Available in: English   Arabic   Urdu   Dutch   Go to media page

Sultan ul Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

13 October 2009 Lefke, Cyprus

Sayiddina Muhammad (s) ko aur nawazein sharaf aur karam.

Aey humaray Rabb! Humain maaf kar dain, aur hum par karam farmaein, apnay mu’azziz tareen banday Sayiddina Muhammad (s) ke tazeem ke khatir.

Zidhu ya Rabbi, zid-hu Ya rabbee `izzan wa sharafan noora wa masroora alhamdulillah

Hum apnay Rabb kay shukar guzar hain keh hum ko Sayiddina Muhammad (s) ke ummat main paida kia gaya. Aur hum shru kartay hain aur kehtay hain:

A`oodhu billahi min ash-Shaytaani 'r-rajeem. Bismillahi 'r-Rahmani 'r-Raheem.

Madad ya Sayyidee!

As-salaamu `alaykum wa rahmatullahi wa barakaatuh!

Aey humaray sunnay walon, aur tamam insanon! Farmandar banday ban kar raho, hum har roz yehi baat duhratay hain keh, aey insanon, Allah kay farmanbardar banday ban kar raho, agar yeh nahi karsaktay tu kam az kam is ke koshish he karo, keh apnay Rabb kay farmanbardar ban jao. Aur humara Rabb jis nay humain paida kia, woh hum se aur kuch nahin chahta, woh sirf hum se yeh chahta hai, keh hum uss kay farmanbardar banday ban kar rahain.

Chahay tum Muslim ho, ya Christian ho, ya Yahoodi, kalay ho ya goray ho, parhay likhay ho ya unparh ho...kalay ho ya safaid ho, peelay ho ya laal ho...Main tum se sirf aik cheez chahta hoon, main nay tum ko paida kia aur apna banda honay ka sharf diya. Main nay tum ko takhleeq kia, aur hukm dia, keh sirf meray sachay banday ban kar raho. Main aur kuch nahin chahta tum se. Main nay he zameen aur asman sab cheezain paida kein, Maghrib se lay kar mashrik tak. Aur main nay tum ko aqal dee, aur sirf aik cheez ka taqaza kia. Main nay tum ko apnay kamon ke liay paida nahin kia, tum meray ghulam nahin, keh jo apnay malik ke madad kartay hain, uss ko faeda puhchnatay hain. Laikin main nay tum ko iss keh liay nahin paida kia, main nay tum ko sirf apni bandagi kay liay paida kia. Ghulami aur bandagi main farq hota hai. Kissi ka nokar hona alag hai, aur banda hona alag.

Aey Pope, kia aap har roz saray Christians ko waaz kartay hain? Kia aap apna paigham logon tak har roz puhanchatay hain, aur kehtay hain, keh: ‘Aey Christians, main tum ko yaad dila raha hoon aur kahabardar kar raha hoon keh tum bandagi ke liay paida kiay gaey ho, jo ‘alaa tareen maqam hai.’

Kia aap har roz yeh paigham Maghrib se mashrik tak kay logon tak bhaij rahay hain? ‘Aey Christian, jag jao! Main dekh raha hoon keh tum sirf duniya keh liay, ya shaitan ke liay, ya apnay nafs keh liay kaam kar rahay ho. Khabardar! Main tumhara deeni rehnuma hoon, duniya main, Pope honay kay natay main tum ko yaad dihani kara raha hoon. Keh tum sachay Christians ban kar raho. Subah aur raat, donon waqt main tum ko waaz kar raha hoon, shayad aaj tumhari akhri raat ho. Kam az kam aj ke raat he apnay Rabb ke farmanbardar ban kar raho.’

Main aap se sawal karta hoon, muhtaram Pope, kia aap yeh kar rahay hain? Main kuch nahin, laikin main aap se sawal karta hoon. Kyun keh ziyada tar Christians duniya kay peechay bhag rahay hain, takay ziada se zaida daulat aur maad’di cheezain jama kar sakain, aur unn kee zindagi ka sirf yahi maqsad hai, keh dhair sara maal-o-asbab jama kar lain. Takay yeh likha jasakay registery main, ke falan ke paas itni buildings hain, aur itnay maidan hain, aur itnay dihaat hain, ya shaher hain, ya bank hain. Yeh unn kee akhri manzil hai. Laikin aap ko chahiyay keh unn ko khabardar karain, un ko baydar karain.

Main aik kamzor banda hoon, jaisay aap aik kamzor banday hain, aey Pope! Log kehtay hain kay aap Issa’iyat kay sarabarah hain. Main chahta hoon, keh aap logon ko yeh bataein, aur unn ko jagaein. Tamam Christian duniya ko. Keh woh aaein aur kahain, keh ‘aey humaray Rabb, hum sirf aap ke liay hain!’

Yeh sirf aik warning hai. Aur yehi munasib warning hai, jo tamam asmani kutub main hai. Aap aik Pope honay kay natay yeh jantay hain kay Ahd-e-Ateeq/Torat (Old Testament) aur Ahd-e-Jadeed/Injeel (New Testament) main kia likha hai. Hazrat Isa (a) kia keh rahay thay Bani Israel se? Yehi keh ‘aao aur meri baat suno, aey Bani Israel! Tum iss duniya kay peechay bahut bhag rahay ho jo aarzi zindagi hai. Tum faani cheezon kay peechay bhag rahay ho.’ Hazrat Isa (a) yeh keh rahay thay unn se.

‘Aao, uss ko chor do, aur aao asal manzil ke taraf, jo tumhara Rabb hai. Aao aur yeh tasleem karo.’ Aap ko kia lagta hai Hazrat Isa (a) kia keh rahay thay? Kia woh Bani Israel ko qissay kahaniyan suna rahay thay?

Sayiddina Musa (a) Bani Israel ko kia keh rahay thay? Kia woh unn ko duniya ke taraf bula raha thay, iss aarzi zindagi ke taraf? Ya woh yeh keh rahay thay Bani Israel ko, keh meray Rabb nay mujh se yeh kaha hai , keh ‘aey Musa (a), jao aur bulao apni ummat Bani Israel ko, keh woh aarzi lazzaton ke peechay bhagna chor dain. Unn ko kaho, keh bahut sona aur qeemti khazanay jama kar chukay. Yeh hikmat-e-rabbani nahin.’

Anbiya (a) jo asmanon se arahay thay, kia woh yeh keh rahay thay, keh jitna hosakay iss duniya kay khazanon ko jama kar lo? Kaun say paighambar nay aisa kaha? Aur ab, haha! Bani Israel ro rahay hain. Kehtay hain ‘Oh Shaykh, yeh ma’ashi buhran humari kamar tor raha hai. Humaray karoron dollars doob gaey, kitni sari cheezain chali gaein. Hum ko koi rasta dekhaein, aey Shaykh!’

Haha! Main kehta hoon, bhool jao iss ma’ashi buhraan ko! Kia tumharay liay yeh kafi nahin keh tum zaroorat kay mutabiq kha pee rahay ho?

‘Nahin, hum aur jama karna chahtay hain.’

Tum Sayiddina Musa (a) kee pairwee kyun nahin kartay? Kia woh maal-o-daulat jamaa kar rahay thay?

‘Nahin janab! Laikin, Qaroon tu jamaa kar raha tha.’

Phir akhir main kia hua? Allah ke taraf se aik bara buhraan aaya aur jo bhi woh jamaa kar raha tha uss ko lay dooba. Kuch bhi nahin bacha us kay paas. Hum ko yeh sab aasmani kitabon se pata chal hai.

Aey Chief Rabbi! Kia aap yeh paigham Yahoodiyon (Jews) ko puhuncha rahay hain, jo Bani Israel hain? Aap kyun nahin khitab kartay apnay markaz say? Sarkari farmaan kyun nahin jari kartay, Chief Rabbi kay markaz se, keh ‘main tum ko yeh hukm deyta hoon key duniya kee parwa mat karo. Uss ko chor do. Aur apni abadi zindagi kay liay khazana jamaa karo.’

Ohhhh! Kitna khubsurat lafz hai, jo main nay abhi bola. Hamesha ki zindagi (Eternity x 2)! Meray dil ko itni farhat milti hai iss lafz se. Aur naee taqat milti hai, aur na khatam honay wali lazzat. Main keh raha hoon: Hamesha ki zindagi (Eternity x 4)!

Aey Chief Rabb, Bani Israel say kahain ! Aap bhi tu tasbeeh istemaal kartay hain. Bajaey iss kay keh aap iss par dollars dollars dollars...kahain. Ab bara buhraan aa chukka hai! Aap ko chahiyay keh tasbih par parhain, ‘hamesha ke zindagee’ (Eternity x 4)! Aey humaray Rabb hum aap kay sath hamesha rehna chahtay hain. (Eternity x 4)!

Dekhain, ab aap par kia museebat agaee hai. Humaray Rabb nay humain kabhi ijazat nahin dee, keh hum aik doosray se duniya ke khatir larain. Aur tamam paighambar bhi yehi keh rahay thay: ‘ad duniya jeefatun’ (iss duniya ke misal aik murda janwar jaisee hai). Aap kyun iss kay peechay bhag rahay hain? Akhir kar kia hota hai? Rockefeller, ameer tareen aadmi tha. Aur aaj bhi humaray bahut se Yahoodi bhai bahut maldar log hain. Yeh log kyun nahin kehtay, keh ‘aey humaray Rabb, hum ko iss duniya main mashghool naa rakhain, hum ko sirf apna bana lain, aey humaray Rabb! Hum aap se muhabbat kartay hain, main aap se muhabbat karta hoon, hum sab aap se muhabbat kartay hain! Aap itnay haseen-o-jameel hain. Husn kay la mahdood samandar aap kay hain. Shan-o-shaukat kay la mahdood samandar aap kay hain. Taaqat-o-azmat kay la mahdood samandar aap kay hain. Aap kee sultanat kee koi intiha nahin. Main apni zindagi kyun zaya kar raha hoon?’

Aey Chief Rabbi, main sirf aik kamzor banda hoon aap ko yaad dila raha hoon, aap ka farz. Aap apni qaum se kahain: ‘Jaag jao! Larna khatam karo! Aur sab ko un kay huqooq do. Sab ko chahiyay kay sab kay huqooq ada karain.

Jo main keh raha hoon, uss ka ishara Arab aur Israel kay darmiyan jo mamla hai, uss taraf nahin...na hee uss ka ishara Issa’ee mumalik ke taraf hai. Yeh aik aam naseehat hai, jo asman say arahi hai, keh ‘khamosh raho, sharafat kay saath raho, hoshiyar bano. Apni aqal ka acha istemal karo. Acha insan bano. Farmanbardar banday bano.’

Aey logon! Kia main kuch ghalat keh raha hoon? Aey Pope, aey Chief Rabbi, aey Bishop, main kuch ghalat keh raha hoon? Woh jantay hain. Aur aap chahain tu dekh lain, asmani kutb main kia likha hai. Laikin aaj log Rabb kay muqablay main doosron se ziada dartay hain.

Aey logon, aao aur suno! Aao aur suno, aur farmanbardar banday bannay ke koshish karo. Sirf Allah kay liay. Aik aisa farishta hai, jo saat asmanon par yeh ailan karta hai, keh ‘aey bani Adam, aey tamam insanon! Farmanbardar banday bano! Hum dekh rahay hain kay tum apnay Rabb se kiay huay waday ko bhool chukay ho, tum nay ahad kia tha keh aey humaray Rabb, aap nay humain takhleeq kia hai, aur hum aap kay farmanbardar banday bann kar rahain gay. Tum yeh sab bhool chukay ho, aur tum iss waday ki khilaf warzi kar rahay ho. Tum shaitan say kehtay ho, keh aey shaitan, aey sadanas, tumhara tareeqa he acha hai, aur issi say hum khushi aur aish-o-ishrat main reh saktay hain. Hum tumhari pairwee kartay hain, tum he humaray liay awwal ho.’

Yeh bahut bura kaam hai jo tamam qaumain kar rahi hain, aur jo Issaee aur Muslim duniya kar rahi hai, woh maghribi mumamlik ke taqleed kar rahi hain. Un sab par bahut bara dosh hai. Aur koi bhi inn qaumon ko rah-e-raast nahin dekhata. Allah un sab se badla lay ga, jo bhi shaitan kee pairwee kar rahain hain, aur Allah kay ahkamat ko chor chukay hain. Allah ka hukm sirf yeh hai, keh ‘aey logon, farmanbardar banday bannay ke koshish karo. Subah ko bhi aur sham ko bhi, subah sham bus uss kee bandagi karo.’

Deeni logon ka kaam ka asal maqsad Allah ke ataa’at ke taraf bulana hai. Hazrat Isa (a) nay kabhi iss duniyawi zindagi ke taraf nahin bulaya. Hazrat Musa (a) nay kabhi is duniya kay khazanon ko jama karnay ke talqeen nahin ki. Aur Sayiddina Muhammad (s) nay kabhi apni ummat ko duniya kay aish-o-ishrat, aur nafsani khwahishon ko taskeen puhanchanay ke daawat nahin dee. Nahin! Unhon nay sirf kaha ‘Allah’, aur phir Allah nay un sab ki hidayat kay rastay khol diay, aur 25 baras main un ke roohani taqat mashrik say lay kar Maghrib tak puhanch gaee. Sayiddina Muhammad (s)!

(Mawlana kharay hojatay hain)

Zid Ya Rabbee Sayyidina Muhammad (s) sharafan wa karaman. Ya Sayyidee, Ya Rasulullah!

Hum unn kay bataey huay rastay par chalnay ke koshish kar rahay hain. Laikin hum kamzor banday hain, kia kar saktay hain? Main aik kamzor banda hoon, laikin meri ummeed hai keh sab tak meri baat puhanch jaey. Main tamam mukhalifat ka samna karnay kay liay tayyar hoon, jo woh meray bayan par karna chahtay hain. Koi yeh nahin keh sakta hai keh main kuch ghalat keh raha hoon. Nahin! Jo bhi aisa kehta hai woh shaitan hai. Allah humari maghfirat farmaey, ameen.

(Mawlana gaa rahay hain)

Dome Dome Dome

DomeDome Dome

Dome Dome Dome

Dome Dome Dome

Aey Adam zad, tum hamesha aala zindagi chahtay ho. Aao aur suno, hum kia keh rahay hain:

Dome Dome Dome

DomeDome Dome

Dome Dome Dome

Dome Dome Dome

Woh (Allah) sirf yeh keh raha hai, bani nau insan se, keh aao aur meray farmanbardar banday ban jao, tum sab kuch pa lo gay, duniya main bhi aur akhirat main bhi. Aur tum ko khushi milay gee, agar tum kaho gay

Dome Dome Dome

DomeDome Dome

Dome Dome Dome

Dome Dome Dome

Dome Dome Dome

DomeDome Dome

Dome Dome Dome

Dome Dome Dome

(37 minutes, Sayyidee)

Thirty-seven. Main thora thak chuka hoon, itna kafi hai unn logon kay liay jo samajh rakhtay hain. Agar kissi ka sar football jaisa hai, tu koi faeda nahin, main subah tak bhi bolta rahoon tu woh kuch nahin samajh sakain gay. Yeh woh log hain jo apni aqal aur apni quwwat-e-iradi shaitan kay hawalay kar chukay hain. Laikin mujhay kaha gaya hai keh main unn se khitab karoon jinhon nay apni samajh aur quwwat-e-iradi abhi shaitan kay supard nahin kee. Iss liay, aey logon! Mujhay afsos hai, duniya ki tamam qaumon par jo duniya kay liay jidd-o-jehed kar rahay hain. Aur Shaytan kay liay. Mera dil iss baat par rota hai. Aur main apnay Rabb say mafi mangta hoon.

Aey humaray Rabb, humari taraf unn ko bhaijain jin ka aap nay wada kiya tha, keh aap jinkay zari’aey apnay bandon ko buray halaat aur buray iraadon say nijat dain gay. Jo unn ko bachaein gay, aur un ko acha banda banaein gay. Main duaa mangta hoon keh khud bhi acha banda bann jaon, aur aap sab bhi ban jaein. Aey logon!

Kuch log aaj hain, kal qabristan main hon gay. Main aik kamzor banda hoon. Meray saath rehna asan nahin. Aap aik virus ko nahin dekh saktay, laikin mujhay dekh saktay hain. Allah kay kuch mukhlis banday aisay hain, jin ko Allah nay asmani taqat dee hai, agar woh kisi kam ko keh dain ‘ho ja’ tu woh ho jata hai! Aisay logon ka lihaz karo! Apni zaban bandh rakho, warna ho sakta hai kal tumharay sath kuch aisa ho jaey jis say tum ko takleef puhanchay. Aur Allah humain maaf farmaey.

Main aik kamzor banda hoon, ab mujh par kamzori agaee hai. Haha! Shayad tum main say koi kahay keh Shaykh jab chalay jaein gay, tu hum sab kuch karnay kay liay azad hongay. Shaykh tu bus boltay rehtay hain, aur boltay rehtay hain, aur unn ko sun kar phir kisi cheez main maza nahin aata. Iss liay hum keh rahay hain keh woh jaldi chalay jaein, tu hum bahut khush hongay. Nahin. Agar aik jata hai, tu dus (10) aur atay hain. Agar dus jatain hain, tu saw (100) aur atay hain, aur saw jatay hain tu hazar (1000) doosray atay hain, aur hazar jaein gay tu do hazar (2000) aur aa jaein gay. Jab bhi koi aik jata hai, uss ke jaga doosra ata hai.

Asmani fauj nay ab iss duniya ko ihatay main lay liya hai, kyun kay log ab sahi rastay say bhatak rahay hain. Allah Allah ya Rabbi! Humain maaf kardain, hum kamzor banday hain.

Fatihah

(45 minutes).

Sunnay walon ka shuriya. Aap fikr na karain. Aj nahin tu kal, main chala jaoon ga, agar kal nahin tu aik mahinay baad, ya aik saal baad, ya dus (10) saal baad.

‘Aey Shaykh, yeh tu bahut ziada hai. 10 saal tak hum har roz aap ko sunain gay?!’

Jee haan. Shayad main 25 saal baad jaon. Shayad Allah mujh ko lambi umar dey, Sayiddina Noah (a) ki tarha.

‘ 900 saal ?! Nahin ! 900 saal tak hum aap ko sunain gay? Nahin! Thora kam, thora kam.’

(Mawlana apni chari (walking stick) haath main laytay hain)

Meray paas aik chari hai, jo mujh ko asmanon say mili hai, meray baray Shaykh nay mujh ko dee hai. Kabhi agar meri chari unn kay saron par par gaee, tu un ka kaam tamam ho jaey ga. Khabardar! Main kamzor tareen banda hoon, laikin jab asman se taqat aati hai, tu main bahut taqatwar ban jata hoon. Allah mujh ko maaf karay.

Fatihah

Khush amded! Khush amded! Aap ko khush amded. Qaum kay sardaron, number aik! Haha, number aik! Ya number 2! Ya number 3 bhi. Tum chaho tu aao aur asmanon ke awaz suno, aik kamzor banday kay zari’aey. Main kuch bannay ke koshish nahin karta, yeh mujh ko sakht na pasand hai. Main kuch nahin, aur issi main khush hoon. (Oopar aur neechay, kahein kaam nahin karta...) Haha, jee haan. Shukriya. Itna kaafi hai.

UA-984942-2