Available in: English   Dutch   Urdu   Arabic   Go to media page

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

8 November 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain).

Dastoor ya RijaalAllah, madad! Kharay ho jao, Ai sami`iin apnay Rabb kay ehtaram key khatir, hamara Khaliq aur bolo takbeer, Allahu akbar, Allahu akbar, la ilaaha illa-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar, wa lillahi ‘l-hamd!

Tamam tareef aur tamaam azmat, jis key ibtada ya intaha takk hum khayal mai bhi nahi pohonch saktay, sach mai, koi ibtada ya koi intaha nahi. Ibtada aur intaha, woh Khaliq, Allah Azwajal kay liyai nahi hai, makhlooq kay liyai hai, wohi ibtada ya wohi intaha. Hasha! Azaliyun abadiyun. Koi nahi jaanta “azali” ya “`abadi” ka asl matlab kya hai. Hum sirf yeh keh saktay hain kay Azal say pehlay ya azal, hum keh saktay hain azali, hamari samajh ka darja sirf itna hai aur tamam makhlooq ka bhi. Aur hum apni sub say bulund tazeem paish kartay hain Unn ko jinhain sub say pehlay takhleeq kiya tha UNn kay Rabb nay, sub say pehli makhlooq; woh hain Sayyidina Muhammad (s). Allah Unn ko zyadah say zyadah tazeem ataa karta hai, kyun kay Woh jaanta hai kay hum yeh mangtay hain. Aur hum apnay Aaqa say kehtay hain kay Allah unhain aur bhi ziyadah tareef aur tazeem aur Aasmani taaqat ataa karay Uss kay karam, aur Sakhawat kay mutabiq. (Mawlana Shaykh baith jatay hain).

Ai logo, hamaray sami`iin mujhay matt suno, nahi. Uss key suno jo mujhay aap say baat karwa raha hai, aap say khitaab karwanay ko. Yeh zaroori hai.. As-salaamu `alaykum! Ai hamaray sami`iin Bani Adam say! Woh ilm jo Insaan ko ataa kiya gaya hai uss ka koi hisaab nahi. Uss ka koi shumar nahi, kyun kay aasmano key taraf say ilm bilkul paani key tarha behta hai. Kya aap jantay hain, hamaray sami`iin? So rahay hain? Kharay ho jao! Kuch log aap ko peenay kay liyai coffee la kay dai rahay hain, aur aap coffee pee kar khush hain. Whiskey pee kar nashay mai matt raho. Nashay walay log, unn ka darja jaanwaron kay darjay say bhi neechay hota hai. Hum yahan nashay mai rehnay kay liyai nahi aai, nahi. Hum yahan aai hain aur Aasmano ka Rabb hamaray liyai aik raasta khol raha hai. Woh Azwajal yeh pasand karta hai kay Uss kay banday apnay Rabb kay baaray mai kuch jaanain.iss liyai, jub aap yahan baithay ho, ghaur say suno jitna ziyada sunn sako samajh kay saath. Sirf awaaz aana kaafi nahi, kyun kay jo kuch Aasmano say hai woh aa kar Aasmano kay Rabb kay Khulafa tak pohonchta hai. Samajhnay kay liyai kuch ataa hota hai, laikin kuch log hain jo iss ko kabhi istamaal nahi kartay. Iss wajha say, woh madhosh rahain gay.

Aasmano ka Rabb apna muqaddas Khitaab apnay sub say ziyadah tazeem walay banday kay zaryai bhaijta hai, jo Uss ka wahid Khalifa hai, kyun kay Allah Azwajal dou (2) khalifa nahi rakhta: Woh sirf aik hai aur Uss ka Khalifa bhi aik hee hona chahiyai. Laikin yeh na sochna kay woh Khalifa apnay Rabb key mukammal taur par tarjumani kar raha hai. Yeh nahi ho sakta! Nahi, yeh namumkin hai kyun kay kabhi dou (2) khuda nahi ho saktay. Dou (2) khuda nahi ho saktay! Kya kabhi kisi nay daikha hai kay aik takht par dou ya teen baadshah baithay hon? Nahi ho sakta! Allah Azwajal ka Arsh, koi uss key asliyat nahi jaan sakta; na mumkin! Laikin hamari qainaat ka bhi aik takht hai, woh Aasmano ka hai. Laikin Arsh-e-Illahi, Aasmano mai bhi koi nahi jaanta uss kay baray mai. Jaisa kay, misaal kay taur par, aik architect aik model tayaar karta hai, laikin woh asl imaarat nahi hoti, sirf aik model hota hai. Yeh sirf aik kamzor see misaal hai, samajhnay kay liyai.. hum iss say ziyadah baat kar saktay hain, kisi ikhtitam kay baghair. Kyun kay jo Allah say taaluk rakhnwalay darjaat hain, woh Uss aik shakhs ko ataa keiyai jaatay hain, jaisay aik model ho. Woh hee tamaam makhlooq ko sambhalnay kay liyai kaafi hai. Koi bhi Allah Azwaajal kay Arsh say bara nahi ho sakta, aur woh bhi sirf tarjumani karnay wala takht hai, tarjumani karta hai uss key jis kay baray mai hamain nahi maloom siwai uss kay naam, `Arshullah, kay.

Ay key koshish karo! Yeh jano kay tum kaun ho, apni tazeem ko jano, koshish karo kay Allah Azwajal kay Khalifa ko jano Aasmani darjaat walay. Allahu akbar, Allahu akbar!

Jee, yeh kaha gaya hai kay Allah Azwajal hokum daita hai kay Arsh e Azeem ko ooncha uthaya jai, chaar farishton ko hukm daita hai: Sayyidina Jibra’eel, Sayyidina Azra`eel, Sayyidina Mika’eel aur Sayyidina Isra’feel (a), aur unn may say har aik tamam aasmani darjaat utha saktay hain. Woh khud kuch nahi kar saktay, `ajizun, nani kar saktay. Woh kehtay hain, “Ai hamaray Rabb, hum nahi kar saktay, hum nahi kar saktay” aur Woh unhain madad ataa karta hai, bohot say farishtay. Unn char farishton kay paas, la tadaad farishtay hain madad karnay ko! Allah Azwajal unn ko takhleeq karta hai aur hukm daita hai, “Inn key madad karo!” Woh koshish kar rahay hain laikin nahi utha saktay aur ail muqaddas ailaan hota hai – woh Allah Azwajal key awaaz nahi hay. Nahi, yeh nahi ho sakta! Hum Allah Azwajal ka khitaab kay liyai tayaar nahi ho saktay. Woh aik Anjaan Hasti hai, Woh Allah Azwajal hai! Aur khudaii darjaat say ailan hota hai, pehla darja, doosra darja, teesra darja, chotha darja, panchwa darja, chataa darja, saatwan darja. Woh wahan ruk jatay hain, laikin asl mai khudaii darjaat unn ko koi number nahi diya ja sakta. Hum saat Aasmani darjaat kay baray may jaantay hain, laikin khudaii darjaat, koi unn key tadaad nahi jaanta. Numbers nahi pohonch saktay; billion, trillion, duss trillion aur phir bhee khudaii darjaat key tadaad tak nai pohonch saktay, nahi! Hum aasmani darjaat par hain. Woh darjaat unn key asliyatain hain, namumkin hai unn ko janana.

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain) Allahu akbar! Akbar! Allahu akbar! Akbar! Allahu akbar Allah, Allah! (Mawlana baith jatay hain.)

Ai hamaray Rabb! Ai hamaray Rabb! Hum kuch nahi jaantay, hum kuch nahi jaantay! Woh kabhi iss kamzor banday say ilahiyat par guftagu karwatay hain, Khudaiyat; Khudai Wajood. Ai aakhiri 'z-zamaan mai rehnay walay logo, aakhri Dino kay logo! From one side you are lucky that such an opening is coming to you close to Last Day. Ummamu maadiya, uzar chuki, unn ko aisa ilm nahi ataa kiya gaya tha. Nahi! Aur aaj tak kisi nay iss par baat nahi key. Laikin ub hum Aakhri Din tak pohonch rahay hain , aur Muqaddas Qur’an kay Samandaron may say kuch paa rahay hain, jo zindah hain unn key samajh haasil karnay ko, aur unn ko aisi tazeem ataa karnay ko jo iss ummat, Ummat e Muhammed (s) say pehlay guzar jaanay wali ummaton ko nahi mili. Sirf shayad mili ho Ulul Azam ko, jaisa kay Sayyidina `Ibrahim, Sayyidina Nuh, Sayyidina Musa, Sayyidina ‘Isa (a), wa Sayyidi'l-awwaleena wa 'l-akhireen wa sayyidi 'l-anbiya wa 'l-mursaleen Sayyidina Muhammad (s), Wahabiyon aur Salafiyon kay bawajood, Sayyidina Muhammad (s)!! (Mawlana Shaykh kharay hotay hain, phir baith jatay hain.)

Allah, Allah. Ai logo! Hamaray Khaliq kay Khalifa, aasmani darjaat par, logon kay liyai kuch khol rahay hain, unhain oonchay say ooncha lay janay kay liyai, la tadaad bulund maqamaat aur saltanatain allah Azwajal kay. Allahu akbar, Allahu akbar.

Ai logo! Madhosh hona chor dou, aur Aasmano ka Rabb tumhain aik achi samajh ataa karay ga. Phir tum sharminda ho jao gay kay tum aasmano kay muqaddas ehkamaat ko asli ehtiram nahi day rahay. Ub tamam qawmain aasmani ehkaam bhool chuki hain aur apnay dimagh key ijaadaat kay peechay bhag rahi hain. Aur mujhay kehtay huay afsos ho raha hai kay Islami parhay likhay log, `ulama kehtay hain, “Hum doctors hain.” Doctor (ka unwan) Islami adab mai kisi tazeem ka hamil nahi, laikin`ulama. (Allah kehta hai:) إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاء - innamaa yakhsh'Allaaha min `ibaadihi al-`ulama – “khuda say tou uss kay bandon may say woh hee dartay hain jo sahib e ilm hon” (35:28) hamaray waqt mai taleem yaftah log kehtay hain, “Hamaray paas Sorbonne ka certificate hai,” “Doctor Fulan,” ya, “Mairay paas saat(7) certificate hain Mauritania say.” Kuch doosray kehtay hain, “Mairay paas Congo say certificate hai!”

“Kya Congo kay doctors hain?”

“Jee, sir, unn ka certificate bhi jungalaon mai say hai, certificate daitay hain kay aap doctor hain.”

Kiss branch kay Doctor? Mardon ko Auraton say alag batanay wala Doctor? Insaan ko Bandar ka farq batanay wala? Kabhi hum aik gorilla bhi pakar latay hain. Kyun kay nai fashion kay doctor kehtay hain kay Insan pehlay Bandar tha! Kyun kay hum kabhi safaid insaano may say pakar kay gorilla lay aatay hain. Phir daikh kar kehtay hain, “Yeh insaan iss may say aaya hai.” Jub hum yeh kehtay hain, hamaray baray `ulama hamain medal daitay hain kay hamaray paas insaan aur bandar ka farq batanay ka certificate hai! Iss liyai Africa mai ziyadah tarr, aisa certificate hota hai kay woh insaan aur bandar ka farq jaantay hain. Aur phir hum qasmain khatay hain goray logon key tarha, jo kehtay hain kay insaan iss janwar say bana hai. “kaun yeh kehta hai aur abhi qabool karta hai, hum aik certificate daitay hain! Yeh lo, tum bhi aik doctor ho!”

(Mawlana Shaykh, Shaykh Adnan key taraf murtay hain) Yeh kaisay ho sakta hai, Adnan Effendi? Ehm nuqtah, aap ko kabhi samajhna chahiyai.

Ai hamaray sami`iin , sona nahi! Kitni baar tum say kaha hai, “Sona nahi!” Apni aankhain kholo aur mairi baat suno! Agar tum dhoond saktay ho koi doosra mashriq o maghrib say khitaab karnay wala, mairay paas lay kay aao. Koi nahi hai, koi nahi hai! Yeh aik khasiyat hai jo Allah Azwajal ataa karta hai. Woh aik kamzor banday ko ataa karta hai kay woh jaanay, baat karay aur iltaja karay samajhnay kay liyai. Agar koi samajh gaya, tou theek hai. Ziyadah tarr log nahi samajhtay, unhain choro!

Rasool Allah (s) kehtay thay, “Ai hamaray Rabb, humain aisi quwwat ataa kar, ambiya honay key, rasool honay key aasmani darjaat say.” Aatay hain, laikin woh log kabhi woh samajhnay kay liyai nahi aatay jo Allah kehta hai. Unhain chro! Kitnay qabool kar rahy hain? Auron ko qabool kar rahay hain? Koi farq nahi parta! Jungalon mai bohot ziyadah jaanwar rehtay hain. Rehnay dou unhain Bani Adam kar darmiyan jungle janwaron key tarha! Humain sirf unn key zaroorat hai jo samajhtay hain. Ai logo! Iss liyai, aisa bananay key koshish karo jo sanajhta ho; yeh tumhari tazeem hai. Agar tum yahan aarahay ho aur kuch samajh nahi rahay, tou tumhari qadr sifar say bhi neechay ho gee!

Allah Allah, Allah Allah,

Allah Allah, Allah Allah

Allah Allah, `Azeez Allah,

Allah Allah, Kareem Allah

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome.

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome.

Hamain maaf karo, ai hamaray Rabb, sub say bulund tazeem walay key tazeem key khatir! Fatihah.

(35 minutes)

Dome dome dome dome

Sirf 35 minute bhi tumhain 45 minute say ziyadah ataa kar saktay hain, kyun kay yeh samjhnay kay liyai bohot buland darja hai. Woh log jo inn bataon kay uffaq tak nahi pohonch sakay jo hum ub keh rahay hain, woh kabhi nahi samajh sakain gay; sirf jo unn kay nafs unn say mangtay hain, aur Shaytan unhain behkata hai aur khta hai, “inn cheezon ko choro aur hamaray saath aao, hum chaltay hain. Acha hai aisay lafzon ko na sunana, behtar hai gutter key naliyon may jaana, nachtay huai, nachna aur gadhon key tarha oonchi awaaz nikalna hamaray liyai behtar hai.”

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome,

Dome dome dome dome.

Yeh aaj raat ka unwaan hai, (and halakeh) hum abhi nahi keh rahay A`udhu billahi min ash-Shaytaani ‘r-rajeem. Bismillahi ‘r-Rahmaani ‘r-Raheem, woh aik aisa raasta khol rahay hain jo hamari samajh boojh key quwwat ko hairaan kar raha hai. Aisa ilm, sirf aisay logon ko ataa hota hai jo sirf apnay Rabb kay bandon kay liyai hotay hain. Samajhnay key koshish kiya karo, Pope aur Dalai Lama aur chief rabbi aur bishops aur Azhar Shareef. Matt khona, apna qeemti waqt na zaya karo aisi behes par jis mai Shaytan tumhain daakhil karwa raha hai uss buray mahaul kay beech mai aanay kay liyai, tumhain dhoka dainay kay liyai.

Mai nay suna hai kay woh aa kar Shaykh ul-Azhar say niqaab kay baray may pooch rahay hain. Haan, hum kehtay hain kay Aasmano kay Rabb nay niqaab ka hukm diya awraton kay liyai jo aasmani ehkamat ka adab karti hain, unhain aisi khoobsurti ataa ho gee Jannat mai kay farishtay bhi unn key khoobsurti daikh kar hairaan reh jain gay. Woh jdsoorat ho jain gay kay log unn say duur bhagain gay. Aur Qur’an e Kareem mai daikho. Shaytani logon say behes mai matt uljho. Allah unhain khatam karay Wahabi aur Salafi logon kay saath.

Fatihah. (43 minutes)

Chalatay hain jaisa Woh chahain... barsaat kartay hain... Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar.

UA-984942-2