Available in: Urdu   Turkish   English   Italian   Dutch   Arabic   Spanish   Go to media page

Sultan ul Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

24 October 2009 Lefke, Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain)

Dastoor ya Sayyidee, madad. Allahu akbar, Allahu akbar. Allahu akbar, la ilaha illa-Llah, Sayyidina Muhammad Rasul Allah, radeena billahi rabban wa bil-islam deenan wa bi Sayyidina Muhammad rasoolan wa nabiyyan, wa bil-Qurani kitaban. Allahumma thabitna al al-haqq. Ay hamaray Malik, Aasmano kay Malik, humain Apnay la-muttanahi rehmat kay samandaron mai say ataa karain!

A`oodhu billahi min ash-Shaytani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmaani 'r-Raheem, wa la hawla wa la quwatta illa billahi 'l-`Aliyyi'l-`Adheem. Al-azaamatu lillah, al-izzatu lillah. Tamaam tareef aur tamaam azmat sirf aasmano kay Rubb kay liyay hain!

(Mawlana Shaykh baith jatay hain)

As-salaamu `alaykum.

Hum sub bandagi key satah pai hain. Humain yeh zaroor pata hona chahiyai; humain koshish karnee chahiyai kay hum aasmani paighambaron key naseehat key hifaazat karain. Agar hum kisi rehnuma key pairwi nahi kartay, tou hum zaroor uss shakhs key tarha hain jo aik baray sehra mai hai. Agar who apnay liyai aik rehnuma key zaroorat nahi samajhta tou ho sakta hai who sub kuch kho baithay, apni zindagee bachanay ka har moqah aur who apni aakhri talab tak bhi nahi pohonch sakta. Wo khatam ho jai ga; who marr jai ga aur mitti bann jai ga. Ho sakta hai jangli janwar uss kay oopar say guzarnay lagain, uss ka gosht khatay huay. Agar apnay aap ko janay bina who dafn ho gaya, tou uss ka jism khaya jai ga; aik galay saray dhanchay key tarha.

As-salamu `alaykum, hamaray pur-mussarat sama`iin! Mai aap ko daikhnay key koshish karr raha hoon, takay mai aap kai saath aa jaun. Abhi yeh mumkin nahi laikin kuch log hotay hain jin kay paas radars hotay hain aur who duur kay faaslon tak daikh saktay hain. Har aik kay paas radar nahi hota. Haan, mai bhi aisay radar key khuahish rakhta hun. Hamain who mil sakta hai, laikin uss pai kaam kaun karay ga? Uss ko istamal kaun karay ga? Iss liyai mai keh raha hun, madad ya Sahib al-Waqt, Ai dunya kay waqt kay Aaqa, mai aap ko pukaar raha hun kyun keh dunya mein Aap sub say muqqadas hain aur Apni aasmani kuwat say aasmanon tak pohonch saktay hain. Aap aasmanon sai kattay huai nahi hain. Jo bhi aasmanon sai katt jai uss key koi qeemat nahi hoti. Agar koi shakhs kisi maqam par aasmano kay zaryai nahi pohoncha, tou iss ka matlab hai kay who aik galay saray dhanchay key tarha hai.

Jo wahan tak pohonch jai zaroor aik mazboot maqam par hai, uss pai khara ho sakta hai. Iss wajah say mai dunya kay Aaqa say maang raha hun. Agar tum nahi jantay, tou seekho!Agar tum nahi suntay, tou suno! Yeh mat samjho kay tum mashriq aur maghrib kay darmyan sub jaan saktay ho, khaas kar kay agar tum yeh dawa kartay ho keh, "mai apnay phones kay zaryai kaheen bhi pohonch sakta hun."

(Mawlana phone par baat karnay key naqal kartay hain)

"O janaab, kaun baat kar raha hai?"

"Dunya mai WC ka finance minister." Woh uss sai baat kar raha hota hai, aur aik aur call aajati hai:

"Jee janab, kya baat hai? Ah-haa. Kya aap mujhay nahi pehchan sakay? Aap mujhay jaantay hain."

"Mujhay kya pata, aap mairay saamnay nahi hain."

"Mai woh hun jo aap ko bachpan say achi tarha jaanta hun. Ah, ha, ha, iss ko bandh karo. Jee janab, mai aap say Far East say baat kar raha hun, Korea ka wazeer-e-azam, bohot maghroor saddar ya wazeer-e-aala, wazeer-e-aazam. Han, mairi pohonch mashriq aur maghrib tak hai."

"Nahi, woh nahi pohonch sakta."

"Hum poochtay hain kay aasmano tak kaun pohonch sakta hai, magar hum aasmano kay baray mai kabhi samajh nahi saktay."

Jub aap yeh kehtay hain tou aap bohot jahalat kartay hain, kyun kay aap apnay irdh-girdh nahi daikh rahay hotay keh kya kuch ho raha hai. Aap sirf apni jismani taaqat istamal kar rahay hain. Apnay jismani iraday kay zaryai, aap sirf choontey ka faasla teh kar saktay hain. Magar yeh qainaat bohot waseeh hai. Ooper key taraf daikho, waqtan fawaqtan, aur tumhain koi na koi aisi cheez milay gey jis kay baray mai tum nay kabhi nahi socha. Jo tum dhoond rahay ho wo tumhain muqqadas kitabon kay zaryai mil sakta hai aur tab jub woh jo is dunya kay Aaqa hain tumhara qalb jari kar dain aur tumharay radar ko kaaramad bana dain."

Anbiya apnay saathiyon kay saath baithay huway hotay thay aur kabhi unn key zaahiri soorat mai tabdeeli aa jati. Uss waqt who uss mehfil say katt chukay hotay thay aur unn kay zaryai aasmani tajalli nazil ho rahi hoti thi, aur phir woh tum say baat kar saktay thay. Unn kay paas iss poori dunya kay liyai aik khaas radar hai aur who isko dunya kay sardaar ko ataa kar saktay hain, dunya say “satoon” ko, “pope” ko nahi. Satoon ka sitara. Kya um kisi waqt yeh sochtay ho keh pope ka bhi koyee sitara hai? (Mawlana muskuratay hain) Nahi. Magar mai aik qisah suna sakta hun jo who mujay mairay radar kay zariyai ataa kar rahay hain aur uss mai humain zaroor yaqeen karma ho ga. Humain zaroor yaqeen arna ho ga keh har aik kay liyai khalaa mai aik sitara zaahir hota hai, jub woh paida hotay hain. Yeh Old Testament, New Testament aur Quran-e-Paak mai bataya gaya hai. Har aik kay liyai aik sitara hai jub tak who iss zindagi ko chorr nahi daita. Woh chamakta hua sitara hota hai aur jub yeh sitara ghayab ho jata hai tou who shakhs apni aakhri saans laikta hai, khatam! Har aik kay liyai aik sitara hai. Yeh mat kaho yeh yeh baat sub sai kum tarr hai, humai yeh nahi mili. Mai tumhain yaad dila raha hun, ai parhay likhay logo, Rabbi kay sardar, Eesaiyat kay sardar, Dunya mai rehnay walay tamaam muqaddas logo. Aasmano kay Malik nay tamaam ambiya bhaijay apna paighaam dainay kay liyai, apnay bandon ko khabardaar karnay kay liyai aur unn kay aakhiri Paighumbar hain Sayyidina Muhammad (s). Woh aakhri khabardaar karnay walay thay, jinhao nai kaha keh Qiyamat ka dinn qareeb aa raha hai aur logon ko khayaal karna chahiyai.

Sachai key haqeeqat ko qabool karna sirf sachon kay liyai hai aur ziyada tar log sachai say bhaag rahay hain. Bani Adam kay liyai sacha hona sub say buland rutba hai! Bohot kum log aasmani inqalab ko tasleem karnay kay liyai aa rahay hain. Yeh zaroori hai. Jaisa keh hum nai kaha keh jo koi bhi paida hota hai uss kay liyai aik sitara hai. Ai logon, Aakhri Dinn qareeb aa rahay hain!

Har aik ka sitara aik din khatam ho jai ga! Khayaal karo uss kay baray mai jis ko Khatm-e-Rasool(s) kay khaleefa honay ka ohdaa diya gaya hai!

Firaun, Nimrod aur unn key pairwi karnay walay aasmani ilm ko nahi maantay thay. Who kehtay thay keh "Hum Dunya kay baadshah hain aur hum apni taaqat kay oopar kisi aur ko nahi maan saktay." Aasmano kay Malik nai Firaun ko Behr-al-Ahmar mai duba diya. Woh doosra jo saari Dunya ka baadshah honay ka dawah karta tha, Nimrod, aik machchar kay zaryai maara gaya. Aik machchar nai Nimrod aur uss key fauj ko maar dala. Jo koi bhi yeh kehta hai keh who taaqatwar hai aur tumhara khuda hai, Allah usko razeel bana dai ga, na sirf kum tarr, balkeh uss say bhi bura-khatam. Abraha aur uss key fauj Makkah al-Mukarramah mai Allah kay Ghar ko tabah karnay kay liyai aai thay. Woh parindo kay aik jhurmat kay zaryai tabah kiyai gai, jo unn par bohot chotay pathar phainktay thay, aur who phatt jatay thay aur khatam ho jatay thay.

Ai logon! Iss baat ka khayaal rakho. Jo kuch bhi takhleeq say shuru hua, khatam ho jai ga; uss key aik ibtada aur aik ikhtataam hai. Abby eh Dunya aur Bani Adam, kuch arsay kay liyai inn ko yahan hona hai. Phir inn ko yahan say lijaya jai ga kyun keh har ibtada key aik intahaa hai. Yeh aik kabhi tabdeel na honay wala asool hai. Log maantay hain, karooron log kehtay hain keh pehla insaan Adam (a) thay aur pehlay Nabi bhi, yeh taaj Adam (a) kay sarr pay hai. Aap key aasmani Kitaabon mai nahiAdam (a) nai aakhri Nabi(s) kay baaray mai kya kaha tha? Sub log kehtay hain keh pehlay nabi Adam (a) thay, theek hai. Laikin abb hum poochtay hain, keh kya aakhri Nabi(s) kay baray mai aasmani kitabon mai nahi likha? Mai rabbi kay sardaar, aur Pope say poochta hun. Unn sub say jo dawah kartay hain, "Hum deeney rehnuma hain, humain doosron say zadah pata hai," Mai unn say poochta hunk eh yeh muqaddas kitabon mai bataya gaya hai keh jab bhi koyi paida hota hai, uss ka sitara zaahir ho jata hai aur jub woh marr jata hai tou yeh sitara ghayab ho jata hai.

Yeh deen kay itihaas mai likha aur bataya gaya hai, Sayyidina Ibrahim (a) Aakhri Nabi nahi thay. Sayyidina Ishaq (a), Isma`eel (a), aur deegar ambiya bhi aakhri nabi nahi thay. Hazaron ambiya Sayyidina Ishaq (a) aur Sayyidina Yaqoob (a) key awlaad mai say aai. Bani Isra`eel ko Old Testament aur New Testament Sayyidina `Isa (a) kay zayai ataa kiya gaya. Shayad unho nai yeh kabhi nahi suna jo mai abb keh raha hun, magar usay kehnay key zaroorat hai. Yeh aik bohot mazboot nuqtah hai jiss say mai baat kar raha hun; yeh kaha gaya tha keh Bani Isra`eel ko maloom tha keh Aakhri Nabi(s) nai aana hai, jo Arab mai bhaijay jain gai. Sayyidina `Ibrahim (a) nai jo Allah ka Ghar banaya who kahan tha? Who yeh jaantay hain, haan, aur who yeh bhi jaantay thay keh Khaatim un Nabiyyin (s) Arab say hee aain gai. Theek hai. Iss hee wajha say who Khaybar aur doosri jaghon parr hijrat kar rahay thay, magar ziyadah tarr who Madinat al-Munawwarah mai thay, `ala sakiniha afdal as-salaat wa 't-tasleem (uss kay khaas muqeemo pai behtareen tareefain aur salaam ho). Agar tun kuch kehtay ho tou tumhai kehna chahiyai keh apna sabot do, "Apna sabot paish karo, bi 'l-`arabi haatoo burhaanakum." Jee woh wahan thay, magar kiss liyai? Yeh bhi bataya gaya tha keh Khatim un nabiyin(s) Arab say hon gai aur Isma`eel (a) key awlaad mai say hon gai, magar who log chah rahay thay keh shayad woh unn mai say ho jain, Arab mai rehnay walay logon mai say, khaas kar keh Yahoodi bhaiyon mai say. Wo wahan parr apnay centre bana rahay thay aur daikh rahay thay keh kya ho raha hai, talaash kar rahay thay.

Sayyidina Muhammad (s) key wilaadad key raat, aik Yahudi rabbi bhaagta hua aaya aur khushi say chillanay laga, "Ai Madinah kay logon! Muhammad ka sitara namudaar ho gaya hai, woh abhi tulu ho raha hai! Mujla. Khush khabri hai tumharay liyai! Ahmad, Khatim un Nabiyiin ka sitara namudaar ho gaya hai," aur subha tak woh Madinat al-Munawwarah key galyon mai bhaagta raha. Koi hai jo iss say inkaar karta hai? Wahabi log ko kuch nahi pata, Salafi log nahi jaantay, Misri `ulama nahi jaantay. Woh yeh kyun nahi kehtay keh har aik kay liyai aik sitara hai jisay zaroor tulu hona hai, aur jub uss key zindagi khatam ho jai gey, uss sitaray ko gharoob hona hai? Iss liyai, hum yeh kehtay hain jo who mujh say kehelwa rahay hain, keh har aik kay liyai sitaray hain! Har aik kay liyai aik sitara hai aur sabot kay tor pay hum bata rahay hain who Yahudi shakhs jo Madinat al-Munawwarah key galyon mai bhaagta phirta tha, yeh kehtay huway, "aaj raat khatim un nabiyin ka sitara tulu hua hai." Bani Adam, tumhai iss par zaroor yaqeen karma chahiyai! Iss par zaroor yaqeen karo warna maira hathora tumharay sarr pay aai ga!

Mai kuch nahi hun. Agarcheh mai kuch nahi, laikin unn key taaqat kay zaryai, mai kuch ban jaata hun. Kon inkaar karay ga uss baat ka jo woh keh rahay hain? Ai mairay Esaai aur yahusi bhaiyo, Izzat ma`ab, Pope, aur rabbi kay sardaar, aap ko apni kitabon mai zaroor daikhna chahiyai. Aap kya sochtay hain? Naya sona aur purana sona. Log nai key taraf jain gay ya puranay key taraf? Jin kay dimagh nahi who nahi samajh saktay, who kehtay hain, "purani kitabon tak nahi ponch jaa sakta." Jo aap likh rahay hai woh muharrak hai, uss ko tabdeel kartay hain aur apna matlab daitay hain apni hawas kay mutabiq, aap key khuwahish hai bohot sey cheezain.

Ai logno! Hum khabardar kar rahay hain. Mai Bani Adam ko khabardar karnay walay kay neechay hun! Mai aik bohot adnaa sa khaadim hun aur woh mujhay logon say baat karwa rahay hain, unn say khitaab karwa rahay hain, jo koyee bhi samajh jai. Agar who nahi samajh rahay, tou woh jain gandgee key naaliyon kay zaryai bhaagtay huwai shaytan key taraf!

Allah (swt) hamain sub say mohtaram insaan key hurmat kay waseelay maaf farmai. Fatihah.

(46 minutes Sayyidee) SubhanAllah.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Mashaa-Allah. Alhamdulillah. Allahu akbar.

UA-984942-2