Available in: Turkish   English   Italian   Dutch   Urdu   Spanish   Arabic   Go to media page

Sultan al-Awliya

Mawlana Shaykh Nazim

1 November 2009 Lefke Cyprus

(Mawlana Shaykh kharay hotay hain.)

Dastoor, Ya Sayyidi Madad, Faatihah. Allah, Dastoor Ya Sayyidi, Ya Rijaalul-Lah. Allahu akbar, Allahu akbar, Allahu akbar, La ilaaha illa-Llah. Allahu akbar, Allahu akbar wa lillahi ‘l-hamd! Anta Rabbuna anta hasbuna anta waliyuna ... w 'arhamna... wa aslih shaanana wa shaan al-muslimeen... Ameen. Allahumma, Ya Allah `ijalna maa `ibadillahi saliheen. Alfu salaat, alfu salaam `ala Sayyidina Muhammad (s).

Tamam tareefain aur shan jo Allah nay Khatim-un-Nabiyyin (s) kay liay bayan kee hain, wo apnay Rabb ki bargah main sab se ikram walay, sab se ziada shan-o-shaukat walay, aur sab se ziada mehboob hain. Ya Rabbi, Sayyidina Muhammad (s) zidhu yaa Rabbee `izzan wa sharafan wa nooran, wa surooran ridwaanan wa sultana! Hum bahut khush hain keh humaray Rabb nay humain Apni Zaat ke tareef karnay ka mauqa diya, aur apnay mu’azziz tareen banday Sayyidina Muhammad (s) ki tareef aur tazeem ka mauqa diya. Aey humaray Rabb, hum ko maaf farmaein, aur hum par karam farmaein!

(Mawlana tashreef rakhtay hain)

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Sultan Allah

Aey humaray sardar, jo iss zamana-e-haal main zameen ko uss kee akhri manzil tak lay ja rahay hain. Iss duniya kay sardar ko humaray jismani aur roohani wujood par ikhtiyar hasil hai. Un ko maloom hai keh un ko insanon kay amaal, khayalat aur tafreeh par nazar rakhnay ke roohani taqat de gaee hai. Wo insanon ki akhri manzil tak rahnumai karnay kay zimmadar hain. Aap un ko dekh saktay hain, wo aap ko apni tarah hi nazar aein gay. Un ka zahiri huliya aam insanon jaisa hai, laikin unn ko asman se aisi taqat dee gaee hai, keh unn ka roohani wujood azeem hai! Un kay paas aisi taqat hai, keh wo iss duniya ko apany haathon se utha kar mashriq ya maghrib ki taraf phaink saktay hain!

Aey logon, dekho aur samajhnay ki koshish karo. Allah ta’ala keh rahay hain, “Main aik naee makhlooq ko paida kar raha hoon, aur yeh makhlooq meri Zaat-e-muqaddas ki numaindigi karay gee. Wo meray naib hon gay. Main un kay jismani wujood ko Apnay azeem Hathon se takhleeq karoon ga. Main bana raha hoon, takhleeq kar raha hoon, tarash raha hoon.” Kon sab se ziada aham hai, taman makhlooq main ? Rabb ta’ala kay khalifa ka maqam, aur koi maqam nahin. Khudai sirf Allah ta’la kay liay hai, aur uss kay bandon ka maqam aur unn ka waqar sirf Uss ki khilafat hai. Agar Allah ta’ala Adam (a) ko apna khalifa na banatay, tu yeh zameen kisi ki tabaidari nahin karti, farishton ki bhi nahin.

Yeh zameen ya yeh sayyara asmani hukoomat kay tab’ay hai, koi aur makhlooq khalifa-e-Rabbani honay ki taqat nahin rakhti. Uss nay yeh sharf sirf insanon ko bakhsha hai, iss liay har cheez us khalifa ki ita’at karay gee. Yeh bahut aham nukta hai, samjhnay kay liay. Farishton main say bhi koi humari zameen par hukmurani nahin kar sakta, kyun keh wo khalifa nahin. Allah nay takhleeq farmaya. Yeh na kaho keh ‘Main nay takhleeq kia’, balkay kaho keh ‘Main kar raha hoon.’

Allah Rabbul izzat farma rahay hain: ‘Main is naee makhlooq ko apna numainda bana raha hoon, jo dunya par hukoomat karay gee.’ Jo kuch bhi zameen kay oopar hai, ya uss kay ander hai, wo sab meray khalifa kay hukm kay tab’ay hai. Yeh bahut zabardast bayan hai jo chaaron asmani kitabon main darj hai. Insan ki asliyat kia hai? Chunanchay, agar wo ata karain, tu aik kamzor banday se is kay mutalliq bulwa saktay hain, ab se qayamat tak, kabhi na khatm honay wali batain.

(Mawlana apnay galay kay liay garam chai pee rahay hain)

Aey humaray sunnay walon, jab aap meri umar ko puhanchain gay tab aap ko samajh aey ga keh burhapa kia hota hai. Umar raseeda log, humara wujood din ba din kamzor hota jata hai, yahan tak keh hum khatam hojatay hain. Iss liay, kabhi kabhar main aisee cheezain peeta hoon, kyun keh sardi agaee hai, aur mujhay koi garam cheez peenay ki zaroorat hoti hai. Mujh ko ilzam na dain. Main ummeed karta hoon keh aap sab meri umar ko puhanchain, balkay aur bhi ziada. Zaroori baat yeh hai keh hum sab ko issi tarha takhleeq kia gaya hai.

SubhaanAllah. As-salaamu `alaykum. Aey humaray sami’een , aaj aap kaisay hain? Kia bahut ziada jama karna hai? Kia bahut say faislay karnay hain? Kitna, John sahab? Kitna, Sharif? Ahmad? Kitna? Kam jam`atu ya ahlu libnaan, kam jam`atum ahlu 'l-fars.(Aey Lebanon kay logon kitna jama kia hai, aur aey Faras kay logon kitna jama kia hai?) Aj aap nay kitna jama kia? Aey humaray sami’een, jama karo, anbar laga do! Aik din, na koi anbar hongay na koi kamai hogi. (hansi kay qahqahay) Hum iss dunya main is ka zibil, kachra jama karnay nahin aey. Dunya poori ki poori koora karkat hai! Jo koi bhi is dunya ka maal jama kar raha hai, us ko maloom hona chahiyay keh wo sirf kachra jama karnay wala jamadar hai. Jee? Aey humaray Rabb, humain achi samajh ata karain. Hum nay apni samjhnay ki salahiyat kho dee hai. Hum yeh nahin poochtay keh laal ya zamard ya heeray moti kahan hai? Balkay hum dunya kay koora karkat kay peechay bhag rahay hain.

Iss liay main pooch raha hoon, aaj ka kia haal raha? Jama kia? Humain bhi thora bahut bhaijain, sab apnay paas na rakhain, humain bhaijain. Hum iss ko istimal karain gay agar aap nahin kartay! Aur aap kehtay hain keh “Humain zaroorat nahin.” Agar aap ko zaroorat nahin, tu uss ko wahan kyun rakha hua hai? Aap ko aik din iss ki zaroorat ka ihsas hoga, aur aap kahain gay, “Main yeh sab Allah, jalla jalaaluhu jallat `azamatuh ki rah main kyun nahin kharch kar raha?” Abhi karch karo! Jamaa mat karo. Sakhi bano, denay walay bano. Haath ko bandh na rakho. Do, aur Allah ta’ala kabhi aap kay haath ko khali nahin rehnay day ga. Aap dain gay, Allah aur nawazay ga. Allah (swt) dekhay ga, aur kahay ga, “Mera banda day raha hai, Main iss ka hath khali nahin rehnay doon ga. Aey Meray farishton, iss kay haath main aur bhi ziada rakh do.”

Ma’eeshat ka buhran (economical crisis) akhir kyun aya? Kyun keh log apnay haath ko aisay rakhtay thay (bandh, kanjoos) aur nahin deytay thay. Kuch hota tha, aur unn kay hath yun hojatay thay (khulay haath) aur sab kuch neechay gir jata tha. Allah unn ko nahin deyta. Agar wo deytay, deytay, deytay, bajaey sona aur dollars aur Euro aur pounds kay anbar laganay kay, tu asman ka Rabb unn ko zaroor aur bhi nawazta. Yeh is liay hai keh tum haath bandh rakhtay ho, deytay nahin. Ab ma’eeshat ka buhran agaya hai, aur log ronay lagay hain (Mawlana ronay ka natak kartay hain), “Main kuch hua karta tha, lakin ab main kuch bhi nahin. Ab main kia karoon? O meray lakhon karoron doob gaey. Kal main kitna ghuroor karta tha apni daulat par, aur aaj main company se guzaray kay paisay maang raha hoon. Meray liay koi paisay nahin bachay.” Allah ta’ala farma rahay hain, “Aey meray banday, agar tum meri rah main do gay tu main kabhi tumhara haath khali nahin choroon ga!” Yeh sab likha hua hai Ahd nama-e-qadeem (Torah), Ahd nama-e-jadeed (Injeel) aur Quran Kareem main, aur tamam asmani kitabon main jo paighambaron (a) par utari gaein. Yeh sab bayan kia ja chuka hai. Huuuu. Laikin tum yaqeen nahin kartay, aur ab asmani azab nazil ho raha hai.

Aey logon, suno aur mahzooz ho. Aj raat ja kar khoob mauj karna. Shaytan unn ko kehta hai, “Aey meray pairokaron, aaj ki raat bilkul fikr na karna. Jao aur piyo, jab tak nashay main mast na ho jao, phir tum sab bhool jao gay, aur bahut khush hogay.” Tawbah, yaa Rabbee. Aey humaray Rabb, humain maaf kar dain. Aey humaray Rabb. Insan iss zameen par Allah ka khalifa hai! Aey meray sami’een, tawajjah se sunain, sunain aur samajhnay ki koshish karain jo wo mujh se keh rahay hain. Khalifa, jis ko ikhtiyar hai zameen par hukmurani karnay ka, wo hukm chala sakta hai kyun keh wo Rabb-e-kainat ka naib hai. Koi bhi alam/jahan, apnay malik kay baghair nahin ho sakta. Wo malik, Allah ka naib hai. Aap keh saktay hain keh, “Aey Shaykh, aap yeh keh rahay hain laikin hum ko yeh nazar nahin araha.” Haan, agar tum andhay ho tu tumhain kaisay nazar asakta hai? Ankhain kholo aur dekho. Aur phir, Grandshaykh, is dunya kay sardar, keh rahay hain, “Un ko kaho, ‘Jab tum aik mukammal khalifa bann jao gay, tab tumko asal khilafat milay gee, jab tum iss arzi zindagi se abadi zindagi ki taraf jao gay.’”

Haan, hum iman walay hain. Tamam muqaddas kitabon main likha hai keh Allah ta’ala Qiyamat kay din sab ko jama karain gay. Wo yaum-e-qiyamat main Sadr-e-adalat hon gay. Yeh siffat sirf Allah kay liay hai, laikin Qayamat kay roz us bahr main say aik zarra Huzoor-e-Akram (s) ko diya jaey ga, aur un se Allah kahain gay, "`asaa an yab`athaka rabbuka maqaaman mahmooda, asta`idh billah – Aap ka Rabb aap ko jald Maqam al-Mahmood par faiz karay ga!"(17:79) “Aao aur apni ummat par faisla karo.” Aey Arab logon, aey ‘ulama, aey Wahabi logon, tum kia samjhtay ho jab Allah farmatay hain `asaa an yaba`athuka rabbuka maqaaman mahmooda. Khitaab, Allah ta’ala kis say khitab kar rahay hain? Mujh se, tum se, ya unn (s) se? (Mawlana kharay ho jatay hain.) Allah mukhatib hain Sayyidina Muhammad (s) se, “Aey meray Mehboob, main tum ko roz-e-qayamat sab se uncha maqam doon ga.” Salafi aur Wahabi logon kay aqeeday kay bawajood, wo (s) apnay Rabb kay hukm kay mutabiq Maqaam al-Mahmood par qaim hain. Yeh sirf aik wahid kay liay hai, do (2) kay liay nahin; do nahin ho saktay. Aur wo aik sirf Habeebullah (s) hain. Wo apnay Rabb ki taraf se faisla kar rahay thay!

Allah ta’ala itnay Azeem hain, unhon nay yaum-e-qayamat kay faislay ko sirf apnay liay nahin rakha; Allah nay apnay numainday ko iss kaam kay liay muqarrar kia, “Aey meray Habeeb, meri jaanab se, wo Maqaam al-Mahmood, sab say uncha maqam, sirf aap kay liay hai. Wahan par baith jaein aur apna faisla dain.” Jee, wo day rahay hain. “Yeh qalam lain, aur apna faisla apni pasand kay mutabiq dain. Aap aisa kuch nahin karsaktay jo Mujh ko pasand na ho.” “Jo aap ko pasand hai,” iss ka matlab hai keh wohi Allah ki pasand hai; Allah ko bhi wohi pasand hai. Phir wo mu’azziz tareen banday Arsh-e-Adaalat par tashreef rakhain gay, aur Qayamat kay din, kuch logon ko wo Jannat ka ijazat naama dain gay. Wo sab Jannat main dakhil ho jaein gay. Kuch logon ko Jahannam ka faisla sunaya jaey ga. Jis kay baad bahut se log Jahannam main bhi dakhil hon gay. SubhaanAllahi 'r-Rahmani 'r-Rahim. Allah ta’ala, Uss ki tarha koi bhi Raheem nahin ho sakta! Khatim-un-Nabiyyin, Sayyidina Muhammad (s) ki khatir, Wo logon ko Jahannam se nikal lay ga, yahan tak keh koi bhi wahan nahin bachay ga!

Aey `ulama, aap ghussa kyun hain? Aap ko kehna chahiyay, “Main tu Jahannam main janay wala tha!” Kya yeh acha nahin keh aap nikal liay gaey? Aap samajhtay hain keh aap Jannat main jaein gay? Allah ta’ala kehtay hain, “Tumhari kaisay majal hui yeh kehnay ki, ‘Main Jannat kay logon main say honga’!” Akhri banda jis ko Allah ta’ala maaf karain gay, aur Jahannum se nikal kar Jannat main janay ka hukm dain gay, us akhri shaks ko farishtay Jannat kay darwazay par laein gay aur asmani (paak, masoom) khitab hoga,

“Aey meray banday, andar dakhil ho.”

“Aey meray Rabb, yeh tu bhari hui hai.” Wo andar jata hai aur dekh kar, sharminda wapis ajata hai.

“Aey meray banday, meri Jannat main dakhil ho ja,” Allah ta’ala hukm daitay hain.

“Aey meray Rabb, wo tu bhari hui hai.” Wo phir jata hai, dekhta hai aur dobara sharminda wapis ajata hai.

Aap ka kia khayal hai, aey `ulama? Kia asmanon ka Rabb, Allah ta’ala hans raha hai? Jee haan. Ro raha hai? Nahin! Allah kabhi nahin rota, lakin hansta hai. Teesri baar, Allah ta’ala hanstay hain aur kehtay hain, “Aey Meray banday, andar dakhil ho jao. Main tum ko aisi Jannat day raha hoon jo dunya say dus(10) gunah bari hai. Andar jao!” Kia aap samajh rahay hain? Yehi wajah hai keh hum keh rahay hain, kay har dunya, har zameen kay liay aik khalifa hai. Allah ta’ala us aik ko, dus dunya jitni bari Jannat say nawazay ga, kyun keh us ko Rabb ka khalifa banaya gaya hai Jannat main. wa min Allahi 't-tawfeeq.

Kia aap kuch samjhay ? Aap nahin samjhtay. Aap ko samjhna chahiyay. Yeh bahut zaroori hai. Shayad kabhi kisi nay ab tak aisa kuch na suna ho. Khayal rakho, aey bani Adam. Sust na bano, dewanay na bano, mast na raho, ahmaq na bano, ghafil na raho, kafir na bano, Shaytan kay tab’ay na bano! Allah kay banday bannay ki koshish karo, jis sharf say Uss nay tumhain nawaza hai. Allah humain ma’af karay.

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Dome dome dome dome

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, `Azeez Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Kareem Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Subhaan Allah

Allah Allah, Allah Allah, Allah Allah, Sultan Allah

Faatihah. (44 minutes) Shukr, Ya Allah. SubhanAllah. (Mawlana sajda-e-shukr ada kartay hain)

(400,000 nazireen, khatm hafta (weekend) aur sham kay waqt!) Masha-Allah yaa Rabbee, shukran.

UA-984942-2