Available in: Dutch   Bosnian   Turkish   Urdu   Go to media page

Mawlana Shaykh Nazim Adil Al-Haqqani

Sultan ul Awliya

23 September 2009 Lefke, Cyprus

Allahu akbar, la ilaha ill-Llah, Allahu akbar, Allahu akbar wa lillahi 'l-hamd.

(MSN kharay hojatay hain)

Aey humaray Rabb! Agar hum Aap ki shaan main humesha kharay rahain, tu yeh kuch bhi nahin. Humain maaf farma dain aur hum par apni rahmat nazil farmaein! Apnay mehboob banday hum main bhaijain, aur Aap kay asal khalifa aur asal numainday humesha say lay kar hamesha tak. Wo sirf aik hain! Aey humaray Rabb! Humain maaf farma dain!

(MSN tashreef rakhtay hain)

Aey logon! Main aik kamzor banda hoon aur apnay aaqa kay kehnay par zameen main maujood tamam insaniyat say khitab kar raha hoon. Aur asmanon kay Rabb ki hukoomat la-mahdood hai, Uss ki badshahi la-mahdood hai, Uss kay baher (oceans) la-tadaad hain. La-intiha baher, la-intiha sultanat. Aey logon iss baray main socho. Humain kehna chahiyay bismillahi 'r-rahmani 'r-raheem. Yeh asmani talwaar hai, Shaytan jaisay azdahay (dragon) kay liay. Sab say bara azdaha, aur wo apnay aap ko kuch samajhta hai. Wo sirf saanp (snake) ki maanand hai. Saanp ki maanand. Humari duniya, humari zameen kay gird lipta hua hai. Uss par laanat ho humesha kay liay. Wo humaray sayyaray ko uss ki gardish say nikal dayna chahta hai, wo iss baat ka daawa karta hai. Laikin jab hum kehtay hain a`udhu billahi mina 'sh-Shaytani 'r-rajeem, yeh bandagi ki nishani hai. Banday, jab baydar hotay hain tu wo kehtay hain a`udhu billahi mina 'sh-Shaytani 'r-rajeem. Laikin nafs, Shaytan ka numainda hai, nafs ka taa’luq Shaytan say hai, Shaytan uss par laanat karta hai, uss ko apnay Rabb ka na-farmaan banana chahta hai. Pthuuu ho (main thookta hoon) Shaytan par aur uss kay pairokaron par!

Main kabhi kabhar apnay aaqa ko ghussa kar dayta hoon, aur main aaj ghussay main hoon. Ghussa do qisam ka hota hai: humaray nafs ka ghussa badtareen hota hai. Jo ghussa nafs ko khush karnay ki khatir hai, wo har muqaddas cheez kay khilaf hai. Aur agar koi apnay nafs kay liay ghussa karta hai, uss ka rasta seedha jahannam ki taraf jata hai, kyun kay ghussa aag hai, aur jo shakhs ghussa karta hai, uss ka ghussa uss ko aag ki taraf lay jata hai. Ghussa. Aisa ghussa jo nafs ki taskeen kay liay kia jaey, wo ghussa insaan ki shakhsiyat ko tabah kar dayta hai. Yeh bahut aham baat hai.

Aik dafa aik shakhs Huzoor Paak (s) kay paas aya, aur kehnay laga, “Aey mehboob, aey Raab ki baragah main mehboob tareen aur mu’azziz tareen.” Izzat yafta! Aur koi bhi yeh sharf nahin paa sakta, sirf aik! Aey Eesai log (Christians)! Apni muqaddas kitab say tumhain yeh maloom hoga, kissi ki bhi Rabb ki bargah tak rassai nahin, sirf Muhammad (s) ki!! (Mawlana Shaykh kharay hojatay hain) Tum ko yeh maloom hona chahiyay!! (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain) Yeh asmani ghussa hai humaray aaqa ki taraf say aaj, wo mujh ko bhaij rahay hain takay main khitab karoon! Main kuch nahin janta, main kuch nahin janta, laikin wo mujhay sikha rahay hain kay main boloon. Duniya main bussnay walon ko yeh bataoon, keh unn ko yeh maloom hona chahiyay kay Sayyidina Muhammad (s), sab say ziada shaan walay, sab say ziada muhtaram hain! Sayyidina Muhammad!! (Mawlana Shaykh kharay hojatay hain) Tum ko yeh maloom hona chahiyay, warna gehri khaee (black holes) tum ko nigal lain gi aur tumhara koi naam-o-nishan nahin rahay ga!! (Mawlana Shaykh tashreef rakhtay hain)

Aap kaisay hain? salam `alaykum. Aaj main nay roza rakha hai, aur ghuroob-e-aftab ka waqt aaraha hai, aur main bhook ki waja say thora ghussay main hoon. (Mawlana muskuratay hain)

Aey humaray Rabb ki makhlooqat, main bhi aik makhlooq hoon, laikin mujh ko wujood main anay ka maqsad ataa kia gaya hai asman walon ki taraf say, warna main kuch bhi nahin. Aur kuch naa hona tumharay liay behtar hai, aur log kuch banna chahtay hain. Tum main say kon kuch banna chahta hai? Aur tumharay samnay tumhari maut tumhara intizar kar rahi hai, Maut ka Farishta tumhara muntazir hai, tum ko chhoo laynay ka muntazir hai. Wo keh rahay hain keh aalim fazil log, jo muqaddas kutub say ilm hasil kar rahay hain, wo kuch hain? Warna wo chahain tu main sab kuch kho baithoon…taleem yafta log, muqaddas kitabon ka ilm hasil kar rahay hain. Aey 'ulama. Aey Musalmanon, aur sab say pehlay Arab kay log, jo daawa kar rahay hain kay, “Hum awwal hain.” Haan tum awwal ho saktay ho, laikin Rabb ki bargah main tumhari kia haisiyat hai? Tum ko pata hona chahiyay. Aur yeh likha hua hai, kafi mashhoor baat hai muqaddas kitabon main, kay jab aik naee nasal wujood main anay wali hoti hai. Agar aap mujh ko iss mauzoo par bolnay ko kahain, tu aglay haftay tak bhi khatam na ho. Kyun kay log samajhtay hain kay har cheez unn kay ilm kay mutabiq hogi.

Chunanchay, ab itnay ghafil tabeeb (doctors) hain, wo kabhi aik maa aur uss kay bachay ko nahin chortay. Kehtay hain, “Aao hum ko mu’aaina (scan, checkup) zaroor karna chahiyay, tumhari aqal kahan hai. Caesarian, kehtay hain, “Humain Caesarean karna hoga.” Kehtay hain, “Tum bacha nahin paida kar sakti. Hum ko mudakhilat karni hogi. Hum ko tumhara raham (womb) katna paray ga, bachay ko nikalnay kay liay.”

Aey logon! Aey Pope! Tum aisa kyun keh rahay ho? Agar Allah Khaliq hai, tu Wo naee nasal ko baghair kissi mudkhilat kay iss duniya main bhaij raha hai. Nahin. Jis nay takhleeq kia hai, Uss ko chor do, Wo khud apni makhlooq ko iss duniya main bhaijay ga.

Allah nay hukm diaa hai paida honay ka, agar uss bachay ko wujood main aana hai, tu wo zuroor bahar aey ga. Agar uss naee makhlooq kay jeenay ki ummeed nahin, tu wo andar hi mar jaey ga aur phir bahar aey ga. Chor do! Wo naee makhlooq humesha apni maa kay andar nahin rahay gi! Laikin ab doctors kehtay hain, “Nahin!” Humesha “Caesarean.”

Main tum say poochta hoon, “Kia tumhari maa nay bhi tum ko Caesarean kay zariyay paida kia tha?”

“Nahin.”

“Kis nay tum ko paida (deliver) kia tha?”

“Daaee (midwife).”

“Tum haamila (pregnant) khawateen kay saath kyun mudakhilat kartay ho?” Chor do!

Jab bachay kay paida honay ka waqt aata hai, tu asman ki taraf say do farishtay aatay hain, Allah hukm daita hai, “Meray banday ko bahar lay kar aao takay wo kuch arsay kay liay duniya ki zindagi guzaray, phir wo Meray paas laut kar aey ga. Uss naee nasal, naee makhlooq ko bahar lay kar aao.”Do farishtay aatay hain aur uss ko bahar nikalnay ki koshish kartay hain aur wo humesha aik say doosri taraf chala jata hai, uss taraf say iss taraf chala jata hai. Iss say maa ko takleef hoti hai bacha paida kartay waqt aur farishtay kehtay hain, “Aey humaray Rabb! Yeh banda kabhi humari farmanbardari nahin karta, bahar nahin ata. Aap jantay hain.” Phir aik tajalli aati hai, uss naee makhlooq kay Rabb ki taraf say jo uss ko uss ki maa kay raham/pait main takhleeq kar raha hai. Aur wo naee makhlooq ata’at nahin kar rahi. Aur wo jis ko Rabb nay uss ki maa kay pait main takhleeq kia hai, aik shaan kay sath zahir hota hai aur neechay gir jata hai, sajday main, wo sajda kartay huay aata hai. Yeh hai sajda aur paida’ish, aur daa’ee (midwife) uss ko baahar nikalti hai.

Laikin ab (doctors) kho chukay hain, wo muqaddas kitabon par iman nahin rakhtay, aur unn ki zindagi badtareen zindagi hogi aur unn ka khatima sab say badtar hoga! Main tamam doctors jo Caesarean kartay hain (paisay kamanay kay liay), unn ko khabardar karta hoon, unn kay akhri lamhaat main jab wo iss duniya say jaa rahay hon gay, unn ko sakht saza di jaey gi! Aur uss takleef kay badlay, jo wo uss bachay par daal rahay hain, wo khud maza chakain gay. Main khabardar kar raha hoon! Doosray ‘ulama kahan hain, iss mauzoo par bolnay kay liay, doosray mazhabi log kahan hain iss baray main agaah karnay kay liay, kay Caesarean kisi kaam ka nahin?! Bishops, paadri kyun nahin kehtay kay kaatna/operation karna Rabb kay hukm kay khilaf hai? Wo nahin kehtay.

Aur hum aik aham nuktay tak puhanch gaey hain, humain yeh agaahi mil rahi hai, kay jab aik naya bacha duniya main aata hai, tu aik teer (arrow) asmaan say uss kay peechay bhaij diya jata hai, maut ka teer. Kuch ko yeh teer maa kay pait main hi puhanch jata hai, kuch ko aik maheenay baad, aik saal ya do saal baad. Jab maut ka teer apna muqarrara fasla tay kar layta hai tu insaan tak puhanch jata hai, uss ko chhoota hai aur insaan khatam hojata hai. Yeh hi behtereen hai. Aik shakhs kaisay khush aur salaamat reh sakta hai iss zindagi main, jab kay yeh maut ka teer uss ka peechha kar raha hai?

Aey logon, ahmaq aur baiwakoof na bano! Yeh mat kaho kay main yeh hoon, main wo hoon. Iss duniya ki zindagi par ghaur karo. Kafi hai. Warna tum mast (drunk) aur ghafil ho jao gay. Apni taraf aao aur khud par ghaur karo. Aey humaray Rabb! Humain bhaijain aisa koi ya aisay log jo aap kay bandon ko baydaar karain! Hum ghafil hain. Humain jaag jana chahiyay. Mera awwaleen maqsad, muqaddas hastiyon kay tawassul say yeh hai, kay main logon ko baydaar karoon! Unn ko yaad dihani karaoon kay yeh zindagi asal zindagi nahin hai, (yeh) masnooi zindagi hai, kyun kay chahay tum aik sau saal ya uss say bhi ziada jee lo, laikin maut ka teer, kab tum ko puhanchay ga, tum ko khabar nahin. Aur jab tum iss duniya say utha liay jao gay, tu kahan jao gay? Kahan jao gay?

Aur jab aik banda faut ho jata hai, tu uss ko masjid ya church lay jaya jata hai, log poochtay hain, “Yeh kis ka janaza hai?”

Aur jo shakhs yeh rasam adaa kar raha hota hai, wo batata hai, “Yeh mayyat George saahab ki hai,” ya, “Yeh mayyat King George X ki hai.”

Ya wo kehtay hain, “Yeh janaza hai ameer tareen Stefan sahab ka.”

Wo sirf mayyat ka naam batatay hain, laikin yeh koi nahin poochta kay, “Yeh mayyat, jis shakhs ki hai, wo ab kahan hai? Wo kahan chala gaya?”

Log sirf kehtay hain, “Yeh General Harrington hain,” ya, “Yeh Field Marshall Hindenburg ki laash hai!”

Ya wo yeh poochtay hain, “Yeh kon tha?”

“Oh, yahan Field Marshall Mannenheim ki laash hai jo Russians say Doosri Jang-e-Azeem main lar rahay thay aur unn ko Finland main dakhil honay say roka tha.”

(Mawlana hanstay hain) Dekha, mujhay bhi kuch pata hai! Yeh meray waqt ki batain hain. Jab main aik baar koi baat sunn loon, tu main uss ko yaad rakhta hoon, bhoolta nahin. SubhanAllah, Allah ki ataa hai. Bahut say log bhool jatay hain. Field Marshall Hindenburg kay baray main kia khayal hai? Laikin Field Marshall Hindenburg kahan hain? Wo meray sawaal par hairaan hain. Kon sa sawaal?

“Yahan par itna rush hai.”

“Haan, yahan janaza ho rahi hai.”

“Laikin kis ka janaza ho raha hai?”

“Pope ka, jo guzar chukay. Guzar chukay. Unn ki mayyat hai.”

“Wo intiqaal kar gaey aur apna murda jissam yahan chor gaey? Wo kahan gaey? Wo chalay gaey aur apni mayyat yahan chor gaey? Wo kahan gaey?”

“Yeh Sultan ki mayyat hai.”

“Sultan ki mayyat? Wo kahan chalay gaey? Yeh unn ka murda jisam hai aur wo chalay gaey, apni laash humaray liay chor gaey? Wo kyun yahan chor gaey, kay hum ko iss ko apnay kaandhon par uthana paray ga? Wo kahan gaey?”

Meray saath koi masla hai, aap dekh rahay hain. Laikin kal tu wo logon say khitab kar rahay thay. Laikin aaj hum dekh rahay hain kay log keh rahay hain kay unn ka intiqal ho gaya. “Aur wo yeh laash humaray liay chor gaey?”

Log kabhi aisa sawal nahin kartay. “Jannat main chalay gaey? Waqai?” aur wo yeh bhi kehain gay aik din, “Shaykh faut ho gaey aur apna murda jisam chor gaey.”

Yeh aisee baat hai kay koi iss ka jawab nahin day sakta. Kaho, kay insan ki takhleeq koi alag hi baat hai. Uss ki rooh nikal jaey gi, laikin uss ka jisam logon kay paas rahay ga. Chunanchay, uss ki jaan chali jati hai, laikin us ki laash baqi rehti hai.

“Shayad raat ho tu unn ki rooh wapas aa jaey…raat aaey tu unn ko bistar par layta dayna takay wo araam kar lain.”

“Nahin, aey meray bhai. Nahin, wo yahan kal aaey thay laikin aaj unn ka intiqal ho gaya hai aur hum unn ko qabristan main dafnaanay ja rahay hain. Unn ko wahan bistar ki zaroorat nahin kyun kay wo tu chalay gaey laikin un ki laash baqi hai zameen par.”

Aey logon! Aik din aaey ga kay kaha jaey ga, “Saddar ka intiqal ho gaya.”

Ya aik naya naam, “Oh, khatoon-e-awwal! Wo faut ho gaein. Khatoon-e-awwal!”

“Yeh kia hai?”

“Aey Shaykh, wo khatoon-e-awwal thein! Aur aaj wo intiqal kar gaein aur hum unn ka janaza lay kar ja rahay hain!”

Aey logon! Iss baat par ghaur karo. Aik din aisa bhi aey ga kay log tumharay baray main kahain gay, “Wo faut ho gaey.” Wazeer-e-dakhila nay kitnay zulm kiay logon par aur aaj wo faut ho gaey aur wo zaalim thay Shaytan ya Mussolini ya Hitler ki tarah. Yeh kehna mushkil hoga, laikin, “Wo intiqal kar gaey.” Intiqal kar gaey? Koi baat nahin, wo apnay achay amaal say khush hon gay. Laikin Number Aik zaalim jo Allah ta’ala say lartay hain, farishtay unn kay liay aag tayyar kar rahay hain. Jab unn ko dafnaya jaaey ga, tu unn ko Jahannam say kauray (whip) parain gay. “Tum Number Aik thay, haan, Number Aik? Awwal shakhsiyat thay? Yeh lo! Aur lo!”

Aur maut ka teer jo har aik ka peechha kar raha hai, humain khaufzada kar dayta hai. Zindagi kay aakhri din say baakhabar raho. Zindagi kay akhri waqt say hoshiyar raho. Khabardar raho, jab Maut kay Farishtay, Azra`eel aein gay, tumhari rooh nikalnay kay liay. Aey logon! Jab Maut kay Farishtay kay panjay (claws) tumharay seenay par aein gay, tu tumhari rooh bahir nikal lee jaey gee. Aur aey logon! Sachay bannay ki koshish karo, achay bannay ki koshish karo. Achay logon ki jab rooh araam say nikali jati hai. Laikin wo log jinhon nay doosron say badtareen sulook kia, wo maut kay waqt asmani ghazab ko chakain gay, jo bahut talkh hoga!

Aey logon! As-salamu `alaykum. Jo hum keh rahay hain, uss ko yaad rakho, agar koi kahay kay shaykh ghalat keh rahay hain, main ummeed karta hoon kay kal wo apni laash chor jaey aur khud chal basay.

(Mawlana gunguna rahay hain)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah,`Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Sultan Allah

Dome, dome, dome, dome

Dobara, dobara

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Dome, dome, dome, dome

Fatihah.

Theek hai? (48 minutes)

Alhamdulillah! Alhamdulillah kay Allah nay humain samajh ataa kee. Main aik aam sa insaan hoon, laikin Allah ta’ala mujh say logon ko khitab karwa rahain hain. Agar koi kahay kay main ghalat hoon, main ummeed karta hoon kay kal wo chal basay aur apna murda jisam yahan chor jaey!

(du'a) yaa Rabbee!

UA-984942-2