yeh sach hai? Main aik kamzor banda hoon; main kuch bhi nahin aur main cheekh raha hoon! Aap ko sunna lazim hai, aur ataa`at karna farz hai! Warna Qayamat-e-Sughra jald nazil ho jaey gi, badtareen say bhi badtar!

Aey Logon! Yeh mat sochain kay main aap par chilla raha hoon, nahin; main apnay nafs par cheekh raha hoon aur uss ko tanbeeh kar raha hoon, aur sab ko apnay nafs ko khabardaar karna chahiyay kyun kay nafs humesha Shaytan kay sath hota hai aur Shaytan humesha Rabb kay muqaddas ahkamat ki mukhalifat karta hai. Aey Logon! Jo wo mujh say kehelwa rahay hain iss muqaddas raat main, wo Rabb ki taraf say Injeel aur Torah, Zabur aur Quran Kareem main tehreer hai, aur tamam ambiya jin ko asmani ahkamat di’ay ga’ey hain, unn kay liay likha ja chuka hai, aur sab jaantay hain kay Allah ta`ala aap say poochay ga:

“Aey Meray banday, Main nay tumhain behtereen tareeqay say nawaza, tumhara kia khayal hai?”

(Jawab diya ja’ey ga,) “Jee, humaray Rabb, Aap nay behtereen tarha say nawaza.”

(Aur Wo poochay ga,) “Tum nay Meray liay behtereen tareeqa ikhtiyar kiya, ya nahin?”

(Agar aur kuch nahin) tamam mazaahib main, tu sirf itna soch layna hi kafi hai! Sirf itna jaan layna kafi hai, tamam mazaahib aur muqaddas kitabon say, yeh seekhnay aur iss ki ataa`at karnay ki koshish karain, kyun kay aik dinn aap Bargah-e-Rabbani main hongay aur Wo aap say poochay ga, “Aey Meray banday, Main nay tumharay sath behtereen maamla rakham ya nahin?” Kon keh sakta hai, “Nahin”?

(Unn ko kehna chahiyay,) “Aap nay humaray saath behtereen maamla rakha.”

“Aey Meray banday, Mujhay batao, kia tumhara khayal hai kay tum nay Meray sath behtereen kia?”

Meray sami`een, aap kahan faraar ho rahay hain, aap ko yeh sunna chahiyay warna asmani ghazab aap par nazil hoga aur har 7 main say 6 afraad ko khatam kar day ga, aur sirf aik bachay ga. Aap jaantay hain! Aap jaantay hain! Aap jaantay hain! Aap jaantay hain!

(Mawlana Shaykh gungunatay hain.)

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Aey Musalmaanon, tum kabhi nahin bachaa’ey jao gay Bargah-e-Rabbani main, jab tum say sawal kia ja’ey ga, “Kia tum samajhtay ho kay tum nay Meray liay behtereen amaal kiay?” aur tum kaho gay, “Aey humaray Rabb, hum nay oonchi imaaraat taameer karein, aur hum nay wo sab kia jo maghribi log kartay hain; hum nay unn say bhi ziyada kia.”

Salafi `ulama, aap ka amir kahan hai? Aey mulook, aey baadshahon, aey salateen, aap ki nasihat kahain hai, jo aap hujjaaj aur apnay logon ko kartay hain? Aur tamam Muslim duniya, qatal-o-gharat karna band karo aur koi jawab tayyar karo uss waqt kay liay jab Allah ta`ala tum say poochay ga, “Aey Meray banday, Main nay tumharay sath behtereen mamla kia. Kia tumharay khayal main tum nay Meray liay behtereen kia?” Nahin, kuch bhi nahin.

100s 1000s kitabain hain, unn ka koi fa’eda nahin agar aap yeh naa keh sakain, “Aey Meray Rabb, main nay Aap kay liay behtereen koshish kari!” Agar aap yeh bhi naa seekh sakay, tu aap ki zindagi baykar aur zayaa hai, Aey Logon! Yeh aik muqaddas raat hai aur asmani ghazab nazil ho raha hai, aur mujh ko aatish fishan (volcano) bana raha hai, aur main bahut khauf-zada hoon Allah ta`ala kay ilzam say! Aey humaray Rabb, humain maaf farma dain, humain maaf farma dain, maaf farma dain!!!

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Main 100 saal ko puhanch raha hoon, main dunya say kuch nahin maangta, naa hi sultan aur baadhshahon say, ya aur logon say, nahin, nahin. Meray dinn khatam ho rahay hain. Main tamam dunya kay logon par cheekh raha hoon aur tanbeeh kar raha hoon. Koi bhi humaray khitab kay khilaf nahin bol sakta jo humain ataa kia gaya hai. Allah ta`ala aap say poochay ga, “Aey Meray banday, Main nay tumharay liay behtereen kia. Kia tum samajhtay ho kay tum nay Meray liay behtereen kia?”

Khatam! Iss ko likh lain aur seekh lain, warna asmani kora (whip) aap tak puhanchay ga aur Qayamat-e-Sughra bahut qareeb hai.

Tawbah yaa Rabbi, tawbah yaa Rabbi, tawbah astaghfirullah, tawbah astaghfirullah! Aap kay sab say umda banday ki khatir, humain maaf farma dain aur hum main aisa koi shakhs bhaijain jo humari hifazat kar sakay, Aap kay kamzor bandon ki, aur humain qa’yim rakh sakay Aap kay roshan rastay par takay hum Aap ko razi kar sakain, mu`azziz tareen hasti (s) ki khatir.

Fatihah.

(45 minutes) Theek hai. SubhaanAllah, astaghfirullah.

UA-984942-2